Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts

Sunday, 5 April 2015

Kash main tere haseen hath ka kangan hota!

Kash main tere haseen hath ka kangan hota! 
Tu bade pyar se bade chao se bade arman k sath 
Apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko 
Aur betabi se furqat k khizan lamhon mein 


Tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko 
Main tere hath ki khushbu se mahak sa jata 
Jab kabhi mood mein aa kar mujhe chuma karti 
Tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata 


Raat ko jab bhi tu nindoon ke safar par jati 
Marmari hath ka ik takya banaya karti 
Main tere kan se lag kar keheen batain karta 
Teri zulfoon ko tere gal ko chuma karta 


Jab bhi tu band qabaa kholne lagti janan 
Apni ankhon ko tere husn se khera karta 
Mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha 
Main teri ruh k gulshan mein mahakta rehta 


Main tere jism k angan mein khanakta rahta 
Kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota 
Kash main tere haseen hath ka kangan hota!

Saturday, 4 April 2015

Kaho To Laut Jatey Hain

Abhi to baat lamhon tak hai, salon tak nahien aai
Abhi muskanon ki nobat bhi nalon tak nahien aai
Abhi to koi majbori khiyalon tak nahien aai
Abhi to gard peron tak hai, balon tak nahien aai

Kaho to laut jatey hain
Chalo ek faisla karney shajar ki aut jatey hain

Abhi kajal ki dori surkh galoon tak nahien aai
Zuban datoon talak hai, zehr piyalon tak nahien aai
Abhi to mushk-e-kustori ghazalon tak nahien aai
Abhi rodad-e-beunwan humaray darmiyan hai, duniyan walon tak nahien aai

Kaho to lout jatey hain
Abhi nazdeek hain ghar aur manzil door hai apni
Mubada nar ho jaay ye hasti noor hai apni
Kaho to lout jatey hain

Ye rasta piyar ka rasta, rasan ka dar ka rasta, bohat dushwar hai janaan
Keh is rastay ka har zarra bhi ek kohsar hai janaan
Kaho to lout jatey hain

Merey baray na kuch socho, mujhey tay karna ata hai, rasan ka, dar ka rasta
Ye asaiboon bhara rasta ye andhi ghaar ka rasta
Tumhara narm-o-nazuk hath ho agar merey hathoon mein
To main samjhoon ke jaisey do jahan hain meri muthi mein
Tumhara qurb ho to mushkilain kafoor ho jaain
Ye undhay aur kalay rastay pur noor ho jaain
Tumhary gaisoun ki chhaoon mil jaay to suraj sey ulajhna baat hi kiya hai
Utha lo apna saya to meri ouqat hi kiya hai

Meray baray na kuch socho, tum apni baat batlao
Kaho to chaltey rehtey hain, kaho to lout jatey hain

Thursday, 25 September 2014

meray maula yeh haseen haath salamat rekhna

meray maula yeh haseen haath salamat rekhna
aisa legta hai jo yeh haath dua ko uthain

khud farishty chaly aaty hoon zameen ki janib
soonp ker mermareen hathoon ki hatheli ko hina

jo bhee manga hoo woh chup chaap deye jaty hon
meray maula yeh haseen haath salamat rekhna

en ki khushbu see moatter hai mera sara wajood 
enhein hathoon main mery khawab chupy hain maula

ungliyaan mujh ko mohabbat main bhegoo detein hain
enhee poroon nain meray dard chunay hain maula

en ki regg regg main mohabbat hee mohabbat rekhnaan 
meray maula yeh haseen haath salamat rekhna

enhee hathoon ki lakeroon main muqader hai mera
yeh jo konain main sitara hai sikander hai mera

khawab see nurm khayaloon ki terha nazuk hain
en ki her lemss main meray leye chahat rekhnaan

meray maula yeh haseen haath salamat rekhna
meray maula yeh haseen haath salamat rekhna 

Wednesday, 10 September 2014

ajeeb hijar parasti thi uski fitrat maiN

ajeeb hijar parasti thi uski fitrat maiN
shajar k totay pattay talash karta tha

tamam raat wo parda hata k chaand k sath
jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha

dua’yaiN karta tha ujray hoo’vay mazaaroN par
baray ajeeb saha’ray talash karta tha

mujhay to aaj bataya ha badlooN nay “Wasi”
wo lout aa’nay k rastay talash karta tha

Sunday, 31 August 2014

: kehty hain mil jati hai har chiz dua sey

kehty hain mil jati hai har chiz dua sey ...
ak roz mang kar dekhy gye khuda sey .......

duniya bhi mili hai .or gham duniya sey mila hai ........
.par wo Q nhi milta jesy manga tha khuda sey 

Wednesday, 27 August 2014

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?
Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi
Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?
Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi
Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi
Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi
Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi
Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi
Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi
Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai,
Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho,
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai,
Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh,
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai,
Dil mera veeran hua to hasrat kesi,
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai,
Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye,
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai,
Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai,
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai,
Tera chahra har chehre per chaa jata hai,
Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai,
Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal,
Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai..

