Tuesday 30 September 2014

Main Shikayat Kyu Karun

Main Shikayat Kyu Karun ,
Yeh Toh Kismat'on Ki Baat Hai ..

Tere Soch Main Bhi Mai Nahi ,
Mujhe Lafz b Lafz Tu Yaad Hai..

Mujhe Mohabbat Hai

Mujhe Mohabbat Hai
Tere Qadmon Ki Aahat Se
Teri Har Muskurahat Se
Teri Baaton Ki Khushbu Se


Teri Aankhon Ke Jaadu Se
Teri Dilkash Adaon Se
Teri Qatil Jafaun Se
Mujhe Ab Bhi Mohabbat Hai


Teri Rahon Me Rukne Se
Teri Palkon K Jhukne Se
Seher-o-Sham Haathon Pe
Tera Hi Naam Likhne Se


Tere Taish-o-Adawat Se
Teri Be-wajah Shikayat Se
Yahan Tak k Aye Meri Jaan
Teri Har Ek Aadat Se


Mujhe Mohabbat Hai
Mujhe Mohabbat Hai.

Apne Matlab K Elawa kon Kisi Ko Pochta hai

Apne Matlab K Elawa kon Kisi Ko Pochta hai
Bina Rooh k to Ghar Wale B Mayyat Ko Nai rakhte.

Na-Jane Kab Se Ho Gaye Itne Shiddat Pasand Hum.

Na-Jane Kab Se Ho Gaye Itne Shiddat Pasand Hum.........
Jab Tak Zakham Na Khaye Tassali Hi Nahi Hoti..

Yaad Naa Dilaao Unka Waada

Yaad Naa Dilaao Unka Waada,
Sharminda Hoon Main Khud Bhi Aitbaar Kar Ke...!!

uSay Main DiL Mein Rakh Leta

uSay Main DiL Mein Rakh Leta,
AGar Hota Yeh Bus Mein Mere…!

uSay Sab Dekhtay Hain,
MuJh Se Yeh Dekha Nahi Jaata .

Tere Bagair Is Zindagi Ki Hume Zarurat Nahi

Tere Bagair Is Zindagi Ki Hame Zarurat Nahi
Tere Siwa Hame Kisi Aur Ki Chahat Nahi


Tum hi Rahoge Hamesha Mere Dil Mein
Kisi Aur Ko Is Dil Mein Aane Ki Ijaazat Nahi

Mujhe khasta haal dekh kr

Mujhe khasta haal dekh kr
tere phool se hont khil utthay...

Mujhe apnay haal ka gham nahin
tere muskrane ka shukria...

Phir Nahi Baste Wo Dil Jo Ek Bar Ujar Jate Hain

Phir Nahi Baste Wo Dil Jo Ek Bar Ujar Jate Hain
Qabrein Jitni Bhi Sanwaro Wahan Ronaq Nahi Aati...

Na ShauQ-E-Deedar' Na Fikr-E-Judai

Na ShauQ-E-Deedar'' Na Fikr-E-Judai...!!
Kitne khush Naseeb Hain Woh'' Jo Mohabbat Nahi karte.

Barish Ki Sard Hawaon mein Phir Koi Suhani Yaad Aayi

BARISH Ki Sard Hawaon Mein 
Phir Koi Suhani Yaad Aai, 

Kuch Apna Zmana Yaad Aaya 
Kuch Beeti Kahani Yaad Aai... 

Iqraar Kia Tha Usny Bhi K Tum Sy
MUHABBAT Hy Mujh Ko, 

Lo Bethay Bithaaye Aaj Hmen 

Wo Baat Purani Yaad Aai... 

Hm Bhool Chukay Thy 
K Kisi Ne Hmen Dunya Mein Akela Chor Dia, 

Jb Ghor Kia To Ek Soorat 
Jaani Pehchani Yaad Aai. 

Kuch Paaon k Chaalay, Kuch Ashk_e_Rawan
Kuch Sapnay Or Kuch Tanhai 

Us Bichry Huye Ham'raahi Ki 
Aj Hr Ek Nishaani Yaad Aai.

Hasrat Hai K Thaam Lon Main Hath Un Ka Zor Say

Hasrat Hai K Thaam Lon Main Hath Un Ka Zor Say
Magar Kambakht Un Ki Chooriyon Pay Taras Aata Hai.

