Showing posts with label Firaq Gorakhpuri. Show all posts
Showing posts with label Firaq Gorakhpuri. Show all posts

Saturday, 4 April 2015

ChiraGh-e-tur jalao baRa andhera hai

ChiraGh-e-tur jalao baRa andhera hai.
Zara naqab uthao baRa andhera hai.

Mujhe Khud apni nigahon pe aitmad nahien;
Mere kareeb na aao baRa andhera hai.

Vo jin ke hote hai Khurshid aasteenon mein;
Unhein kahien se bulao baRa andhera hai.

Abhi to subh ke maathe ka rang kala hai;
Abhi fareb na khao, baRa andhera hai.

Thursday, 4 September 2014

Jo nigaah uThti na thi kabhi

Meri har ghazal ko yeh arzoo,
karey aisey ko terey ru-ba-ru

Jo terey hi jaisa ho sar-ba-sar,
jo tujhi sey milta ho hu-ba-hu

Woh chaman-parast bhi haiN yahaN,
jinheiN aaj tak na khabar hui

Key GuloN ki jis sey hai parwarish,
raG-e-KHaar meiN hai wohi lahoo

Hui KHatm sohbat-e-maikashi,
yehi daaGh seenoN meiN reh gaya

Key tuloo’a honey sey gaye,
kayi aftaab-e-KHum-o-sabuu

Kayi lakh phooloN key pair-han
sar-e-baaGh haNs key uRaa diye

Zahe fasl-e-Gul, woh hawa chali key
chaman ki le uRRi abroo

Tujhey paa key khudh ko bhi paooN ga
key tujhi meiN khoya hua hooN maiN

Yeh teri talaash hai is liye 
key khud apni hai justujoo

Hui wardaat-e-sehar yahaN,
to GuloN key seeney dhaRak gaye

Woh chali key teGH-e-naseem ne,
kayi haath uchaal diya lahoo

Wohi aaNkh jaam-e-mai-e-hayaa,
wohi aaNkh jaam-e-jahaaN-numaa

Jo nigaah uThti na thi kabhi,
woh nigaah jaati hai chaar soo

Na yeh bhed husn ka khul sakaa,
na bharan yeh ishq ka miT sakaa

Kisi roop meiN yeh hai tu key maiN,
kisi bhes meiN yeh hooN maiN key tu!

Ab usi ka takiya zamaaney meiN,
sunaa hai key marj’a-e-KHalq hai

Jo “Firaaq” tere liye phiraa,
kabhi dar-ba-dar, kabhi ku-ba-kuu

Wednesday, 20 August 2014

Aayi Hai Kuch Na Puch Qayamat Kahan Kahan

Aayi Hai Kuch Na Puch Qayamat Kahan Kahan
Uuf Le Gayi Hum Ko Mohabbat Kahan Kahan

Betabi-O-Sakoon Ki Huin Manzilein Tamaam
Behlaayen Tujh Se Choot Ke Tabiyat Kahan Kahan

Raah-E-Talab Mein Chor Diya Dil Ka Sath Bhi
Phirtay Liye Huye Yeh Miuseebat Kahan Kahan

Begaangi Pe Us Ki Zamaaney Se Aitraaz
Dar Parda Us Ki Shikayet Kahan Kahan

Hosh-O-Junoon Bhi Bas Ab To Aik Baat hain Firaq
Hoti Hai Us Shararat Ki Nazar Kahan Kahan

Ab aa gaye hain aap to ata nahin hai yaad

Ab aa gaye hain aap to ata nahin hai yaad,
Warna kuch hum ko aap se kehna zaroor tha..

Ab to un ki yaad bhi aati nahin,

Ab to un ki yaad bhi aati nahin,
Kitni tanha ho gayin tanhaayiyan..

Phir aaj ashk se ankhon mein kyun hain aye huye

Phir aaj ashk se ankhon mein kyun hain aye huye,
Guzar geya hai zamaana tujhe bhulaaye huye..

Yeh bhi sach hai koi ulfat mein pareshan kyun ho

Yeh bhi sach hai koi ulfat mein pareshan kyun ho,
Yeh bhi sach hai koi kyun kar na pareshan ho jaye..