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain,
Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain,
Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain,
Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain,
Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain,

Teri jabeen pe likha tha ke tu bhula dega

Teri jabee’n pe likha tha ke tu bhula dega,
So mein bhi bhaamp geya tha ke tu bhula dega,
Har aik shakhs se larta raha mein tere liye,
Har ik ne mujhe se kaha tha ke tu bhula dega,
Yeh teri aankhon pe halqey se parr gaye kaise,
Mujhe to tu ne kaha tha ke tu bhula de ga ,
Nikaal laya hai ilzaam phir puraney tu,
Yeh hum ne tey’y bhi kiya tha ke tu bhula de ga,
Kuch is liye bhi ke ik til tha teri ankhon mein,
Mujhe to tab pata tha ke tu bhula de ga,

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain
Zindah Lagtay Hain Magar Asal Mein Mar Jaatay Hain
Jub Kubhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU
Kitnay Khanjar Mere Seenay Mein Utar Jaatay Hain
Teri Yaadon Ki “Agar Bat’tiyan” Jal Uthtay Hee
Hum Tere Dard Ki Khushbouon Se Bhar Jaatay Hain
Hum Se Aawaarah Phira Kartay Hain Galyon Mein Kaheen
Shaam Hotay Hee “Wasi” Loog Tou Ghar Jaatay Hain

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain
Tumhari Ankhon Main Jis Qadar Thy Wo Khwaab Saray Jhulas Gaye Hain
Meri Zameen Ko Kisi Naye Haadsay Ka Hai Intezaar Shayad
Gunah Phailnay Lagay Hain Ajar-O-Sawab Saray Jhulas Gaye Hain
Jo Tum Gaye Tou Meri Nazar Pe Haqeeqaton K Azaab Utray
Yeh Sochta Hoon K Kia Karoonga Saraab Saray Jhulas Gaye Hain
Yeh Moajza Sirf Aik Shab Ki Musafaton K Sabab Hua Hai
Tumharay Or Meray Darmiyaan K Hijaab Saray Jhulas Gaye Hain
Usay Batana K Uski Yaadon K Saray Safhay Jala Chuka Hoon
Kitaab-E-Dil Main Raqam Thy Jitnay Wo Baab Saray Jhulas Gaye Hain
Nazar Uthaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton K
Ye Kia K Meray Naseeb K Mahtaab Saray Jhulas Gaye Hain
Tumhari Nazron Ki Yeh Tapish Hai K Meray Lafzon Pe Aablay Hain
Sawal Saray Jhulas Gaye Hain Jawab Saray Jhulas Gaye Hain
Yeh Aag Khamoshion Ki Kaisi Tumhari Aankhon Main Tairti Hai
Tumharay Honton Pe Darj Thy Jo Nisaab Saray Jhulas Gaye Hain

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai
Mujhe to chand sitaron se khof ata hai
Me doshmano k kisi war se nahin darta
Mujhe to apne hi yaron se khof ata hai
Ghazan ka jabar to sene pe rook laite hain
Humen udas baharon se khof ata hai
Mile hain doston besakhiyon se gham itne
Mere badan ko saharon se khof ata hai
Me iltafat ki khandak se dor rehta hon
Taloqat k gharon se khof ata hai

Jab main ghar se nikal raha tha

Jab main ghar se nikal raha tha
Chaltey chaltey


Mery senny sey hatatey pal
Dherey se ikk sarghoshi main


Us ney kaha tha
Dekhain cahahy kuch bhi ho jae


Roz MujhyeRING ki jiye ga
Phir jab us ke hath aur nazrain


Dono meri tie per thin
Kehne lagi ..


‘’Aap nahin hotey hain to bilkul khali ho jati hon’’
Chor nahi sakty yeh BUSINESS ?


