Sunday 31 August 2014

Zindagi wafa na karay is ka gham nahi

Zindagi wafa na karay is ka gham nahi
Tu mujh sey bichar gaya ye bhi to kam nahi
Meri maa kaha kerti thi tu bohat bahadur hai
Is liye aaj meri aankh pur-nam nahi
Mein ney koshish to bohat ki lekin
Tujhay bhol jana bhi kisi mojzey sey kam nahi
‘GUL’ is liye bhi udas rehra hai
Meray hisay ki khoshi’yan gam’on sey kam nahi
Tum na mujhay kabhi chor ker jana
Is dil-e-bemar ko zamana choney ka gham nahi

Saba to kia key mujhay dhoop tak to jaga na saki

Saba to kia key mujhay dhoop tak to jaga na saki!!
Kahan ki neend utar aai hai in aankh’on mein..

Saba ye in sey hamara payam keh dena

Saba ye in sey hamara payam keh dena..!
Gaye ho jab sey, yahan subha-o-shaam na hui…

Selay naseeb huay ye meri wafa key mujhy

Selay naseeb huay ye meri wafa key mujhy!!
Wo dekhtay bhi nahi ab nazar utha key mujhay…

Mein phool hun mujh ko mehka dey

Mein phool hun mujh ko mehka dey
Mein sookh gaya hun mujh ko khila dey
Mujhay ishq mein apna-ley ya is sey dara dey
Mujhay bakhsh dey ya saza dey
Mujhay aur kuch nahi chahiye ‘Gul’
Tu khod ko bas mera bana dey

Sehra ko nikal jain to dil bhi zara phelay

Sehra ko nikal jain to dil bhi zara phelay.!!
Shehar’on mein to hangama-e-tanhai buhat hai..

Sadiyon mein chand phool khilay aur samar baney

Sadi’yon mein chand phool khilay aur samar baney…
Lamh’on mein andhi’yon key thapar’on sey mar gaye.!

Subha sey chaltey chaltey shaam hui awara dil

Subha sey chaltey chaltey shaam hui awara dil.!
Ab mein kis manzil pey pohncha, ab ghar kitni dour hai…

Sabar aata hai judaai mein na khawab aata hai

Sabar aata hai judaai mein na khawab aata hai..!
Raat aati hai ilahi azaab aata hai..

Subha ko daikh ley is shama ka anjaam koi

Subha ko daikh ley is shama ka anjaam koi..!
Jis ney phoonka shab-e-umeed mein perwaney ko…

Suraat ankhon mein khub gae kis k

Suraat ankh’on mein khub gae kis ki…
Naqsh dil ko lubha gaya kis ka!!!

Saiyaad qafas mein rehnay sey nateeja

Saiyaad qafas mein rehnay sey nateeja!
Mein qaid rahun ga nazar azaad rahey gi.

Shumar-e-zakhm abhi sey Faraz kia kerna

Shumar-e-zakhm abhi sey ‘Faraz’ kia kerna.!
Abhi to meri jaa’n! ibteda ki bahar hai..

Shayad khoshi ka dard bhi aa jaye aye

Shayad khoshi ka dard bhi aa jaye aye ‘Nadeem’..
Gham bhi to mil gaye tha tamna kiye bagair.!!

Shouq ye tha key muhabbat jhelain gey chup chap

Shouq ye tha key muhabbat jhelain gey chup chap..
Rang ye hai key tamasha na dikhaya koi!!

Socho to silwaton sey bhari hai tamam rooh

Socho to silwat’on sey bhari hai tamam rooh..!
Daikho to shikan bhi nahi hai libas mein..

Suni sunai bat nahi ye apney uper beeti hai

Suni sunai bat nahi ye apney uper beeti hai!
Phool nikaltey hein sholo’n sey chahat aag lga deti hai..

Si liye thay lab to in key ro-ba-ro hum ney

Si liye thay lab to in key ro-ba-ro hum ney ..
Khamoshi ney barh key izhar-e-tamna ker dia.!

Samandar muztarib hein raat bhar sey

Samandar muztarib hein raat bhar sey…!
Na janey kia ugalna chahtey hein ..

Hansi ki wajha ye nam nahi hota

Hansi ki wajha ye nam nahi hota
Ishq mein to koi badnam nahi hota
Arey log to pagal hein jo samjhty nahi hein
Warna is mein to koi paap nahi hota
Is mein koi to aisi baat hai
Warna aisey hi koi kisi mein nahi khota
Kuch log guzar rahey hein zindagi aik nam key saharey
Mein ney to suna tha key koi kisi ka nahi hota
Tum kiun ungli’on ko gin rahey ho aaj ‘Gul’
Is ishq mein to koi hisab kitab nahi hota

Sath kuch dor hum bhi gaye thay lekin

Sath kuch dor hum bhi gaye thay lekin..!
Ab kaha’n jai’en key khod hum bhi sath nahi apney..

Shayed teray labon ki chatakh sey ho je baha

Shayed teray lab’on ki chatakh sey ho je bahal…
Aay dost muskura key tabiyet udas hai..!!

Sham sey soch raha hon

Sham sey soch raha hon ‘Nasir’.!!
Chand kis shehar mein utra ho ga..

Shayed tumhein bhi chain na aaye meray bagair

Shayed tumh’ein bhi chain na aaye meray bagair..
Shayed ye bat tum bhi gawara na ker sako!!

Shab-e-furqat mein yaad is bewafa ki bar bar ai

Shab-e-furqat mein yaad is bewafa ki bar bar ai.!!
Bholana bhi chaha , magar be-ikhteyar aai..

Sekh ley hum sey koi adat-e-jano’on ka andaa

Sekh ley hum sey koi adat-e-jano’on ka andaaz..
Bars’on paband rahey per na helai zanjeer.!!

Shikayat aaj bhi nahi tum sey key mehrumi

Shikayat aaj bhi nahi tum sey key mehrumi.!!
Tumhary dar sey na milti to ghar sey mil jati..

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..
Dushmani shidat sey ho jati hai yaraney key bad.!

Shaheedon ka lahoo ik dard hai, jis ki chamak dil mein

Shaheed’on ka lahoo ik dard hai, jis ki chamak dil mein.!!
Kai chehray banati hai kai yaad’ein ugati hai..

Shama khamosh, dil afsurda, nigahein be-noor

Shama khamosh, dil afsurda, nigah’ein be-noor.!!
Hum ney dekhi hai qayamat shab-e-tanhai ki..

Shumar is ki sakhawat ka kia karein key wo shaks

Shumar is ki sakhawat ka kia kar’ein key wo shaks..
Charag bant’ta phirta hai, Cheen key ankh’ein.!!

Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai

Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai
Mujhey tum sey juda kerney per tul gaya hai
Jo bhyed umer’on sey chupaye huay thay
Mera khayal hai ab khul gaya hai
Meray mathey pey jo daag-e-ruswai tha
Ab wo dhul gaya hai
Lagta hai youn aaj ‘Gul’ jesay
Zulm ka soraj dhal gaya hai

Shajar be-saya ho jaein to samajh

Shajar be-saya ho jae’in to samajh …
Bicharney ka waqt aa gaya!!

Kia maza in haseen baharon ka

Kia maza in haseen bahar’on ka
Sehan,gulshan aur rang par’on ka
Kesay guzar sakey ga wo in key sath
Jisey dukh ho bichray yaar’on ka
Aaj bari mudat key bad na janey kiun
Khat aya hai meray chahney wal’on ka
Laut aao in rast’on sey ‘Gul’
Ye sandesa hai meray piyar’on ka

Shikayat to nahi karta hun lekin gharz itni hai

Shikayat to nahi karta hun lekin gharz itni hai..
Wo akhir kiya karey jo har tarha majboor ho jaye!!

Sholey mein hai ik rang tera

Sholey mein hai ik rang tera.!
Baki hein tamam rang meray..

Wo tera parda sirka key dekha

Wo tera parda sirka key dekha
Wo tera anchal hata key dekha
mujh ko kahin pagal na ker dey
wo tera ruk ruk key ankh’ain ghuma key dekhna

Shouq-o-wisal hai yahan

Shouq-o-wisal hai yaha’n, lab pe sawal hai yaha’n.!!
Kis ki majal hai yaha’n hum sey nazar mila sakey..

