Monday 31 March 2014

Jahan yaad k deep jalty hon

Jahan yaad k deep jalty hon
Or shaam k saaye dhalty hon

"Jab pyar kisi ka yaad aaye
Or zikar kisi k chalty hon

"Ankhon mein ansoo bhar aayn
Or ashk na tum se rukty hon

"Tab un logon ko yaad karo
jo pyar tum he se karty hon

"Jo tum bin jee na sakte hon
Or tum par DIL se marty hon

"Us manzil ko kya pana
jahan apny tuj se jalty hon

"Is dunya mein ab kya jena
"Jahan pal pal log bdalty hon

Kabhi jo mujh ko talash kerna

''Kabhi jo mujh ko talash kerna 
to chaand raaton ki chandni me, 
Gul-e-chaman se sawal kerna, 
Udaas kyun ho? 
Kyun auss k qatron me apne aansu chupa rahe ho? 
Haseen mosam me kiski yadon me apne dil ko jala rahe ho? 

Gul-e-chaman ye sawaal sun ker, 

Tumhari aamad ka haal sun ker, 
kahe ga tum jis ko khojtay ho, 
wo in baharon ki saari khushbu chura k ab ik 
naye chaman me mehak raha hai, 
Udas ker k yahan pe hum ko, 
Kisi chaman me chehak raha hai, 

Gul-e-chaman ka ye haal sun ker, 

tumhein lage ga me BEWAFA hun, 
Udaas kaliyon ko chor ker me, 
Nayi baharon ko dhundta hun, 

Magar haqiqat me is chaman ka, 

Tamam phoolon ki khawahishon ka, 
Haseen mosam ki barishon ka, 
NA MERE dil per asar hua THA, 
Me aaj bhi ik naye chaman me purany qissay suna raha hun, 
Jo meri chahat ki apsra thi, 
me aaj bhi us ko poojta hun, 
Yaqeen nahi to palat k daikho, 

WAHIN KHARA THA, 

WAHIN KHARA HUN'

Kabhi ye dawa ke wo mera he faqat mera

Kabhi ye dawa ke wo mera he faqat mera
Kabhi ye dar ke wo mujh se juda to nahi

Kabhi ye dua ke use mil jae sare jahan ki khushyaan
Kabhi ye khouf ke khush wo mere bina to nahi

Kabhi Ye tammana ke bas jao us ki nigahoun main
Kabhi ye dar ke us ki aankho ko kisi ne dekha to nahi

Kabhi ye khuwahish ke zamana ho muntazir us ka
Kabhi ye veham ke wo kisi se mila to nahi

Kabhi ye aarzo ke wo jo mange mil jae usey
Kabhi ye wass_wasse ke us ne mere siwa kuch manga to nahi

Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain

Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain 
Naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain 

Jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi 

Ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!! 

Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!! 

Aaj hue se deewaane dhoondte hain...!! 

Musaafir be-khabar hain teri aankhon se 

Tere shahar mein maikhaane dhoondte hain 

Tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale 

Hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!! 

Unki aankhon ko youn dekho na " Soul " 

Naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!

Koi Dhundla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai,

Koi Dhundla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai, 
Koi Bhatka Sa Ek Jugnoo Mere Khwabon Mein Rehta Hai, 

Ek Mayoos Si Awaz Mujhe Sone Nahi Deti, 
Koi Uljha Sa Ek Jumla Meri Yaadon Mein Rehta Hai, 

Haay Kiske Shabnami Aanchal Ki Khushbu Ab Talak Mujh Mein, 
Koi Ehsaas Mehka Sa Meri Saanson Mein Rehta Hai, 

Mujhe Khud Par Nahi Qaboo Na Main Kuch Bol Sakta Hoon, 
Asar Ye Kiske Lafzon Ka Meri Baaton Mein Rehta Hai, 

Sardiyon Ki Khunak Raatein Mujhe Bechain Kar Rakhti Hai, 
Lamas Ka Ek Hath Ab Tak Meri Sochon Mein Rehta Hai, 

Hai Dil Bhi Muztarib, Ehsaas Bhi, Sochon Ki Uljhan Bhi, 
Ye Kiski Aankh Ka Aansu Meri Aankhon Mein Rehta Hai...