Aap mujhy kion tarpate Hain . . ?
Acha daikhen yon karte hain


Aik din khat aur aik din phone
Main ney us ko Boosa de kar


Us sey kaha Tha
Aab k chahy kuch ho jae


Khat likhon ga phone karon ga
Haye ! lekin khod sar fitrat


Aur kuch karobar k jhunjhat
Naa to us ko phone kia tha


Aur naa hi koikhat likh paea

Naa koi MESSAGE naa hi card

Ab jo gher ko laut raha hon
Soch raha hon


Tanhai k ye do hafatey
Us par Sadiyon jaise hon ge


Lekin ye bhi janta hey dil
Us ko be hadd shikwe hon ge


Tararpati ho gi
Chup ker takiye main raaton ko roi ho gi


Khafa khafa si

Lekin gher main dakhil ho kar

Jab main us ke Mathe par ikk bosa doun ga
Un honton par hont rakhon ga


Aur kahon ga
‘’Yar mujhe tum yaad ayi Thin


Lamhy lamhy main soo baar’’
Bus itna hi kehna ho ga


Aur wo Pagli
Apna sab kuch sonp kar mujh ko


Mere seene lag jae gi
Phir jab us k hath aur nazrain


Dono mere seene K baalon per hon ge
Woh seena jo un ashkon se bheega ho ga


Sargoshi mai mujhse kahe gi
Aap bhaley abb kuch bhi kar lain


Hargiz abb naa janey don gi
Sachi aap to bahot bure hain


Bahot bure hain
Hain naa BHONGOO…!!!

Kal ajjab saneha sa hoa rait par

Kal ajjab saneha sa hoa rait par
Naam tera na likh saka rait per
Kis ki awaz se tham gae hain qadam
Phir se kiss ne mujhe di sada rait per
Us ki ankhon se sholey nikalte rahe
Nachati reh gai kal ghata rait per
To ne jo bhi hawa se kaha reh gaya
Mit gaya mai ne jo bhi likha rait per
Main tumhen chomana chahata hon abhi
Uss ne mujh se yee ikk din kaha rait per
Abb ye sehara hi tere muqadar mein hain
To ne mangi hi kion thi dua rait per
Aik shola otha us jaga se WASI
Mera aansoo jahan gir gea rait per

Tum meri ankh ke tevar na bhulaa paao ge

Tum meri ankh ke tevar na bhulaa paao ge
an kahi baat ko samajo ge to yad aon ga
ham ne Khushiyon ki tarah dukh bhi ikathe daikhe
safaah-e-ziisat ko palto ge to yad aon ga
Is judai me tum andar se bikhar jao ge
Kisi maazor ko daikho ge to yad aon ga
isi andaaz mee hote the mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to yad aon ga
Meri khoshboo tumhen khole gi gulabon ki tarah
Tum agar khod se na boloo ge to yad aon ga
sard raton ke mahakate hue sannaaton mee
jab kisi phool ko choomo ge to yad aon ga
Ajj to mehfal-e-yaraan pe ho maghror bahot
Jab kabhi toot k bikharo ge to yad aon ga
abb to yee ashak me honton se choraa laitaa hon
haath se Khud inhain ponchho ge to yad aon gaa
shaal pahanaye ga abb kon disambar mee tumhen
baarishon mee kabhi bhigo ge to yad aon gaa
haadase aayen ge jivan mee to tum hoo ke nidhaal
kisi diivaar ko thaamo ge to yaad ao ga
is mee shaamil hai meri baKhat ki taariki bhi
tum siyaah rang jo pahano ge to yad aon ga

Jo meri ankhon se khawab daikho

Jo meri ankhon se khawab daikho
To aik shab bhi shab na so sako ge
K lakh chaho na hans sako ge
Hazaar chaho na ro sako ge
K khawab kia hain aazaab Hain yeh
Mere dokhon ki kitaab hain yeh
Rifaqatain In main chotti hain
Mohabbatain in me rothati hain
Pinapti hain in me wahshaten se
Aziaten in main photati hain
Unhi ke dar se khizan hain jazbe
Unhi se shakhen se totati hain
Ghamon ki bandish hain khawab mere
Dhokon ki barish hain khawab mere
Obhal raha hai dukhon ka lava
Rahen atish hain khawab mere
Khayal sare Jholas gae hain
Sulagti Khwahish hain khuaab mere
Okharti Sansain hain Zindagi ki
Lahoo ki sazish hain khawab mere
Jo meri ankhon se khawab dekho
To aik shab bhi na so sako ge

Chahay tu kam main la, Chahay nikama kar day

Chahay tu kam main la, Chahay nikama kar day
Main tera hoon, teri marzi mujhay jaysa karday
Main tera bemar hoon azloon say, Na mar jawoon kahieen
Ek nazar dekh lay mujh koo mujhay acha kar day…….!!!!!!
Mujh say bas itni he khuwahish meray maleek ke hay
Es k dil ko main Lubha don mujhay aysa karday….!!!!
Jo tera ho ga zamanay say wo kat jaye ga
Tu to jis shaks ko chahyee tanha kar day
Ayesa noor ayee k dunia mera chehra dekhay….!!!
Tu jo perlkoon ka meray Chehray pay saya kar day
Wo khuda tujh say faqeeroon ke tu sun layta hay
Us say kehna k mujhay ishq main Ruswa karday.!
Mujh ko deta hay wo ezat, yeh karam hay uska
Teray bas main ho agar tu mujhay Ruswa karday…

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete