Friday 31 October 2014

bane hain dulha ali zehra ki hai rukhsati

bane hain dulha ali
zehra ki hai rukhsati

ghar me aayaate haq ka ujaala huwa
noor arz o samaa ka dobaala huwa
dekho qur'aan khud shaahwaala hua
mil gayi deen ko ek nayi zindagi

jibraeele ameen ki munaadi hai ye
dekho ek shaahzaadi ki shaadi hai ye
aur shaadi magar kitni saadi hai ye
na hai israaf aur na dikhaawa koyi

kaisa saada jahez is dulhan ko mila
ek takya o charkha aur ek aasia
ek khajooro ke patton ka bistar bhi tha
kooza o mashk aur ek suraahi mili

aqde zahra o haidar ki ye sunnatein
momino tumpe bhi farz hai itaa'atein
jaise andaaz zahra ki shaadi ke hain
us taraah byaah do apni beti ko bhi

aqde ke aasmaan par fasaane bhi hain
huro gilmaan ke lab par taraane bhi hain
sher kuch apne hamko sunaane bhi hain
momino tum bhi dohraawo misraa yehi

beithi binte payambar amaari me hain
saath huraane jannat sawaari me hain
phul jannat ke phulon ki kyaari me hai
khushbu hai aaj phayli gali dar gali

ya ali ya ali

ilm aur noor ke do samandar mile
qurbatein barh gayi faasle mit gaye
leke binte nabi ko nabi khud chale
aa ali bol uthe har chaman har kali

jo hi bayte wilaayat me pohnchi dulhan
aayaton se sajaa dekha sehne chaman
sura kausar ka karne laga ye sukhan
mit nahi sakti taa hashr nasle nabi

dekhiye to ay maajid samaa dekhiye
khud payambar bhi hai shadmaan dekhiye
aaj bayte ali me jinaa dekhiye
jalne waale jalein ham kahenge yehi

himat thi ye kis me dare khaybar ko ukhaare

ye maula ali maula ali maula ali hai
ye maula ali hai

himmat thi ye kis me dare khaybar ko ukhaare
antar ko kare zer to marhab ko patchaare
gehwaare me lete huwe ajgar ko bhi phaare
dube huwe suraj ko jo maghrib se ubhaare
ye kaun ajaaeb ka mazhar kaun wali hai

kaabe se imaamat ki kiran phut rahi hai
hal chal hai malaaik me ke saf tut rahi hai
kuffar o munafiq ki kamar tut rahi hai
makke ki zameen durre najaf lut rahi hai
qudsi ki sadaa ta ba falaq sirf yehi hai

hijrat ki raat jaanein mohammad pe bani hain
ek jaan hai khatre me to ek jaan bachi hai
bistar pe hai koyi koyi hamraahe nabi hai
dushman ye samajhte hain ke chaadar me nabi hai
ye kaun hai bistar pe jo hamshakle nabi hai

allah ka wali lam yazali maula ali hai
ehmad ka wasi kashke wali maula ali hai
khaybar ka ghani naade ali maula ali hai
mehshar ka shafi noore jali maula ali hai
kehta hai taqi haa wohi sakhiyon ka sakhi hai

dunya ali ki shaan hataayegi kis tarha

dunya ali ki shaan hataayegi kis tarha
jab keh raha hai khaaliqe anwar quraan me
wa to izzo man tasha wa to zillo man tasha

din ka alam rasul ne haidar ko de diya
majma sahaabiyon ka kharaa dekhta raha
us waqt has ke hazrate jibreel ne kahaa

maula banaa jo faatahe khaibar ghadeer me
ehle hawas ko aa gaye chakkar ghadeer me
kehne lage ye jhoom ke qambar ghadeer me

sardaare ambiya ki ayaadat ke waaste
jo ehle beyte khaas the chaadar me aa gaye
ye fikre parh ke aaya e tatheer me kahe

dozakh me jaate jaate wo jannat me aa gaya
ab us ke sar ka taaj hai rumaale sayyada
hur ka naseeb aaj bhi deta hai ye sadaa

darbaar me jab aaya aseeron ka qaafla
saara ghurur zulm ka mitti me mil gaya
mimbar pe aake sayyade sajjad ne kaha