Sham sey hai mujh ko subha-e-gham ki fikar

Sham sey hai mujh ko subha-e-gham ki fikar..
Subha sey gham sham-e-tanhai ka hai!

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!!
‘Nadeem’ ehad-e-shouq ki sunaey ja kahani’yan..

Shehar-e-ehsas mein sangeen hai jurm-e-ulfat

Shehar-e-ehsas mein sangeen hai jurm-e-ulfat..
Gham key zindaa’n mein hi ab apna basera ho ga.!!

Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab

Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab..
Apney rukhsar sey pardey ko hataye rakhiye!

Sharam ko shirk ki had tak na barha

Sharam ko shirk ki had tak na barha…
Youn na chup hum sey khuda ho jesay!

Samander hai meri takhleeq lekin

Samander hai meri takhleeq lekin..
Mein qatra hun uchalna chahta hun.!

Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil

Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil!
Aap bhi gham zada na ho jana..

Sochtey kiun nahi tum daikh key weeran ankhein

Sochtey kiun nahi tum daikh key weera’n ankh’ein..?
Hum ney bhi dil mein koi shehar basaya ho ga..

Socha tha meray dukh ka madawa karein gey kuch

Socha tha meray dukh ka madawa karei’n gey kuch..
Wo pursish-o-malal sey agey nahi gaye..!

Safar hai us ka bulandi sey pastiyon ki taraf

Safar hai us ka bulandi sey pasti’yon ki taraf..
Agar na shor machaye to kia karey dariya!

Samney kitni sabeelain hein paye be-gehni

Samney kitni sabeel’ain hein paye be-gehni.!
Aaj lakht-e-dil maryam bhi nahi sath apney..

Sabhi ko apney gham hotey hein lekin

Sabhi ko apney gham hotey hein lekin.!
Mujhey jo ghum hai wo mera nahi hai..

So rang bharey is mein bhi aaj ye rahi morat

So rang bharey is mein bhi aaj ye rahi morat…
Ehsas tasawor mein, tasweer gada-gar hai!

Sach to ye hai key mein her bazm mein tanha raha

Sach to ye hai key mein her bazm mein tanha raha.!!
Youn mgar pas meray kab nahi hota koi..

Sawal ker key mein khud hi bohat pasheman hun

Sawal ker key mein khud hi bohat pashema’n hun…
Jawab dey ker mujhey aur shara-sar na ker..!

Sabhi ko jaan thi piyari sabhi thay lab-basta

Sabhi ko jaa’n thi piyari sabhi thay lab-basta.!!
Bas ik ‘Faraz’ tha zalim sey chup na raha gaya..

Sab na milney ki baat’ein thi jab aa ker mil gaye

Sab na milney ki baat’ein thi jab aa ker mil gaye..
Sarey shikwey mit gaye sara gila jata raha.!!

Sach kahon apni muhabbat pey nadamat si hui

Sach kah’on apni muhabbat pey nadamat si hui..
Jab bhi dekhi teri ujru hui sorat mein ney..!

Safar ki dhoop mein jal ker kesay pukaaron mein

Safar ki dhoop mein jal ker kesay pukaar’on mein..?
Key rastey mein ana ka shajar bhi ata hai..

Is sey barh ker meri koi chahat nahi

Is sey barh ker meri koi chahat nahi..
Tu meray samney ho aur mein tujhey dekha kar’on!!

Saans lenay ka tasawur bhi garan ho jis per

Saans lenay ka tasawur bhi gara’n ho jis per..
Hosla wo meray jeenay ki ada sey mangey!!

Raat hoti hai diya jalta hai mae-khanay ka

Raat hoti hai diya jalta hai mae-khanay ka. .
Kon sa baab hai ye zeest k afsanay ka. .

Rahi hai paish-e-nazar maslehat na khushnoodi

Rahi hai paish-e-nazar maslehat na khushnoodi. .
Mein daagh daagh hoon muhabbat k liye. . !

Kahan gaye sheher k zaalim log

Kahan gaye sheher k zaalim log?
Kahan gaeen sheher ki zaalim batain?
Way na rahay tum sajan
Aur na rahi mulaqatain
Ik shakhs tum se kah raha hai ‘Gul’
Ataa karo mujhko wohi dukh ki saughaatain. .

Ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho

Ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho!
Thori si khaak koocha-e-dilbar hi lay chalain. . !

Zindagi key haseen tar kash mein

Zindagi key haseen tar kash mein!
Kitney be-reham teer hotey hein..

Zindagi mein to wo mehfil sey utha letay thay

Zindagi mein to wo mehfil sey utha letay thay.!!
Dekho’n ab mar gaye per kon uthata hai mujhey..

Zabaan per mohar lagana to koi baat nah

Zabaa’n per mohar lagana to koi baat nahi.!
Badal sako to badal do meray khayal’on ko..

Zindagi apni youn hai jis tarha ghongat mein chaley

Zindagi apni youn hai jis tarha ghongat mein chaley..
Ho key bewa koi chothi ki dulhan barish mein.!

Zinda jo teray hijr mein hun to kia ajab

Zinda jo teray hijr mein hun to kia ajab..
Go tu nahi hai pas teri arzoo to hai…!

Zamana mujh ko satata hai ley ker tera nam

Zamana mujh ko satata hai ley ker tera nam .!!
Ye kia kiya mujh ko apna bana key chor dia..

Muhabbat hadisa hai

Muhabbat hadisa hai
Hadsy sey bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao
Jisey hum hadsa kehtay hein
Jewan ko ghari bhar mein
Mita ker khak kerta hai
Koi ilzam dharta hai
Kabhi maazori’on key jal mein qaidi
Bana ker chor deta hai
Muhabbat hadsa hai
Hadsy sey bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao

Zindagi key diwaano sooye karbala dekho

Zindagi key diwaano sooye karbala dekho..
Ishq kis salikey sey zindagi mein dhalta hai.!!

Zindagi kia janey kiun mehsoos hota hai mujhey

Zindagi kia janey kiun mehsoos hota hai mujhey!
Tujh sey pehlay bhi ho jesay ye zehar chakha hoa..

Muhabbaton ka khayal rakhna

Muhabbat’on ka khayal rakhna
Kahi’en na aisa ho be-dihani mein
tum hatheli ko khol dalo
hawa’ein sazish pey aan utre’in
to khushk pat’on sa hal ho ga
gulaab rut ka zawal ho ga
muhabbat’on ka khaya rakhna..

Zindagi dhoop hai taptey hoay sehraon k

Zindagi dhoop hai taptey hoay sehra’on ki.!
Jis mein chaltey huay insan bichar jatey hein..

Zindagi jin key tasawor sey jila pati thi

Zindagi jin key tasawor sey jila pati thi..
Haye kia log thay dam-e-ajjal mein aaye.!!

Abhi bhi waqt hai

Abhi bhi waqt hai
khuwab’on ko tabeer ker dalo


wafa ko apney mathay per likho
taqdeer ker dalo


kisi key pyar ko per’on 

ki tum zanjer ker dalo

zakhm lagaye hein apney jalwo’n sey kitney

zakhm lagaye hein apney jalwo’n sey kitney.
Yaad mujh ko hisab zara aney dey..

Zer-e-lab in ki ye hansi anjum

Zer-e-lab in ki ye hansi anjum..
Jesay khilta hua gulab ka phool.!

Be-kinar jazbon ko

Be-kinar jazb’on ko
Kab kinar milta hai?


Be-qarar soch’on ko ,kab qarar milta hai
Be-daiyar log’on ko, kab daiyar milta hai


Aaj kis key liye tum ney ye sawal pochey hein?
Aik pal ko socho to’


Be-khabar parind’on ko

Kab hawa’ein deti hein

Khushbo’on key sandesey
Ajnabi jazeer’on ka kab pata batati hein


In ko in key honey ka
Kab yakeen dilati hein


Tum ney jo bhi pocha hai
Hum jawab denay ka hosla agar rakhtey


Muztarib hi kiun hotey..??

Zamana kia kahey ga, aap key tarz-e-tagaful per

Zamana kia kahey ga, aap key tarz-e-tagaful per.!
Tumh’ein meri tabahi ki qasam, rok hansi apni..

Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C

Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C
O Hor Kise Nu Chaunde Rae


O Hasde Rahe Begaaneya Naal
Sanu Utle Mano Bulaunde Rae


Asi Kitia Duava Piyaar Dia
Te O Daag Ishq Nu Launde Rae


O Daag Mitaaya Nai Mitde
Asi Hanjua Naal Mitaaunde Rae


O Hi Raah Vich Saanu Dob Gae
Jinu Asi Kinaare Launde Rae..!!

Har Pair Vich Janjeer Nahi Hundi

Har Pair Vich Janjeer Nahi Hundi
Parchaaven Vich Kade Tasvir Nahi Hundi


Har Koi Kiven Ban Jave ?Ranjha Jogi? Yaro
Kyonki Har Mashooq ?Saleti-Heer? Nahi Hundi

Eh Jind Ni Ini Sasti Sajna

Eh Jind Ni Ini Sasti Sajna
Har Koi Ni Isda Haqdar Hunda

Koi Ved Hakeem Na Ilaaj Karda
Jo V Ishq Bimar Hunda

Jo Rooh De Vich Vass Gaya
Oh Ni Dil De Vicho Visar Hunda

Hor Ta Sanu Pata Ni Yaara
Par Shartan La Ke Ni Kadi Pyar Hunda

jadon nai se val turne da

jadon nai se val turne da
her koi chuk da phir da se


jis din tun turna sikhia ay
than than tay dig day phirney aan…

kon jaane hayati ne kadon muk jana ae

kon jaane hayati ne kadon muk jana ae
te phul umeedan de fair suk jana ae


kise ne te umraa de painday jhalne ne
tay kisay ne adhay rastay ruk jana ae

Teri hatha wali mehndi vich naam jisda rehnda c

Teri hatha wali mehndi vich naam jisda rehnda c
Hun hatha vicho miti hoyi lakeer ho gya
Jehra teri jindgi da sab to keemti gehna c
Ajj galo lah k sutti hoyi janzeer ho gya
Dil de vehde jisde hunjua di aud c
Ajj gamma di o daulat nal ameer ho gya
‘preet’ jehra rounak c har ik mehfil di
Pind ‘chehru’ vich sunya hai o fakeer ho gya

Loke puchde yaran da pyar kive paida

Loke puchde yaran da pyar kive paida,
Dil hath te dhar ke yaran de naal lag jaida,


Zakhma nu chupake yaar nu hasaida,
Galat hove yaar te jind jaan naal manaida,


Ena pyar yaar nal paida ki je rabb bulave
Yaar nu te ap turr jaida.

Phullan Naal Gulabaan da ke Tuk Banda

Phullan Naal Gulabaan da ke Tuk Banda?
Chappal Nal Jurabaan Da ke Tuk Banda?


Ay he soch K Sara Paper kHali Chad Aaya haan …
SawaLaan Nal Jawaban Da Ke Tuk Banda…..

Na maen moman vich maseetaan

Na maen moman vich maseetaan,
Na maen moman vich maseetaan,
Na maen vich kufar diyan reetaan,
Na maen paakaan vich paleetaan,
Na maen moosa na pharaun.
Bulla, ki jaana maen kaun.
Na maen andar ved kitaabaan,
Na vich bhangaan na sharaabaan,
Na vich rindaan masat kharaabaan,
Na vich jaagan na vich saun.
Bulla, ki jaana maen kaun.
Na vich shaadi na ghamnaaki,
Na maen vich paleeti paaki.
Na maen aabi na maen khaaki
Na maen aatish na maen paun.
Bulla, ki jaana maen kaun.
Na maen arabi na lahori,
Na maen hindi shehar nagauri,
Na hindu na turak peshawri
Na maen rehnda vich nadaun.
Bulla, ki jaana maen kaun.
Na maen bhed mazhab da paaya
Ne maen aadam havva jaaya,
Na maen apna naam dharaaya
Na vich baitthan na vich bhaun.
Bulla, ki jaana maen kaun.
Avval aakhir aap nu jaana,
Na koi dooja hor pehchaana.
Maethon hor na koi siyaana
Bulla shauh khadda hai kaun.
Bulla, ki jaana maen kaun

Ya rab kadi payar wich judai na hondi

Ya rab kadi payar wich judai na hondi.
Meri apni mohabat prai na hondi.