TU NE chaha hi nahi halaat to badal sakte the

Tu Ne Chaha Hi Nahi Halaat To Badal Sakte The,
Tere Aansu Meri Aankhon Se Nikal Sakte The…
Tu Ne Samjha Hi Nahi Wafa Ki Qeemat Ko Warna
Narm Lafzon Se To Pather Bhi Pighal Sakte The…
Hum To Therey Hi Rahe Jheel Ke Pani Ki Tarha
Agar Dariya Bante To Bohat Door Nikal Sakte The.

Maloom hOta Tujhe chahne ki Itni Bari Saza Ho G

Maloom hOta Tujhe chahne ki Itni Bari Saza Ho Gi..
Teri Qasim pehly Saza lety phir tujhe apna Bna lety…

pagal wo kar deti hogi

Pagal wo kar deti hogi
Ab b jab wo hansti hogi

Mujh ko to barbad kiya hay
Khud bhi shayad roti hogi

Arsa beeta hay bin daikhay
Janay ab wo kesi hogi

Us k hath ki raikhaoön men
Ik raikha meri bhi hogi

Jis din us say milna hoga
Shaam bhi us k jesi hogi

Jin hathön ko men nay chooma tha
Un ko ab tak takti hogi

Sun kar mera naam wo shayad
Aik Lamhay ko chonkti hogi

aur kisi ko na bole chahe
dil hi dil mein mujh pe marti hogi...

Janay ab wo kesi hogi

GALTI MERI THI

GALTI MERI THI�
Usne mujhe chaha hi nahi�
Main chahat samajh betha.
.
�GALTI MERI THI�
... . Uski pal bhar ki muskurahat ko piyar samjh baitha
.
�GALTI MERI THI�
.
Wo to har baat par haan karti thi Main hi
iqraR samjh baitha .
�GALTI MERI THI�
.
Usne mujhse ziyada ehmiyat di
mere doston ko Main uski ye ada mazakh
samjh baitha
.
�GALTI MERI THI�
.
Usne kaha bhi tha koi or hai meri zindagi
mE Main hi khud ko uski zindagi
samajh baitha
.
�GALTI MERI

Ek Tery Baghair Hi Na Guzray Gi Ye Zindagi.

Ek Tery Baghair Hi Na Guzray Gi Ye Zindagi..
Bhala Mein Kiya Karon Ga Sary Zamany ki Mohabbat Lay ker.

Kuch Baat hai Teri BaAton main jo BaAt yahan tak aa PohncHi.

Kuch Baat hai Teri BaAton main jo
BaAt yahan tak aa PohncHi..

Hum Dil se gaye, Dil TuM pe gAya,
Aur Baat KaHan tak ja pohNchi

zindagi kuch veeran si lagne lagi he

Zindagi kuch veeran si lagne lagi he
jab se tum juda hoye ham se

Wo Parinda Jisay Apni He Pervaaz Say Furset Na Thi

Wo Parinda Jisay Apni He Pervaaz Say Furset Na Thi
Aaj Tanha hHua To Meri He Dewaar Pay Aa Betha

Tujhe haq diya hai main ne mere sath dil lagi kar

Tujhe haq diya hai main ne mere sath dil lagi kar.
Mere dil se khail, jab tak tera dil bahl na jaye 

Hmary chahny waly hmain bhool gey to kya huwa

Hmary chahny waly hmain bhool gey to kya huwa 
jab mosam badlta hai to pattey jhar hi jaty hain

M0habat ki Haqeeqat Se Ham kh00b Waqif The

M0habat ki Haqeeqat Se Ham kh00b Waqif The
Y0un hi Zra Sa Sh0q Huwa Tha Dil Barbaad karne ka...

Apne Matlab k ilawa kon kisi ko pochta Hai

Apne Matlab k ilawa kon kisi ko pochta Hai 
Shajar jab sokh jayen tu parindy b basera nahin karty.

Tu Nahi To Zindagi May Aur Kya Reh JayeGa

Tu Nahi To Zindagi May Aur Kya Reh JayeGa
Door Tak Tanhaeyon Ka Silsala Reh JayeGa*

Ankhein Taaza Manzaron Main Koh To JayenGe Magar
Dil Puranay Mosumon Ko Dhundta Reh JayeGa

Masroofiyat Mein Aati Hai Be'Had Tumhari Yaad..