bacha samahj raha tha jo asghar ko hurmala
khud uska tir us ke liye maut ban gaya
asghar ko hasta dekh ke kehne lagi qazaa

mein to panjetan ka ghulaam hun

mein to panjetan ka ghulaam hun
mein faqire khairul anaam hun

mujhe ishq hai to khuda se hai
mujhe ishq hai to rasool se
ye karam hai sara batool ka
mere mun se aaye mahek sada
jo mein naam lun tera jhoom ke

mein to panjetan ka gulaam hun

mujhe ishq sarw o samal se hai
mujhe ishq saare chaman se hai
mujhe ishq un ke watan se hai
mujhe ishq un ki gali se hai
mujhe ishq hai to ali se hai
mujhe ishq hai to hassan se hai
mujhe ishq hai to hussain se
mujhe ishq shaahe zaman se hai


mein to panjetan ka ghulaam hun

huwa kaise tan se wo sar juda
jahaan ishq ho wahin karbala
meri baat un hi ki baat hai
mere saamne wohi zaat hai
wohi jin ko shere khuda kahein
jinhein baabe salle alaa kahein
wohi jin ko aale nabi kahein
wohi jin ko zaate ali kahein
wohi pukhtha hain mein to khaam hun

mein to panjetan ka ghulaam hun

mera sher kya mera zikr kya
meri baat kya meri fikr kya
meri baat un ke sabab se hai
mera sher un ke adab se hai
mera zikr un ke tufail se
meri fikr un ke tufail se
kahaan mujh me itni sakhat bala
ke ho manqabat ka bhi haq ada

mein to panjetan ka gulaam hun

mein panjetani hun

mein panjetani panjetani panjetani hun
daawa hai mera, naare jahannam se bari hun
mein panjetani panjetani panjetani hun

sojaye jo kismat to jagaa leta hun khud hi
har bighra huwa kaam bana leta khud hi
mein bandaye, sarkaare hussain ibne ali hun
mein panjetani panjetani panjetani hun

diwaana e haidar hun mein ye ishq se sarshaad
abbas ka naukar hun shahe din ka azaadaar
phir kyun na kahun, mein ke muqaddar ka dhani hun
mein panjetani panjetani panjetani hun

mohtaj nahin hun mein zamaane me kisi ka
sadqa mujhe milta hai bohot aale nabi ka
is dar ka, bhikaari hun to aalam me ghani hun
mein panjetani panjetani panjetani hun

yeh baat hawa karti hai aandhi ki zuban me
jo panjetane paak ka dushman hai jahaan me
mein naamo nishaan, in ka mitaane ko chali hun
mein panjetani panjetani panjetani hun

kehta hai azaadaar ka har haath ye uthkar
har ek munaafiq hai mere panje ki zad par
mein haath hun, mo’min ka har ek aisa qawi hun
mein panjetani panjetani panjetani hun

har ehle arab ehle ajam ehle azam ko
panj waqt namaz aake bataati hai ye sab ko
mein aale, muhammad ke gharaane me pali hun
mein panjetani panjetani panjetani hun

roshan meri taqdeer hai bezaar hai ehsaas
hasnain ki ulfat ke ujaale hai mere paas
mein gauhare, naayaab hun farzande wali hun

maula ko pehchaan

maula ko pehchaan
ali hai awal ali hai aakhir jaan are naadaan

paakiza wo log hain jo maula se mohabbat karte hain
qaule nabi hai wo hai najis jo in se adaawat rakhte hain
hubbe ali se ho jaati hai naslon ki pehchaan

ishqe ali me manzil manzil daar pe jaana parta hai
sar ko kataana parta hai ghar baar lutaana parta hai
dekh ke misam ki himmat ko dunya hai hairaan

ek ali ke rup hain kitne koyi kya batlaaega
jitni samajh hai utne taraane shaan me gaata jaaega
kisi ka aaqa kisi ka maula kisi ka hai bhagwaan

yahaan ali hai wahaan ali hai jahaan bhi dekho ali ali
sab ne kahaa ke mere yahaan the mere yahaan the abhi abhi
ek hi din me ali huwe hain chaalis ghar mehmaan

khaata hai maula ka sadqa gaata hai geiron ke gun
ali hai hain dono jagat ke daata dushmane maula sun sun sun
dharti ke har ke har waare par hai maula ka ehsaan

maula ali ka koyi bhi dushman

maula ali ka koyi bhi dushman jannat ka haqdaar nahi
ye hai qaule mursale aazam jhuton ka akhbaar nahi

kalma nahi wo kalma jisme maula ka iqraar nahi
bakhin bakhin kehke jo mukhraa us ka koyi me'yaar nahi

dushmane haidar tera likhna parhna sab bekaar huwa
nuqte ka matlab batlaana tere liye dushwaar huwa
maula ali ka chaahne waala bacha bhi fankaar huwa
ghaflat me hai bughz ka maara hoga kabhi hushyaar nahi

jo bhi musalmaan ashke azaa se sajdon se takraate hain
masjid me to jaate hain lekin majlis se takraate hain
sun sun ke maula ke fazaael jin ke dil ghabraate hain
unke liye jannat ki raahein hongi kabhi hamwaar nahi

badr se le kar karbobala tak dushman tujh se haara hai
sab jangin me fath ka zaamin naame ali ka naara hai
har paighambar ne mushkil me tera naam pukaara hai
tere alaawa paighambar ka koyi alambardaar nahi

aakhein nahi rakhti hai lekin naslon ko barh jaati hai
paaon nahi hain lekin satar satar zagbarh jaati hai
jism ke do tukre karti hai jis sar par charh jaati hai
jaisi teri tegh hai maula aisi koyi talwaar nahi

khul ja kaabe ki divaar aaya haidare karraar

khul ja kaabe ki divaar aaya haidare karraar
ye hai donon jahaanon ka parvardigaar

ek darwaaza banaa tha saari dunya ke liye
ek nayaa dar chaahiye maulude kaaba ke liye
iski azmat par qurbaanye hai naatiqe qur'aan
aysa hoga jahaan me kahaan baar baar

waarise lauh o qalam aamad par wo dhoom ho
kaun aaya hai ye saari dunya ko maaloom ho
saare nabiyon ka sardaar yani ehmade mukhtaar
apne kaandhon pe is ko karega sawaar

noor mera paykare haidar me kuch ayse bhalaa
koyi us ko shere yazdaan maanega koyi khuda
wo mohammad mein mehmood mein hun gaayab wo maujood
mere lehje me baatein karega hazaar

jo ali se ishq karta hoga jannat paayega
aur jis ko bughz hoga wo dozakh me jaayega
is ki ulfat hai mizaan yani dushman ki pehchaan
milke naara lagaao zaraa zor daar

ye mera waada hai tumse fatema binte asad
do jahaan ka zarra zarra maangega is se madad
hoga har mushkil ka hal dekho aaj nahi to kal
saari dunya pukaaregi dul dul sawaar

jashne aamade rasool

jashne aamade rasool allahi allah
bibi aamena ke phool allahi allah

jab ke sarkaar tashrif laane lage
hoor o gilmaan bhi khushiyaan manaane lage
har taraf noor ki roshni chaa gayi
mustafa kya mile zindagi mil gayi
ay halima teri god me aa gaye
donon aalam ke rasool allahi allah

chehra e mustafa jab dikhaaya gaya
jhuk gaye taare aur chaand sharma gaya
aamena dekh kar muskuraane lagi
hawwa maryam bhi khushiyaan manaane lagin
aamena bibi sab se ye kehne lagi
dua ho gayi qabool

shaadiyaane khushi ke bajaaye gaye
shaadi ke naghme sab ko sunaaye gaye
har taraf shore salle ala ho gaya
aaj payda habibe khuda ho gaya
phir to jibreel ne bhi ye eilaan kiya
ye khuda ke hain rasool

ho mubarak tumhe ya nabi

ho mubaarak tumhe ya nabi
bibi zehra ki hai rukhsati
dulha haidar bana zehra dulhan bani
ho mubaarak tumhe ya nabi
aaj zehra ki hai rukhsati
mubaarak mubaarak mubaarak mubaarak

is ke chehre ka ghaaza bani hai hayaa
is ke maathe ka jhumar hai alhamd ka
innama iske haathon ka kangan banaa
dekhiye to guluband hai kulkafaa
khalq me na mili aisi dulhan koyi

