Friday, 31 October 2014

haq ka irfaan jo paaya

haq ka irfaan jo paaya to ali yaad aaya
dil me quraan samaaya to ali yaad aaya

aadam o nuh payambar ho ya hazrat isa
yunus o khizr ho ilyaas ya hazrat musa
waqt in par bhi jo aaya to ali yaad aaya

ghar tha allah ka maujud makin koyi na tha
koyi aayega yahaan ye bhi yaqeen koyi na tha
dar jo diwaar me aaya to ali yaad aaya

senkaro sur mathe aur pahelwaan hazaar
jo the khaibar me sabhi yaar magar mere yaar
mard ka zikr jab aaya to ali yaad aaya

jism ek ek se do tukre baraabar dekhe
khun ki barsaat huwi urhte huwe sar dekhe
ran me abbas jab aaya to ali yaad

neza o tir o tabar kya koyi khanjar na mila
laakh dhundha kahi kuffar ka lashkar na mila
saaf maidaan nazar aaya to ali aaya

apna kuch hosh na tha itni pareshaani thi
ghame dunya ne mujhe gher liya tha phir bhi
haath momin se milaaya to ali yaad aaya

yun to mein rat ta raha saare sawaal aur jawaab
par naqirein ne turbat me mujhe behre hisaab
aa ke jis waqt jagaaya to ali yaad aaya

zikr nabiyon ka suna khub ya ke baare digar
mein nuseri to nahi kheir se wallah magar
zikr allah ka aaya to ali yaad aaya

jo ke aqwaale payambar ko bhulaa bethe the
ham ali ko bhi nahi jaante jo kehte the
un ko miti me dabaaya to ali yaad aaya

qalbe baatil ko kayi tukron me bat te dekha
takht kya chiz hai darbaar ulat te dekha
khutba zainab ne sunaaya to ali yaad aaya

shabe meraaj ajab baat huwi ya gohar
sun ke aawaaze khuda chonk uthe payghamabar
jab nazar kuch nahi aaya to ali yaad aaya

No comments:

Post a Comment