Masroofiyat Mein Aati Hai Be'Had Tumhari Yaad..
Fursat Mein Teri Yaad Se Fursat Nahi Mujhe....!!
Meri Har Nazar Teri Muntazir Teri Har Nazar Kisi Or Ki
Meri Zindagi Teri Bandagi Teri Zindagi Kisi Or Ki
Kabhi Waqat Jo Mille Tujhe Zara Aa K Dekh Mere Hal Ko
Meri Har Ghari Tere Liye Teri Har Ghari Kisi Or Ki
Mujhe Siraf Teri Talab Thi Par Jaane Mujhe Tu Q Na Mili
Tu Usse Milla Mere Sanam Jise Thi Talab Kisi Or Ki

Hum Ne Bulbul Se Jo Pucha Dard -e- Furqat Ka Ilaaj

Hum Ne Bulbul Se Jo Pucha Dard -e- Furqat Ka Ilaaj
Shakh -e Gul Se Gir Pari, Tarap- Tarap Ky Mar Gayi...

Mujh Se Naraaz Hai, To Chhor De Tanha Mujh Ko

Mujh Se Naraaz Hai, To Chhor De Tanha Mujh Ko,
Aye Zindagi! Dekh Mujhe Roz Tamaasha Na Bana….

Door jakar bhi hum door jaa na sakenge

Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,
Kitna royenge hum bata na sakenge,


Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge

MehNdI Ch Tan KudI Di JaaN HundI Ae

MehNdI Ch Tan KudI Di JaaN HundI Ae ,,
RaCh JaaVe GoodI Tan PyaR Di PehChaaN HundI Ae 

Mere Marney Per Kisi Ko Ziyada Farq Na Hoga

Mere Marney Per Kisi Ko Ziyada Farq Na Hoga
Bus Ek Tanhai Roye Gi k Mera humsafar Chala Gaya

Itna Na Sata Dekh Mujhe Gardish.e.Dooraan

Itna Na Sata Dekh Mujhe Gardish.e.Dooraan !!
Kamzoor Hoon, Shaaista.e.Aalaam Nahin Hoon

Mazhab Hay Mera Ishq To Maslak Hai Mohabbat
Is Baab Main To Mourd.e.Ilzaam Nahin Hoon

Din Raat Jo Hain Mujh Pe Inayaat Musalsal
Itna Tou Bura Ae Ghum.e.Ayaam Nahin Hoon

Her Ashk Chiraag.e.Shub.e.Umeed Hai Mera
Jo Raah Takey Subha Ki, Wo Sham Nahin Hoon

Aadaab.E.Mohabbat Se Hoon Waqif Main Yaqeenan
Haan Ye Hai Ke Paband.e.Raah.e.Aam Nahin Hoon

Kiya Choor Doon Duniya Ke Liye Goosha Nasheeni?
Sadd Shuker Hai Sarver, Ke Main Khud Kalaam Nahin Hoon

Her Nazar Hoti Hai Khud Apne Hi Dil Ka Aaina

Her Nazar Hoti Hai Khud Apne Hi Dil Ka Aaina
Jis Ne Dekha, Jis Nazar Se, Us Tarah Jaana Mujhe...

Taazi Hai Ab Bhi Us Mulaaqat Ki Khushbu

Taazi Hai Ab Bhi Us Mulaaqat Ki Khushbu,
Jazbaat Me Dube Hue Lamhat Ki Khushbu,


Jis Phul Ko Pal Bhar K Lye Thaam Liya Tha,
Muddat Se Haathon Me Hai Usi Gulaab Ki Khushbu…

Yad karke mujhe taklif he hoti hogi

Yad karke mujhe taklif he hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko.


Doobte doobte awaz teri sun jaun.
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko.


Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin.
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko.


Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah.
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko.


Roothna tera meri jaan lie jata hai.
Aese naraz na ho haske dikhade mujhko.


Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhse.
Uski galion main pari khak banade mujhko.


Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai.
Main bhi is ishq mani aya hun, dua de mujhko.