Kyun na hum ehd-e-rafaqat ko bhulane lag jayain

Kyun na hum ehd-e-rafaqat ko bhulane lag jayain
Shayed us zakhm ko bharne mein zamane lag jayain

Nahin aisa bhi ke ek umar ki qurbat ke nashe
Aik do roz ki ranjish se thikane lag jayain

Yahi naseh jo humain tujh se na milne ko kahain
Tujh ko dekhain to tujhe dekhne aane lag jayain

Hum ke hain lazzat-e-aazaar ke maare huye log
Charahgar aayain to zakhmon ko chupane lag jayain

Rabt ke sainkron heele hain,muhabbat na sahi
Hum tere sath kisi aur bahane lag jayain

Saqiya! Masjid-o-maktab to nahin maikhana
Dekhna,phir bhi ghalat log na aane lag jayain

Qurb acha hai magar itni bhi shiddat se na mil
Yeh na ho tujh ko mere rog purane lag jayain

Ab Faraz aao chalain apne qabeele ki taraf

Main aysi muhabbat karta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

Nakam nahi, nashad nahi
main Qeais nahi, Farhad nahi
Bunno bhi nahi, Ranja bhi nahi
Wamique bhi nahi, Mirza bhi nahi

wo log to bas afsana thay
is shiddat se begana thay
main zinda aik haqiqat hon
sar-tapa jazba-e-ulfat hon
har lamha tum pe marta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum jahan bhi beth k jati ho
jis chez ho hath lagati ho
main wahin pe betha rehta hon
us chez ko chuta rehta hon

tum jis se hans k milti ho
main us ko Dost banata hon
tum jis raste pe chalti ho
main us se aata jata hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum jin ko dekhti rehti ho
wo khwab sarhane rakhta hon
main tum se milne julne k
kitne he bahane rakhta hon

kuch khwab saja kr aankhon me
palkhon se moti chunta hon
koi lams agar chu jai to
main pehron us ko sochta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

jin logon me tum rehti ho
tum jin se batain karti ho
tum jin se hans k milti ho
jo tum ko achay lagtay hay
wahi'n mujh ko achay lagtay hay

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

jis bagh me subho ko jati ho
jis sabzay pe tum chalti ho
jo shakh tumhain chu jata hay
jo kushbo'n tum ko bhati hay

wo ous tumharay chehre pr
jo qatra qatra girti hay
wo titli chor k phoolon ko
jo tum se milne aati hay
jo tum ko chune aati hay

un sub k nazuk jazbon me
mere DIL ki dharkan basti hay
meri ruh bhi shamil rehti hay
tum paas raho ya door raho
nazro'n me samaie rehti ho

main tum ko takta rehta hon
main tum ko sochta rehta hon
Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

jis colleg me tum padti ho
main us me lekchar deta hon
wo class jaha'n tum hoti ho
main us ko takta rehta hon

jis kursi pr tum bethti ho
main us ko chuta rehta hon
jo copy tum ne gum ki thi
main apne beg me rakhta hon

gadla sa aik tisshu-paper
jo tum ne class me chora tha
wo mere pars me rehta hay
wo mere lams me rehta hay

wo makhmal hay wo teeba hay
wo chandi hay wo soona hay
wo ambar hay wo sandal hay
wo kushbon ka aik jungal hay

har mokay pr, har manzar me
main sath tumharay hota hon
main chasham-e-tassawor se aksar
bas tum ko dekhta rehta hon
bas tum ko sochta rehta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum kaise muhabbat karti ho..?

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf is ly nhi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai.

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,
Jab Chaand Sitare chamak rahey hOn....

Jab Yaadon k Phool Mehak rahey hon...,
Jab Deed ko Nain taras rahey hon...,

Jab Aankhon se Aansoo baras rahey hon...,
Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad aayegi...,

Jab Tanhai se Dil Ghabraye ga...,
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega...,

Jab koi Khuwab hi nahi ayega...,
Jab Phool Kitab mai hi reh jayega...,

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad ayegi

Mohabbat cheez hi aisi hai

Mohabbat cheez hi aisi hai 
Kabhi hoti hai apno se 

Kabhi hoti hai sapnon se
kabhi anjaan raahon se

kabhi gumnaam naamon se
Mohabbat cheez hi aisi hai

kabhi hoti hai phoolon se
kabhi bachpan ke jhoolon se

Kabhi be-ikhtiyaari mai
Kabhi pakke usoolon se

Mohabbat bas mohabbat hai
Mohabbat ik sadaqat hai

Mohabbat cheez hi aisi hai

Dukhon mai roll deti hai
Dard Anmol Deti hai

Mohabbat cheez hi aisi hai...♥

Mohabbat Jeet Hoti Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati Hai!