Loki kenday meno paghal meri ayni roswai na hondi.
Meno pta honda to aona nahi se kash mein dil di mehfil sjai na hondi

Kadi Mehak Nai Mukdi Phullan Vichon

Kadi Mehak Nai Mukdi Phullan Vichon
Phul Sukdy Sukdy Sukk Jandy.
Koi Qadar Na Jany Pyar Di
Dil Tutdy Tutdy Tut Jandy…
Koi Mool Nia Jug Te Rishtyaan Da
AY Chutdy Chutdy Chut Jandy..
Kadi Pyaar NAi Mukda Dilaan Wichoon
Saah Mukdy Mukdy Mukk Jandy..

Apna dard wadha lyna

Apna dard wadha lyna
Us nu fair bula lyna
Apny ap nulabhan lae
Apna ap gawa lyna
Sab to wakhra ho ky ty
Sab nu yaar bna lyna
Jangle rasta awy ty
Maa di ik dua lyna
Us dian galan kr ky v
Us da naam luka lyna
Chyti kr ky hr kam wich
Har ik kam wadha lyna
Lokan to wakh hoky ty
Apna shaher wasa lyna
Shah G usdi khatire v
Us to dhoka kha lyna

: kehty hain mil jati hai har chiz dua sey

kehty hain mil jati hai har chiz dua sey ...
ak roz mang kar dekhy gye khuda sey .......

duniya bhi mili hai .or gham duniya sey mila hai ........
.par wo Q nhi milta jesy manga tha khuda sey 

Bartan lohay de kadi tut day nai

Bartan lohay de kadi tut_day nai
Maali kadi apne baag nu put_day nahi
Tut janday kadi kadi khoon de rishtay
par rishty sachi dosti de kadi tut_day nai,

Kuj unj vi rahavan okhiyan san

Kuj unj vi rahavan okhiyan san.
Kuj ghal vich guman da tuog vi si


Kuj shaher dy log vi zalam sen.
Kuj sanu maran da shok vi si.

Bahut waar badal badal k Vekh Lyiya Apnia Rahaan main

Bahut waar badal badal k Vekh Lyiya Apnia Rahaan main,_
Par Pta Nhio Kyo Manzil te ta Sirf te Sirf Tu Hi Disdi Hai,_

Onhey Akhiya Peeni Sharab Chadd Dey

Onhey Akhiya Peeni Sharab Chadd Dey..
Mahi Akhiyaan Teraa Vassa Karla..
Peeni Chadd ke Aynna dass tey sahi..
Jannat Chadke Dozakkh di Chaah kar lan..
Ohnu Peen waala Jannat nahi Chadd’da
Zindaa Aadamm di main Dastaan karna..
Onnhe Kannak toon Jannat Qurbaaan Kitti
Mai Sharaab toon Jannat Qurbaan karnnan

Jandi ae te jaye chahe meri jaan jaye

Jandi ae te jaye chahe meri jaan jaye,
din ka sakoon meri raat da araaam jaye,
Ik milda nai ohh jerra puchda aye haal mera,
subah tu din tey jeewain din tu shaam jaye….

Hussan ki taup ka gola mara, tera kakh na rahe

Hussan ki taup ka gola mara, tera kakh na rahe.
Tujh pe gir jaye qutbi tara, tera kakh na rahe,
Banking council waley teri har shay qarqi kar dain,
Charh jaye tujh pe qarzaa bhara, tera kakh na rahe,
Sardi andar neher ke banney, sari raat khalotey,
Tu na aayi, laya laara, tera kakh na rahe,
Dil ki chori ke ilzaam police ka chaapa par jaye,
Pharrya jaye tabbar sara, tera kakh na rahe,
Saari ghazal suna kar bhi nahin saarra dil ka mukya,
Saadda hai bas ikko hi naara, tera kakh na rahe..

Vey tu nahin aya

Vey tu nahin aya,
Teri yaad aa ke,


Tera waada yaar wafaa kar gayi,
Saanu taang* rahi pal pal teri,


Bechaini, mera amman, sakooon,
Tabaah kar gayi,


Buuha hillya kayi waari,
Main samjheya assar dua kar gayi,


Jadu kholeya,
Wekheya kujh vi neyi,


Sadhay naal mazaq hawaa kar gayi..

Zindagi key sarey khakey hi adhorey reh gaye

Zindagi key sarey khakey hi adhorey reh gaye..
Mein teri tasweer mein bas rang bharta reh gaya.!!

Mumkin ho to Kali shab ki tasht ko dekho

Mumkin ho to Kali shab ki tasht ko dekho
Kitney sundar tarey hein


Lekin hein be-khawab azal sey
Shayad hijr key marey hein!

Zindagani ki haqeeqat kia hai ye bhi sochna

Zindagani ki haqeeqat kia hai ye bhi sochna..
Sham ko jab dobtey soraj ka manzar dekhna.!

Zameen dhondtey hein asmaan key nechay

Zameen dhondtey hein asmaa’n key nechay..
Zara bhi saya nahi hai saibaa’n key nechay…

Is sey pehlay key ankh khul jaye

Is sey pehlay key ankh khul jaye
Aa key hont’on sey’ meri aankh’on per
Koi anmool khuwab likh jao
Mera chehra gulaab leikh jao
Bad mein aa key apney hath’on sey
Mera jeewan sarab likh jao

Rang-e-mehfil dekhney ko hosh mein aye thay hum

Rang-e-mehfil dekhney ko hosh mein aye thay hum..
Hosh phir urney lagey hein rang-e-mehfil dekh ker!

Rehta hun jis zameen per wohi orh lun ga mein

Rehta hun jis zamee’n per wohi orh lun ga mein.!!
Anjam pey pohanch’on ga, mein anjam sey pehlay..

Rahi ye aas key serab ho gi kasht-e-hayat

Rahi ye aas key serab ho gi kasht-e-hayat..
So johar’on ko bhi dariya-e-neel likhtey rahey.!

Aaj mein ney bhi kahrida hai barey chao sey

Aaj mein ney bhi kahrida hai barey chao sey
Saal-e-nuo ka ye bohat sada sa card
Teri janib sey phir is ko mein ney
Apney address pey hai arsal kiya
Ta key college ki mein sab sakhi’yon ko
Ja key dikha sak’on ye tohfa
Jis mein tehreer badal ker mein ney
Apney hath’on sey ye likha khod ko
Saal-e-nuo tum ko Mubarak jana’n

Roh ki aab-o-hawa mein zehar phela is tarha

Roh ki aab-o-hawa mein zehar phela is tarha..
Jism-o-jaa’n ki talkhi’yon ney khench li dil ki mithas.!!

Roz gir jati hai dewar teray waadon ki

Roz gir jati hai dewar teray waad’on ki!
Roz hum mout key saey mein raha kertay hein..

Rakh ker nazar key samney khawab-e-naz

Rakh ker nazar key samney khawab-e-naz.!
Pehr’on teray khayal mein doba raha hun mein..

Ruton key sath kabhi bhi maslihat na rahi

Rut’on key sath kabhi bhi maslihat na rahi!
Ana parast thay hum aur be-samar thehary..

Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man

Chaley aao
Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man
Jholas jaye ga to hum ko
Ghari mein raakh ker dey ga


Chaley aao
Abhi umeed ki palk’on pey roshan deep hein jana’n!
Agar ye bhujh gaye to tergi shab khoon marey gi
Tumhara nam dharkan mein abhi tak raks kerta hai
Hawa’on ney tumhara lims jo
Tum sey churaya tha… hamarey pas laya tha
Abhi wo lims baki hai
Bohat be-chain kerta hai
Laho mein beyn kerta hai


Chaley aao
Abhi tak chand mein chehra tumhara muskurata hai
Abhi kushbo ka qasid dil pey dastak denay ata hai
Hasee’n pegham lata hai
Abhi tak sab wohi kuch hai
Wohi chaht bahri baat’ein


Wohi larna jagharna piyar mein aur roth jana bhi
Ghari bhar mein, bohal jana aur akhir maan jan bhi
Tumh’ein wo phone ker key kehna jald aa jao
Ye dil tum bin nahi lagta
Tumhara jald ana aur wo sub kuch
Muhabbat aur sharart sey bharey lamhey
Abhi tak sub wohi kuch hai


Chaley aao..
Kahin hum gum na ho jain

Roz kha letay hein hastey huay chehron sey fareb

Roz kha letay hein hastey huay chehr’on sey fareb..
Kiya ker’ein apni nigah’on mein murawat hai bohat.!

Raat ki rani ka jhonka kisi ki yaad bhi

Raat ki rani ka jhonka kisi ki yaad bhi.!
Dair tak angan meray ehsas sey mehka raha..

Rahein juda juda hun to kuch gham na kijeye

Rah’ein juda juda hun to kuch gham na kijeye!
Hum alam-e-khayal mein hein aap hi key sath..

Ruki ruki si shab-e-marg khatam per aai

Ruki ruki si shab-e-marg khatam per aai!
Wo poh phati wo nai zindagi nazar aai..

Nahe key bad bhi kehney ko sun’ney ko

Nahi key bad bhi kehney ko sun’ney ko
Bohat sey lafz hotey hein


Magar in ko talashey ga wohi jo ba-hunar ho ga
Jo lafz’on mein chupi dharken sey jana’n ba-khabar ho ga


Nahi’en key bad bhi asbat ka imkan hota hai
Magar kuch log rastey mein hi himat har detay hein


Wo lafz’on mein chupay mani,chupey arman kesay jaan saktey hein
Key aksar hum nahi’en mein ‘han’ bhi rakhtey hein


Magar ik zid si hum ko tok deti hai
Ana dewaar ban key rok deti hai


Aur hum ye soch ker bhi har jatey hein
Key shayad samney wala


Hamarey dil mein jhanky ga
Nai’ein mein han ko bhanpey ga


Hamara hath thamey ga
Galey hum ko lagaye ga


Hamari maat ko jeet ker dey ga
Ye sar-garm geet ker dey ga


Magar aisa nahi hota
Nahi’en ko ley ker kuch lamhey


Laho ho jatey hein jana’n!
Wo jin ko sath chalna ho wohi kho jatey hein jana’n


Nahi’en key bad bhi kuch lafz hotey hein

Dhonda joray huay logon mein wafa key moti

Dhonda joray huay log’on mein wafa key moti..
Ye khazaney tujhey mumkin hai kharab’on mein mil’ein!

Dhondti rahi hein, takhayul ki bahein tujh ko

Dhondti rahi hein, takhayul ki bahei’n tujh ko..
Sard raat’on ki sulghti hui tanhai mein!!

Dhal gaye raatein dhaltey dhaltey

Dhal gaye raat’ein dhaltey dhaltey, 
bujh gaye sham’ein jaltey jaltey.!

Janey kitni dour hai manzil 

thak gaye hum to chaltey chaltey!

Muhabbat ko na janey do

Muhabbat ko na janey do..
Agr tum char’on janib ghor sey dekho


To tum ko ye khabar ho gi
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!


Agar ankh’on mein dalo gey
To benai gawao gey


Agar dil mein sambhalo gey,to tum jenay sey jao gey
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!


Chu’o to hath melay hon
Chalo is per to dono’n peyr chaley hon


Hawas ney jal char’on simt daley hein
Aur is key rog kaley hein


Sambhal key jo chaley’ mano mukadar ke hai sikandar
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!


Magar is khak ko agar koi dil ki ankh sey dekhay
To ik anmol heera’ samney apney wo paye ga


Hazar’on chand sey barh ker ujaley ley ey aye ga
Usey heran ker dey ga


Bari sey ho bari mushkil’ usey asan ker dey ga
Isi anmol heray ka nam muhabbat hai jana’n!


Muhabbat dil pey dastak dey to aney do
Muhabbta ko na janey do


Muqadar sey agr tum ko mil jaye to ganwana mat
Usay muthi mein band rakhna’ girana mat


Ye wo dolat hai jo ik bar
Gum ho key nahi milti


Ye wo khushbo hi jo her phool key dar per nahi jati
Muhabbat jab chali jaye kabhi wapis nahi ati


Muhabbat ko na janey do