Yahi oqat hai meri tere jeevan main ke main.
Koi kamzor sa lamha hun. bhulade mujhko

SUNA THA K DARD KA EHSAS APNON KO HOTA HAI

SUNA THA K DARD KA EHSAS APNON KO HOTA HAI 
JAB DARD HE APNEY DEIN TO EHSAS KON KARE

Kitna bebas hai insaan kismat ke aage

Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
Kite door hai sapne haqiqat ke aage,


Koi ruki hui Dhadkan se puche,
Kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage…

Mujhe Itna Na Chaho Ke Main Tum Ko Khuda Samajh Bethun

Mujhe Itna Na Chaho Ke Main Tum Ko Khuda Samajh Bethun
Mujhe Ehsas Rehne Do Meri Apni B Hasti Hai.

Kardi ha tere nal moh ve sohneya

Kardi ha tere nal moh ve sohneya,,
Hasdi ne dil kar dita tere naa ve sohneya

Aansuon ko khabar kese hui teri judai ki,

Aansuon ko khabar kese hui teri judai ki,
Shayd k khud hi nikal pare hain teri talash mein

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala,

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala,
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi.

Ay Ishq Janat Main Tari Koi Jagah Nahi,
Qaatil Hy Tu Bary Masoom Logon Ka

Aakhon Ki Zuban Wo Samajh Nahi

Aakhon Ki Zuban Wo Samajh Nahi
Pate Honth Hain Magar Kuch Keh Nahi

Pate Apni Bebasi Kis Tarah Kahen Koi
Hai Jinke Bina Hum Reh Nahi Pate

Rait ki Tarah mutthi say Phisal Jatay hAin yeh Sunhre Pal,

 Rait ki Tarah mutthi say Phisal Jatay hAin yeh Sunhre Pal,
Haath Mein reh jati hay bas.. RAit ki Chamkili Chubhan.

Na koi kisi se DOOR hota hai.

Na koi" kisi se DOOR hota hai.
na koi kisi ke Qareeb hota hai.

Mohabat khud Chal kr ati hai
Jub Koi ksi ka  NASEEB hota hai...

Ah Wada-Faramosh Teri Khair Ho Lakin

Ah Wada-Faramosh Teri Khair Ho Lakin.... 
Ik Baat Meri Maan K Waada Na Kiya Kar....!

jäise chähte Thay Häm

jäise chähte Thay Häm
WO B Hämäin Chahté TO Kyä

Bäät HOti 
Pänè Ka
Ärman TO Tha

Bin Mangè Mil
Jätè TO Kyä Bäät HOti

Is Dil Mäin Pyär
Thä Kitna WO"JÄÑ Lete

TO kya Bäät HOti Häm Näy
Mängä Thä Unhain Khudä

Säy WO B Mäng Lètè TO"KYä Bäat hoti.

Ye dil na jaane kya kar baitha.

Ye dil na jaane kya kar baitha.
Mujhse puche bina hi faisla kar baitha.

Iss zameen par toota sitara to nahi girta.
Aur ye pagal chand se dosti kar baitha

itni wafain bhi na karna kabhi kisi sey

itni wafain bhi na karna kabhi kisi sey
dil ki gehrai se cha jaye tu log magror ho jaty hain.

Gehri Thi Raat Lekin Hum The K Soye Nahi

Gehri Thi Raat Lekin Hum The K Soye Nahi,,
Dard Bohat Tha Dil Me Par Hum Roye Nahi,,

Koi Nahi Hai Hamara Jo Puche Hum Se,,
Jaag Rahe Ho Kisi k Liye, Ya Kisi k Liye Soye Nahi,.

Sunday 28 September 2014

kehne ko tu mohabbat hai lekin

Kehne Ko Mohabbat Hai Lekin,
Ab Aisi Mohabbat Kya Karni...


Jo Neend Chura Le Aankh0 Se,
Jo Khwab Dikha Kar Phoolo Ke,


Tabir Me Kante De Jaye...
Jo Gham Ki Kali Raat0 Se,


Har Aas Ka Jugnu Le Jaye...
Jo Khawab Sajati Aankh0 Ko,


Aansu Hi Aansu De Jaye...
Jo Mushkil Kr De Jeene Ko,


Jo Marne Ko Aasaan Kare...

Wo Dil Jo Pyar Ka Mandir Ho,

Wo Yaad0 Ko Mehman Kare...
Ab Aisi Mohbat Kya Krni...