Kabhi Dil Soz Lamhun Se
Kabhi Bekar Rasmoon Se
Kabhi Taqdeer Walun Se
Kabhi Majboor Kasmoon Se

Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai

Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai
Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai
Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Daiti Hai
Kabhi Le Par Jati Hai
Kabhi Ye Mar Jati Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati Hai .....!!

Mohabbat laakh gehri ho magar ye baat lazim hai

Mohabbat laakh gehri ho magar ye baat lazim hai ....
Ke pehli baar mein tou husn ko inkaar karna hai  ....

Abhi kuch shair, seena cheer kar, utra nahi karte...
Teri aabroo ko thoda aur bhi khaam.dar karna hai..

Issi chakkar mein hum ne saikroun deevaan parh daale
Suna kar shair usko pyar ka izhaar karna hai......

Dupatta taan lo apna zara tum baadbaani ko ......
Meri kaghaz ki kashti ko samandar paar karna hai.

Ye kya hai ab kahani beech mein kyun rok rakhi hai?
Zubaan ko he nazar ke baad bas iqraar karna hai ....

Mujhe jaane do mera aur bhi kuch kaam baki hai ....
Jise mehfil sajaani hai ussey tayaar karna hai  .......

Mohabbat naam hai mera

Mohabbat naam hai mera
Agar chaho ge tum mujhko

Tumhari sans se pehlay
Tumhari jaan ban jaun

Agar mango gai mujhko
Tumhare hath uthane se pehlay

Tumhari dua ban jaon
Agar dekho ge tum mujhko

Tumhari ankh se pehlay
Tumhare khawab ban jaon

Agar socho ge tum mujhko
Tumhare paon se pehaly
Tumhari rah ban jaon

Mohabbat naam hai mera
Mujhe Tum Soch Kr Dekho

Mohabbat Phir Mohabbat Hai

Mohabbat Phir Mohabbat Hai
Kabhee Dil Se Nahi Jati...

Hazaron Rang Hain Is Kay..
Ajab He Dhang Hain Is Kay..

Kabhee Sehra , Kabhee Darya..
Kabhee Jugno , Kabhee Aansu..

Hazaroon Roop Rakhti Hai...
Badan Jhulsa Kay Jo Rakh Day..

Kabhee Wo Dhoop Rakhti Hai...
Kabhee Ban Kar Ye Ek Jugno...

Shab E Ghum Kay Andhairoon Main...
Diloon Ko Aas Daiti Hai...

Kabhee Manzil Kinaray Par...
Pyaasa Maar Daiti Hai..

Aziyyat He Aziyyat Hai...
Magar Yeh Bhee Haqiqat Hai...

Mohabbat Phir Mohabbat Hai.

Mohabbat Rog Hoti Hai

Mohabbat Rog Hoti Hai
Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai
Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai 
Kaha Bhi Tha,

Ise TuM Dilki Dharti Ka 
Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai
Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke
Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai 
Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko,
Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai
Kaha Bhi Tha,

Shuro Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai
Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paaon Tak
Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai 
Kaha Bhi Tha

Mughe apne zabt pe naaz tha sar_e_bazm shaam ye kya howa

Mughe apne zabt pe naaz tha sar_e_bazm shaam ye kya howa 
meri aankh kaise chalak gayee mughe ranj hai ye bura howa 

mughe aap kion na samjh sake ye apne he dil se poochiye 
meri zindagi ki kitaab ka hai vurk vurk khula howa 

mughe ik ghali ki mour se kissi badd naseeb ka khatt mila 
kahin khoon_E_dil se likha howa toh kahin anso,un se mita howa 

jo abhi abhi mere paas se yuon nazar bacha k guzar gaye 
wo mere he shaher k log hain mere ghar se hai ghar jura howa 

mughe apne ghar se chale hoay sar_E_raah umer guzar gayee 
na safar ka huk ada howa na justujo ka sila milaa

Muqarar Waqt hota hai Mohabbat ki namazon ka

Muqarar Wqt hota hai Mohabbat ki nmazon ka..........!!!
Adda jin ki nika jaye qaza b choot jati he...........!!!

Muhabbat ki namazon mn Immamt eak ko sonpo.....!!!
idhr tkny udhr tkny se nayat toot jati he........!!!