aayaton se libaase aroosi banaa
noor chehre pe aaya hai wal fajr ka
aur kalaayi ka zevar bani hal ataa
goshwaare muzammil ke hain ba khuda
saj gayi fatema parh ke naade ali

aaj dharti falak se siwa ho gayi
ye zameen ka muqaddar bhi dekhe koyi
sab yahaan aa gaye khuld khaali huwi
aaj khayrun nisa aisi dulhan bani
aisa dulha banaa aaj haq ka wali

aisa dulha kahaan aisi dulhan kahaan
jin ki khushiyon me shaamil hai kaun o makaan
jagmagaane lagin arsh par kehkashaan
chaand dene lagaa aaj khud hi azaan
muskura kar sada ye sitaaron ne di

mominon ke liye hai khushi ki khabar
gehma gehmi machi hai payambar ke ghar
khush hain salmaan o miqdaad o buzar udhar
shaadmaani hai chehron pe sab ke magar
jalne waalon ke dil par tchuri chal gayi

tehniyat ko chale arsh se ambiya
aur mohammad ke dar par kiya jamghataa
aake jibreel ne arsh se ye kahaa
keh raha hai khuda ay habibe khuda
leke baaraat ko aa rahe hain ali

haq ka irfaan jo paaya

haq ka irfaan jo paaya to ali yaad aaya
dil me quraan samaaya to ali yaad aaya

aadam o nuh payambar ho ya hazrat isa
yunus o khizr ho ilyaas ya hazrat musa
waqt in par bhi jo aaya to ali yaad aaya

ghar tha allah ka maujud makin koyi na tha
koyi aayega yahaan ye bhi yaqeen koyi na tha
dar jo diwaar me aaya to ali yaad aaya

senkaro sur mathe aur pahelwaan hazaar
jo the khaibar me sabhi yaar magar mere yaar
mard ka zikr jab aaya to ali yaad aaya

jism ek ek se do tukre baraabar dekhe
khun ki barsaat huwi urhte huwe sar dekhe
ran me abbas jab aaya to ali yaad

neza o tir o tabar kya koyi khanjar na mila
laakh dhundha kahi kuffar ka lashkar na mila
saaf maidaan nazar aaya to ali aaya

apna kuch hosh na tha itni pareshaani thi
ghame dunya ne mujhe gher liya tha phir bhi
haath momin se milaaya to ali yaad aaya

yun to mein rat ta raha saare sawaal aur jawaab
par naqirein ne turbat me mujhe behre hisaab
aa ke jis waqt jagaaya to ali yaad aaya

zikr nabiyon ka suna khub ya ke baare digar
mein nuseri to nahi kheir se wallah magar
zikr allah ka aaya to ali yaad aaya

jo ke aqwaale payambar ko bhulaa bethe the
ham ali ko bhi nahi jaante jo kehte the
un ko miti me dabaaya to ali yaad aaya

qalbe baatil ko kayi tukron me bat te dekha
takht kya chiz hai darbaar ulat te dekha
khutba zainab ne sunaaya to ali yaad aaya

shabe meraaj ajab baat huwi ya gohar
sun ke aawaaze khuda chonk uthe payghamabar
jab nazar kuch nahi aaya to ali yaad aaya

eid aayi hai rajab shaabaan ki

salle ala ka shor utha
zehra ke gharaane ki ye khushiyaan hain
mubaarak eid mubaarak
eid aayi hai rajab shaabaan ki

tin pisar hain haidar ke
tinon rajab me aaye hain
aamade baaqir huwi pehli rajab ko marhaba
paanchwi aayi rajab aaye naqi salle ala
daswi rajab ko aaye taqi kehte hain jinhe farzande raza
ye tajalli hai dile imraan ki

no rajab ko aaye hain
asghar ibne shaahe hoda
aa gaya zehra ke gulshan me gule umme rabab
tisre baabul hawaaej ka mila jis ko khitaab
arsh pe qudsi jhoom rahe hain aur zameen pe buturaab
jaan hain ye sayyade zishaan ki

tera rajab ko aaye ali
tera rajab ko aaye ali
wo jahaan me aa gaya jo ho gaya ghaalib laqab
aamade binte asad par shak huwi diwaar jab
khush huwa kaaba aur payambar bole abu talib ke lab
ye pisar tasweer hai subhaan ki

bibi zainab ki wilaadat
hai pehli shaabaan ko
shabbar o shabbir jaise bhayi ki hamshir hai
malka e sharm o haya hai waarise tatheer hai
shaan me zehra baat me haidar azm me ye shabbir hai
pehli aayat sabr ke quraan ki

shaabaan ki hai tisri
aur aamad shabbir ki
raahib o fitrus pukaare aa gaya mera sakhi
arsh se jhula jhulaane aa gaye jibreel bhi
raaqibe doshe ehmade mursal fakhre khuda aur fakhre ali
ye khabar hai tisri shaabaan ki

chothi sahar shaabaan ki
aur aamad abbas ki
god me le kar ali bole mera akkaas hai
ye dile zainab dile shabbir ka ehsaas hai
maine dua me maanga tha jisko han ye wohi abbas hai
hai sanad allah ke ehsaan ki

aayi thi shaabaan ki saat
ibne hasan qaasim ke saath
jab liya aaghosh me farwa pukaari ay khuda
hubahu hai baap ki surat ye mera laadla
meri ibaadat meri riyaazat ka ye diya hai tu ne sila
laaj rakhli tu ne mere maan ki

gyaara thi shaabaan ki
thi wilaadat akbar ki
dekh kar is chaand ko wo chaand bhi sharmaa gaya
umme layla ne kaha lo aa gaye phir mustafa
is ke husn ka khums nikaala tab yusuf ko husn mila
maang le kheir zuleikha jism o jaan ki

mehdiye doraan ki aamad
hai pandra shaabaan ko
ay khusha qismat zameen par aa gaya wo maahtaab
wo ujaala din ka hai jaanashine buturaab
mazhare yazdaan ka wo mazhar noore mujassam laajawaab
laaj rakhne aa gaya yazdaan ki

ehlebeyt ki khushiyon me
saare hussaini shaamil hain
ek duje se gale mil kar mubaarak baad do
pehn ke kapre naye ghar ghar charaagha bhi karo
saare hussaini mazhar aur farhaan ki tarha mil ke kaho
eid aayi hai rajab shaabaan ki

dono aalam ki shaahzaadi se

dono aalam ki shaahzaadi se
aaj shere khuda ki shaadi hai

aaj ismat se mil gayi ismat
ya tahaarat mili tahaarat se
chehra qur'aan ka ho gaya roshan
mili aayat jo apni surat se
malkae innama bani hai dulhan
waarise hal ataa ki shaadi hai

is taraf ismaton ka hai kangan
us taraf joshni me joshan hai
kyun mashi'at na fakhr se jhume
jaisa dulha hai waisi dulhan hai
binte uqda kusha ka aqd hai aaj
aaj mushkil kusha ki shaadi hai

saari hurein mili kanizi me
saare ghilmaan mile ghulaami ko
jannatein khalq kardi qudrat ne
binte ehmad teri salaami ko
arsh ta farsh sab jahez me hain
khud razaaye khuda ki shaadi hai

aayaton ne sajaayi hai toli
sadqe jibreel ne utaare hain
har guluband aaj naade ali
aur hadison ke goshware hain
har tasbih kyun na hojaaye
hazrate sayyada ki shaadi hai

hai shabe qadr si baraat ki shab
eid ke din sa din hai shaadi ka
har milan shaahzaada e kul se
aaj jannat ki shaahzaadi ka
jo tchuraayegi naar se ham ko
aaj us fatema ki shaadi hai

din ka aaghaaz hota hai

din ka aaghaaz hota hai nabi ke naam par
din ki takmeel hoti hai ali ke naam par

thak gae jab maangne waale nabi ke naam par
ek din kehne lage de do ali ke naam par

shaam ki taarikiyaan mismaar karne ke liye
jaun ko laae the sarwar roshni ke naam par

aise waison ke kabhi bhi naam par milti nahi
ek milti hai to bas maula ali ke naam par

ham ali waalon ko ye dunya mitaa sakti nahi
maut bhi milti hai ham  ko zindagi ke naam par