Jo Umr Ki Naqdi Le Jaye,
or Fr Bhi Jholi Khali Ho...


Wo Surat Dil Ka Rog Bane,
Jo Surat Dekhi Bhaali Ho...


Jo Kissa Bana De Insan Ko,
Jo Ranjha Or Farhad Kare...


Ab Aisi Mohabbat Kya Krni...
Jo Khushiy0 Ko Barbad Kare

Suno ay chand si larki

Suno ay chand si larki 

Abhi tum keh rAhi thi na! 
Tumhen mujh se muhabat ho nahi sakti 
Chalo mana k ye sach hai 
Magar ay chand si larki 

Muje itna batao tum 
K jab mosam badalty hen 
Gulon mein rang bharty hen 
To phir kyun muztarib ho kar 
Akely pan se ghabra kar 

Hawa ko raaz deti ho 
Muje awaz deti ho.... 
Sonu ay chand si larki 
Tumhary samny koi 

Mera jab naam leta hai 
To phir kyun chonk jati ho 
Chalo mana tumhen mujse muhabat ho nahi sakti 
Magar itna samaj lo tum 

Jahan chahat nahi hoti 
Wahan nafrat k honey ka 
Koi imkaan nAhi hota 
Mera daawa hai chahat mein 
Jahan nafrat nahi hoti 

Wahan aksar ye dekha hai 
Agar kuch waqt kat jaye 
Samay ki dhool chhat jaye 
To wehshat bhaag jati hai 
Muhabbat jaag jati hai...

Kaha Tha Na Meri Khamoshiyon Ko Tum

kaha tha na!!!
meri khamoshiyon ko tum koi mainay nahi dena
judai ki sabhi baatien meri ankhon mein parh lena
meri iss muskurahat mein,

agar mahsoos kar pao
to mere ansooN ki tum nami mahsoos kar lena
kaheen jo rah gayi hai wo kami mahsoos kar lena

meri sochien!!

mere alfaaz ka jab roop leti hain
tumhara aks banta hai
meri neendoon mein jab jab ratjagoon ke deeep jaltay hain

tumhara zikr chalta hai
tumhari yaad maazi ke dareechay khool deti hai
tumhari shabnami aahat ye mujh se bol deti hai

kaha tha na!!

humaray darmiyan ye faslay qismat mein likhay hain
aur iss qismat ke likhay ko
badal tum bhi nahi saktein, badal mein bhi nahi sakta

magar mushkil yehe hai hijr ke parpeech raston per
sambhal tum bhi nahi saktien, sambhal mein bhi nahi sakta
to behter hai ke hum ek dosray ki yaad ke humrah hojayien

ke abh ke iss mohabat se
nikal tum bhi nahi saktien, nikal mein bhi nahi sakta
suno jaanaaN

tumhari shabnamni aahat mere andar dharkti hai
magar jab khaamshi se tum koi maaini nahi letien
to ye dil rooth jata hai
mere ander kaheen per kuch achanak tooot jata hai…
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
To Chaand Raaton Ki
Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina


Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon
Aagiray To Yeh Jaan Laina

Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa

Agar Naa Aaye?

Magar Yeh Mumkin Hi Kis
Tarha Hai Kay Tum Kisi
Par Nigah Daloo


Too Us Ki Deewaar e Jaan

Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye
Agar kabhi Meri Yaad Aaye


Garaiz Karti Hui Hawaoon

Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main
Tumhain Miloon Gaa


Mujhay Gulaab Ki Patioon
Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous


Khushbhuoon Main

Naa Paoo Mujh Koo
To Apnay Kadmoon Main
Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon


Main Tumhain Miloon Gaa
kahin Pay Roshan Chiraagh
Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay


Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In
Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar


Sumandar Main Safar Karoon Gaa
]Kisi Naa Dekhay Huay
Jazeeray Par Ruk Kay
Tumhain Sadain Doon Gaa


Sumandaroon Kay Safar
Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Yehi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi

Yehi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tu Nay Diya Hay To Koi Baat Nahi

Yahi Bohat Hay K Tum Dekhti Ho Sahil Se
K Safena Dhoob Raha Hay To Koi Baat Nahi

Rakha Tha Aina-E-Dil Main Choopa Ka Tum Ko
Wo Ghar Choor Diya Hay To Koi Baat Nahi

Tum Nay Hi Aina Dil Mara Banaya Tha
Tum Nay Hi Toor Dia Hay To Koi Baat Nahi

Bilakhar Zeesat K Kabal Bana Hoon
Bari Moshkal Se Pathar Dil Bana Hoon

Wo Aay Hain Sarapa-E- Jesim Ban Kar
Main Ghabra K Mujasma-E-Dil Bana Hoon

Jahan Maqtool Hi Theray Hain Mujram
Yahi Kuch Soch K Katal Bana Hoon

Bara Mohtat Hon Tari Mahfil Main
Tari Janib Se So Gafil Bana Hoon

Main Kha Kar Thookrain Tari Ghali Ki
Bra Murshad Bara Kamil Bana Hoon

Koi Samjhay Ga Kiya Mujko
Main Khod Apnay Liye Mushkal Bana Hoon

baray masoom jazbon se

Baray Masoom Jazbon Se
Wo Apnay Shokh Haathon par

Wafa ki Surkh Mehndi Se
Usi ka Naam Likhti Hai,

Jisay wo Pyaar karti Hai
Mgr wo Na Smajh Larki

Abi Tak Ye Nhi Samjhi,
K Sapnay Toot Jaayen To

Bohat Barbaad kartay Hain.
Ye ujhlay Rang Haathon Par,

Kbi Thehra Nhi karte.
Mohabat To Haqeeqat Hai..

Koi Sapna Nahi Hota. 
Kisi ka Naam Likhnay Se

Koi Apna Nahi Hota...!

Gehri Thi Raat Lekin Hum The K Soye Nahi,,

Gehri Thi Raat Lekin Hum The K Soye Nahi,, 
,,Dard Bohat Tha Dil Me Par Hum Roye Nahi,, 

,,Koi Nahi Hai Hamara Jo Puche Hum Se,, 
,,Jaag Rahe Ho Kisi k Liye, Ya Kisi k Liye Soye Nahi,.
Kisi Ka Ishq Kisi Kaa Khayal Thay Hum Bhi
Gaye Dinon Mein Boht Ba'kamal Thay Hum Bhi

Hamari Khoj Mein Rehti Thein Titlian Aksar
K Apny Sheher Ka Husn-O-Jamal Thay Hum Bhi

Zameen Ki Goad Mein Sir Rakh K So Gaye Akhir
Tumhary Hijr Mein Kitny Nidhal Thay Hum Bhi

Hum Aks Aks Bikharty Rahy Issi Dhun Mein
K Zindagi Mein Kabhi Laazwal Thay Hum Bhi

Kisi Ki Yaad Ne Hum Ko Nikama Kar Diya "GHALIB"
Warna Admi To Be'mesaal Thay Hum Bhi
Kabhi Meharban Tha Tu Kabhi Anjan Tha.
Mera Wehem Tha Ya Woh Mera Guman Tha.

Dey Kar Zakham Woh Marham Rakhta Tha.!
Ban Raha Tha Ya Waqai Woh Itna Nadan Tha.

Mujh Sy Bichar Gaya Tha Woh Ek Raat.!
Woh Shakhs Ju Kal Tak Meri Pehchan Tha,

Kash K Woh ban Jata Hamara Hamdam.!
Kitna Dil Ko Es Baat Ka Arman Tha.

KHUDA Ko Chahtey Itna Tu Kuch Mil Bhi Jata
HamNy Chaha Jis Ko Afsos wo ik insan tha.. …

Zindagi Mein Do Minute Koi Mere Paas Na Baitha

Zindagi Mein Do Minute Koi Mere Paas Na Baitha,
Orr Aaj Sab Mere Paas Baithe Jaa Rahe Thhe,

Koi Tohfa Na Mila Kisi Ka Aaj Tak Mujhe,
Orr Aaj Phool Hi Phool Diye Ja Rahe Thhe,

Taras Gaya Main Kisi Ke Hath Se Diye Ek Kapde Ko,
Orr Aaj Yun Naye Naye Kapde Odhaye Ja Rahe Thhe,

Do Kadam Sath Na Chalne Ko Tayaar Tha Koi,
Orr Aaj Kafila Banakar Sab Jaa Rahe Thhe,

Aaj Pata Chala Ke “Maut” Itni Hassin Hoti Hai,
Kambhakt “Hum” To Yuhi Jiye Ja Rahe Thhe.