 Muhabbat dill ka sajda he jo he toheed pr qayam.....!!!
 Nazar k shirk waalon se Mohabbat rooth jati he.....!!!

NuktaachiiN hai Gam-e-dil us ko sunaaye na bane

NuktaachiiN hai Gam-e-dil us ko sunaaye na bane 
kyaa bane baat jahaaN baat banaaye na bane 

main bulaataa to huuN us ko magar ae jazbaa-e-dil 
us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane 

khel samajhaa hai kahiin chhoD na de, bhuul na jaaye 
kaash yuuN bhii ho ki bin mere sataaye na bane 

Gair phirataa hai lie yuuN tere Khat ko ki agar 
koii puuchhe ki ye kyaa hai to chhupaaye na bane 

is nazaakat kaa buraa ho vo bhale hain to kyaa 
haath aayen to unhen haath lagaaye na bane 

kah sake kaun ki ye jalvaagarii kisakii hai 
pardaa chhoDaa hai vo usane ki uThaaye na bane 

maut kii raah na dekhuuN ki bin aaye na rahe 
tum ko chaahuuN ki na aao to bulaaye na bane 

bojh wo sar pe giraa hai ki uThaaye na uThe 
kaam vo aan paDaa hai ki banaaye na bane 

ishq par zor nahiin, hai ye vo aatish 'Ghalib' 
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane

Oski ankhon main mohabbat ka sitara hoga

Oski ankhon main mohabbat ka sitara hoga
Aik din ayega wo shaks hamara hoga

Tum jahan mere liYe sipyan chunti hongi
Woh kisi aru hi duniYa ka kinara hoga

Zindagi ! ab k mera naam na shamil karna
Agar ye teh hai k yehi khel dobara hoga

Jis k honton se apni saans chala karti thi
Kis tarah is k bagair apna guzara hoga

Ye achanak jo ujala sa hoa jata hai
Dil ne chup ke se tumhara naam pukara hoga

Ishq karna hai to din raat ose sochna hai
Aur kuch zehn main aya to khasara hoga

Ye jo paani main chala aya sunheri sa guroor
Os ne dariya main kahin paaon otara hoga

Kon rota hai yahan raat k sanaton main
Mere jaisa hi koi hijr ka mara hoga

Mujh ko maloom hai junhi main kadam rakhonga
Zindagii tera koi aur kinara hoga

Jo meri rooh main badal se girajte hain Wasi
Os ne seene main koi dard otara hoga

Kaam mushkil hai magar jeet hi longa es ko
Mere Moula ka Wasi junhi ishara hoga. . !​

Suno tum dair mat karna

Suno~!!
Suno tum dair mat karna
kisi ki aankh ka aansu koi chehra koi lehja
koi awaz tumko jis qadar rokey
magar tum dair mat karna

Suno


kisi ki yaad ki aankhen tumhen hur lamha takti hain

kisi ki aankh main Jaana'n tumhari yaad ki baarish
hur ik lamha barasti ha

tumhen bus sochte rehna kisi ka kaam rehta ha

tumhari yaad ka mosam to subah-o-shaam rehta ha
kisi k lub par hur dum tumhara naam rehta ha

Suno


suno tum dair mat karna

kisi ki neend se jaagi hui aankhen
kisi ka gard main dooba hua chehra
kisi ka dard main dooba hua lehja
Tumhen awaz dete hain

Suno

Suno tum dair mat karna~!!

Suno Tum Maan Jao Na

Suno Tum Maan Jao Na
Hamay Ab Yun Rulao Na

Tumharay Bin Hamay Jena
Gawara Ab Nahi Hota

Tumhay Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota

Hamay Apna Bana Lo Tum 
Tumhara Ban K Rehna Hai

Mujhe Dukh Hijar Ka Jana
Nahi Ab Or Sehna Hai

Kayi Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na

Tumhay Meri Kasam Jana
Tum Meray Sang Chal Do Na

Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na 

Tera Husn Ho, Mere Ishq Ho

Tera Husn Ho, Mere Ishq Ho,
Toh Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho,

Kabhi Main Milon Kabhi Tu Miley,
Kabhi Hum Milein Mulaqat Ho,

Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Mein Hoon Chup,
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon,