jis ke andar kul sifaate ambiya maujud the
bas wohi soyaa shabe hijrat nabi ke naam par

dama dam ya ali haidar

mach gayi dhoom ye ghar ghar
dama dam ya ali haidar

huwa ek noor jo peida huwa taqsim do hissa
huwa ye raaz huwaida sare farshe nabi dekha
tujhe ehmad ke baraabardama dam ya ali haidar

aayi nazraan kinaari huwi maidaan me tayaari
aayi panjtan ki sawaari huwa farmaan ye jaari
ali hai nafse payambar dama dam ya ali haidar

soe bistar pe jo bhaayi raza allah ki paayi
wahi jibreel ne laayi kar diya deke khudaayi
dono aalam ka gawarnar dama dam ya ali haidar

wird tu subh o masaa kar naam maula ka liya kar
pare mushkil to sadaa kar chhor dushman ko dabaa kar
lagaa de naara e haidar dama dam ya ali haidar

teri sarkaar hai aali aaye hain ban ke sawaali
nahi lot aaenge khaali tere maulayi mawaali
aae hain ban ke gadaagar dama dam ya ali haidar

bas tu haidar hi kiye ja naam maula ka liye ja
mae irfaan piye ja joshe imaan liye ja
tu hai sarkaare sukhanwar dama dam ya ali haidar

behre shabbir o shabbar nazare lutf o karam kar
nazr ban jaae ye gauhar hun sanaakhaane sukhanwar
haidari hun tera qambar dama dam ya ali haidar

dam mast qalandar ali ali

ali ali ali ali
aabaad damaadam aadam ki shehrag me ali tan man me ali
lafzon me ali nafson me ali saanson me ali dharkan me ali
darya me ali me maujon me ali baadal me ali saawan me ali

dam mast qalandar ali ali
kaabe ka gauhar ali ali

kaabe ko aake jis ne qibla banaaya
rab ne usi kaabe ko sajda karaaya
jhute khudaaon waale ye keh bhaage
gunj uthe dharti pe har su yehi naare
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

geeta utha kar dekho qur'aan parh lo
taureit kholo chaahe injeel dekho
saare mazaahib waale kehte hain sahife
lafz alag hain sab ke matlab to yehi hai
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

tapte huwe sehra me qaafela roko
waada mohammad apna pura to kar lo
tera wasi ab hoga do jag ka maula
rab ka ghadeere khum me peighaam yehi tha
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

aadam se khaatam tak hai ek aqeeda
jis ne ali ko jaana rab ko bhi jaana
ek wazifa sab ka jitne the payambar
theek hi to kehta tha "shahbaaz qalandar"
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

kaam sabhi ke aaya jis ne pukaara
is ke liye dharti par utra sitaara
wird yehi karte hain ye chaand sitaare
baat yehi kehte hain darya se kinaare
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

kaisi azaane midhat meesam ne di hai
qurbaan tujh par meri jaan ali hai
teri mohabbat dil me aur daar ka mimbar
maine zabaan de di hai ye daar pe jaa kar
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

naame ali me aisa raaz chupa hai
jis ne pukaara parwaan charhaa hai
sab ka ali waris hai tera bhi mera bhi
nusrate rab se bola ye "fathe ali" bhi
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

tausif kya mein likhun apne ali ki
sab se bari hai aayat rabbe jali ki
dekha mohammad ne bhi meraaj pe jaa kar
wird farishton ka tha ye arshe bari par
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

hon jis ke dar ke naukar salmaan jaise
sab us ke madha khwaan hain farhan jaise
rab ka wohi hai mazhar jo rab ka wali hai
maane na maane dunya par sach to yehi hai
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

dam dam ali ali kaho

dam dam ali ali kaho
har dam ali ali

lamhe me wo madine se khaibar pahonch gaye
imdaade din ke waaste khaibar pahonch gaye
mushkil pari hai jab kabhi bole nabi yehi

dar ko tumhaare dekhun to kambar sa hai gulaam
dunya tumhaare naam pe khaati hai subh o shaam
taarif teri kya karun allah ke wali

teri ataa quraan ki tafsir ban gayi
teri ataa se kitnon ki taqdir ban gayi
aao karo madad meri mushkil kushaa ali

dam badam ali ali pukaar

dam badam ali ali pukaar
har qadam ali ali pukaar
tere sune aangan me thelegi bahaar

dar badar bhathakne ka kyun ye rog paala hai
sab ke sab bhikaari hain kon dene waala hai
un se maang unton ki dede jo qataar

paak hai lahu kis ka kis me kya kharaabi hai
kon hai saqifaayi kon buturaabi hai
pal me sab ke chehron se hoga aashkaar

aal ki taraf gar tu ek qadam barhaayega
das qadam zamaane se khud ko aage paayega
kyun ke ye nahi rakhte kisi ka udhaar

ranj o gham ki raahon me bad hawaas betha hai
chal ali ki chokhat par kyun udaas betha hai
bas palak jhapakte hi hoga beraa paar

naame faatahe khaibar gar tera vazifa hai
dur hogi har mushkil ye hamaara daava hai
khaali jaa nahi sakta tera koyi baar

chaahta hai gar tujhse sayyada bhi raazi ho
khush ho khaaliqe akbar mustafa bhi raazi ho
munkiraane haidar pe karde beshumaar

tujhko fatema zehra ki duaayein mil jaaye 
khud teri ziyaarat ko ambiya chale aayein
karbala pahonch jaaye tu jo ek baar

adl aur adaalat ka intezaam lene ko
karbala ka ay nayaab inteqaam lene ko
aane waala hai koyi leke zulfiqaar

ali ke saath hai zehra ki shaadi

sabhi khush hain
sabhi khush hain khudaayi bhi khuda bhi
ali ke saath hai zehra ki shaadi

larka hai khuda ke ghar ka larki hai nabi ke ghar ki
wo arz o samaan ka maalik ye malika behr o bar ki
zameen raksa hai raksa aasmaan bhi

haidar hai kulle imaan aur kulle ismat zehra
us sar pe wafa ka sehra is sar pe haya ka sehra
wo shehzaada hai aur ye shaahzaadi

dulha ke roop me pyaare ali ibne taalib hain
tha baap bhi sab se ghaalib ye bhi kulle ghaalib hai
ye daamaade nabi hai aur wo sambdhi

baaraat chali haidar ki rehmat ke saaye saaye
baaraat ke aage aage qur'aan qaside gaaye
nabi saare chale ban kar baraati

tohfe me mile mehk aise inhein jannat aur kawsar ko
ye saara namak aur paani haq mehr mila zehra ko
salaami me mili marzi khuda ki

qudrat ki taraf se inko abhi tohfe aur milenge
kal inke haseen aangan me do asli phul khilenge
haseen shajarein jinhein denge salaami

ab chaahe koyi bharke ab chaahe koyi tarpe
ab meri bhalaa se chaahe mar jaaye koyi jal jal ke
khushi ki baat thi maine sunaadi

kaise ho bayaan wo manzar jab khatm huwi sab rasmein
kaunein ki har sheh gauhar kehti thi kha kar qasmein
mubaarak hai mubaarak hai ye shaadi

ali aur zehra ki shaadi

ali aur zehra ki shaadi ratchi hai
zameen se falaq tak khushi hi khushi hai

chiraagha hai jannat ke divaar o dar par
bohot khush hain hurrein khushi ki khabar par
farishton ke lab par bhi naade ali hai

banaaya hai maryam ne dulhan ka jora
sajaaya hai taaron se saaraah ne kangan
har ek moje kausar mehekne lagi hai

hai dulha ki pagri nabi ka amaama
hai poshaak dulha ki aadam jaama
jo hai phul sehre ka wo haidari hai

hai jannat ke phulon se mehki fizaaein
chali virde salle alaa ki hawaaein
khudaara ke dulha abu taalibi hai

ye kausar ke maalik wo khaatune jannat
ye mushkil kushaa hai wo binte risaalat
khuda ne ye donon ki jori chuni hai

huwa aqd zehra se maula ali ka
huwa khwab pura khuda ke nabi ka
ke daamaad unka khuda ka wali hai

ye kausar ke maalik wo khaatune jannat
ye mushkil khusha hai wo binte risaalat
khuda ne ye dono ki jhori chuni hai