Thursday 25 September 2014

kOn Rok Sakta hAi

Laakh Zabt Khwaaish Key
Be-Shumaar Daawey hOn
Us Ko BhOol Jaaney Key
Be-Panah Iraadey hOn

Aur Us mOhabbat Ko Tark Kr Key Jeenay Ka
Faisala Sunaaney Ko
Kitney Lafz SOchey hOn
Dil ko Us Ki Aahat Pey

Bar-Mala Dharakney Sey kOn Rok Sakta hAi
Phir Waffa Key SehRa Mein
KhUsbOoun Ko ChOoney Sey
jUstajOo Mein Rehney Sey

ROoh Tak PiGhalney Sey
Nangey PaaOn Chalney Sey
kOn Rok Sakta hAi?
AanSOoun Kii BaaRish Mein

Chahey Dil Key HaathOn Mein
Hijjr Key mUsafir Key PaaOn Tak Bhi Chu Aao
Jis Ko lOat Jana hAi Us Ko dOor Jaaney Sey

RaaSta Badalney Sey
dOor Ja Nikalney Sey
kOn Rok Sakta hAi ??

Aaj Us Shehar Sey Phir Door Chala Aaya Hon

Aaj Us Shehar Sey Phir Door Chala Aaya Hon
Main Ney Jis Shehar Mein Jeeney Ka Tareeqa Seekha
Jis Ki Manoos Fizaaon Mein Buney They Naghmien
Ibn E Aadam Sey Mohabbat Ka Saleeqa Seekha
Jis Ki Galiyon Mein Meray Dil Ki Kall Mehkii Thii
Meri Aankhon Meri Nas Nas Mein Saroor Aaya Tha
Jis Mein Eik Hawa Ki Betii Ney Kiye They Waadey
Apni Masoom Adaaonsey Yeh Samjhaya Tha
Kitney Anmol Haseen Khwaab Tumhien Daiti Hon
Aur Tum Ho Key Na Haq Hii Guraizaan Tum Ho
Main Jo Haazir Hon Tera Dard Battaney Key Liye
Phir Bhi Kya Baat Hai Kyon Itney Preshaan Tum Ho
Jis Ki Khusboo Rang Haseen Waadon Mein Aa Kar Mein Ney
Dil E Veraan Ka Darwaza Khula Chor Diya
Jis Ki Ulfat Ney Badal Daali Thi Dunya Merii
Jis Ki Chahat Ney Meri Zeest Ka Rukh Moar Diya
Yak Ba Yak Us Shehar Ney Phir Mujh Sey Nigaahien Phairien
Merii Chaht Meray Jeewan Mein Zehar Ghol Diya
Meray Armaanon Ko Rangeen Kafan Pehna Kar
Zar Key Bazaar Mein Jazbon Ka Nirakh Bol Diya
Aaj Us Shehar Sey Phir Door Chala Aaya Hon
Jis Ki Galiyon Mein Meri Zeest Ka Samaan Lutta
Jis Key Eik Koochey Mein Wohi Maah-Jabeen Rehtii Hai
Jis Key Bazaaron Mein Eik Sada Sa Insaan Lutta

Tujhay kaha na

Tujhay kaha na, kay tu hamaisha say raigaan mujh ko soochta hai, wo tu nahi hai
jo mairi chahat, mairi muhab’bat ki dhoop chaoon ka zaviyah hai, wo tu nahi hai
tairi rafaqat ki chaoon mairi hayaat, mairi kainaat bhi aur nijaat bhi hai
magar yeh mujh main jo shaeri ki fizaein hamvaar kar raha hai, tu nahi hai
yeh chaar shamain jo moutabar si fiza main hum nay guzaar li hain to yeh ghanimat
ab is say agay jo muntazir ik charaagh asaar rasta hai, wo tu nahi hai
main manti hoon kay mairay khwaboon main tairi khushboo ki chandni bhi kaheen kaheen thee
yeh shehr laikin mairay hawalay say jin ko tasleem kar raha hai, wo tu nahi hai
wisaal mausam kay khwaab main thee ya hijr kay baynishaan dukh kay azaab main hoon
jo saya saya ikatha kar kay dukhoon say mujh ko nikalta hai, wo tu nahi hai!