Kabhi Gaftugu,Kabhi Tazkare,
Koi Zikar Ho, Koi Baat Ho,

Kabhi Wisal Ho Toh Din Ko Ho,
Kabhi Hijar Ho Toh Woh Raat Ho,

Kabhi Main Tera Kabhi Tu Meri,
Kabhi Ik Dujay K Hum Hoon,

Kabhi Sath Main Kabhi Sath Tu,
Kabhi Ik Dujay Ka Sath Ho,

Kabhi Jeet Ho Kabhi Maat Ho,
Kabhi Phool Ho Kabhi Dhool Ho,

Kabhi Yaad Ho Kabhi Bhool Ho,
Na Nashaib Hon, Na Faraz Hon,

Na Zameen Ki Koi Na Falak Ki Koi,
Na Hi Wajood Ho na Hi Zaat Ho,

Sirf Tera Husan Ho Mera Ishq Ho,
Meri Aankh Ho Teri Zaat Ho…..!!!!'

Tere Rukhsar Se Barh Kr

Tere Rukhsar Se Barh Kr
Kanwal To Ho Nahi Skta
Muhabbat Ka Koi Name-ul-Bdal To Ho Nahi Skta

Ajab Ek Masla Hy Ishq B
Kya Kijiye Is Ka
K Teri Sard'Mohri Se
Ye Hal To Ho Nahi Skta

Ksi Ki Aankh Se Hum'Sukhan Thi
Or Main Chup Tha
Mera Khamosh Rehna
Be'Mahal To Ho Nahi Skta

Hum Apni Khwahishon Ko
Dil Hi Dil Me Maar Dete Hain
Humary Jesa Koi Khush'Amal To Ho Nahi Skta

Rafaqat Zindagi Bhar Ki
B Na Kafi Hy Ulfat Me
Muhabbat Ka Sila Do'Chaar Phal To Ho Nahi Skta

Mere Kirdar Me Koi Kharabi Ho To Ho Lekin
Mere Emaan Me Koi Khalal
To Ho Nahi Skta

Usse Keh Do K Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta

Usse Keh Do K Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta 
Bohat Nayab Hai Us Jaisa Zamana Ho Nahi Sakta

Tumhare Sath Jo Guzra Wo Mousam Yaad Aata Hai 
Tumhare Baad Koi Mousam Suhana Ho Nahi Sakta 

Chupane Se Nahi Chupta Dikhawe Se Nahi Dikhta 
Ye Atish-e-Ishq Hai Is Main Bahana Ho Nahi Sakta 

Tu Dil Pe Naqsh Ho Jaye Nigahon Me Sama Jaye 
K Is Dil Main Kisi Ka Phir Se Aana Ho Nahi Sakta

Bohat Hain Chahne Wale Tere Ae Jan-e-jaan Magar 
Ye Yaad Rakh K Hum Sa Dewana Ho Nahi Sakta

Usy kehna gilay unhi se hote hain

Usy kehna gilay unhi se hote hain,
Jo dil k paas hote hain,

Shikayat unse hoti hai,
jo be-had khas hote hain,

Mera tujh se gila krna,
Tumhen yunhi rula dena,

Khafa krna, 
Teri taaeed k badlay jafa krna,

Mohabat ki alaamat hai,
Ye ulfat ki alaamat hai,

Mohabat me kabhi hargiz,
isy dil per nahi lena,

Usy kehna Mohabat ki
tawaqo unse hoti hai,

K jin se Aaas hoti hai,
Gilay unhi se hote hain

Jo dil k paas hote hain.

Wo Ek Masoom C Chahat Wo Ek

Wo Ek Masoom C Chahat Wo Ek
BeNaam C Ulfat,

Wo Maeri Zaat Ka Hissa Wo Maeri Zeest
Ka Qissa,

Wo Mujhe Mahsoos Bhi Hota Hai Wo
Maery Pas Bhi Hota Hai,

Wo Jab Jab Yaad Aata Hai Nigahon Me
Sama Jata Hai,

Zaban Khamosh Hoti Hai Magar Ye
Aankh Rooti Hai,

Main Khud Se Puch Leta Hon Jisey Main
Yaad Karta Hon...!!!

Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga

Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga
Maslaa to phool ka hai phool kidar jaae ga

Hum tou samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaae ga
Kya khabar the keh rag e jaan main utar jaae ga

Woh hawaon ki tarhan khana e bajaan phirta hai
Ik jhonka hay jo aye ga, guzar jaae ga

Woh jab aye ga to phir uski rafaqat ke liye
Mousam e gul mere angan main theher jaae ga

Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe honge
Tera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaae ga

Mujhko tehzeeb ke barzhak ka bana dia waris
Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaae ga