Wednesday 30 July 2014

Uthi Phir Aaj Woh Poorab Se Kali Kali Ghata

Uthi Phir Aaj Woh Poorab Se Kali Kali Ghata
Siyah Posh Huwa Phir Pahar Sar Ban Ka

Nihan Huwa Jo Rukh-e-Mehr Zair-e-Daman-e-Abar
Hawaye Sard Bhi Ayi Sawar-e-Tousan-e-Abar

Garaj Ka Shor Nahin Hai, Khamosh Hai Ye Ghata
Ajeeb Mai Kuda-e-Be Kharosh Hai Ye Ghata

Chaman Mein Hukm-e-Nishat-e-Madam Layi Hai
Qabaye Gul Mein Guhr Tankne Ko Ayi Hai

Jo Phool Mehr Ki Garmi Se Sou Chale The, Uthe
Zameen Ki Gode Mein Jo Par Ke So Rahe The, Uthe

Hawa Ke Zor Se Ubhra, Barha, Urha Badal
Uthi Woh Aur Ghata, Lo! Baras Para Badal

Ajeeb Khema Hai Kuhsar Ke Nihalon Ka
Yaheen Qayam Ho Wadi Mein Phirne Walon Ka

Kehte Hain Kabhi Ghosht Na Khata Tha Ma’arri

Kehte Hain Kabhi Ghosht Na Khata Tha Ma’arri
Phal Phool Pe Karta Tha Hamsha Guzar Auqat

Ek Dost Ne Bhoona Huwa Teetar Usse Bheja
Shaid Ke Who Shatir Issi Tarkeeb Se Ho Maat

Ye Khawan-e-Tar-o-Taza Maarri Ne Jo Dekha
Kehne Laga Woh Sahib-e-Ghafran-o-Lazomaat

Ae Murghak-e-Bechara! Zara Ye To Bata Tu
Tera Woh Gunah Kya Tha Ye Hai Jis Ki Makafat?

Afsos, Sad Afsos Ke Shaheen Na Bana Tu
Dekhe Na Teri Ankh Ne Fitrat Ke Isharat

Taqdeer Ke Qazi Ka Ye Fatwa Hai Azal Se
Hai Jurm-e-Zaeefi Ki Saza Marg-e-Mafajat!

Mout Hai Ek Sakht Tar Jis Ka Ghlami Hai Naam

Mout Hai Ek Sakht Tar Jis Ka Ghlami Hai Naam
Makar-O-Fan-E-Khawajgi Kash Samajhta Ghulam !

Shara-E-Malookana Mein Jiddat-E-Ehkaam Dekh
Soor Ka Ghogha Hilal, Hashar Ki Lazzat Haram !

Ae Kh Ghulami Se Hai Rooh Teri Muzmahil
Sina’ay Be-Soz Mein Dhoond Khudi Ka Maqam !

Mullah Zadah Zaigham Lolabi Kashmiri Ka Bayaz

Pani Tere Chashmon Ka Tarapta Huwa Simaab
Murghan-E-Sahar Teri Fazaon Mein Hain Betaab

Ae Wadi-e-Lolaab!
O Valley of Laulab!

Gar Sahib-E-Hangama Na Ho Manbar-O-Mehrab
Deen Banda’ay Momin Ke Liye Mout Hai Ya Khawab

Ae Wadi-e-Lolaab!
O Valley of Laulab!

Hain Saaz Pe Mauqoof Nawa Ha’ay Jigar Souz
Diheele Hon Agar Taar To Bekaar Hai Mizraab

Ae Wadi-e-Lolaab!
O Valley of Laulab!

Mullah Ki Nazar Noor-E-Firasat Se Hai Khali
Be-Soz Hai Maikhana’ay Sufi Ki Mai’ay Naab

Ae Wadi-e-Lolaab!
O Valley of Laulab!

Baidar Hon Dil Jis Ki Faghan-E-Sahari Se
Iss Qoum Mein Muddat Se Woh Darvesh Hai Nayab

Ae Wadi-e-Lolaab!
O Valley of Laulab!

Na Kar Zikr-E-Firaq-O-Ashanai

Na Kar Zikr-E-Firaq-O-Ashanai
Ke Asal-E-Zindagi Hai Khud-Numai

Na Darya Ka Zayan Hai, Ne Guhar Ka
Dil-E-Darya Se Gohar Ki Judai

Nikl Kar Khanqahon Se Ada Kar Rasm-E-Shabeeri

Nikl Kar Khanqahon Se Ada Kar Rasm-E-Shabeeri
Ke Faqr-E-Khanqahi Hai Faqat Andoh-O-Dilgeeri

Tere Deen-O-Adab Se Aa Rahi Hai Boo’ay Ruhbani
Ye Hai Marne Wali Ummaton Ka Alam-E-Peeri

Shayateen-E-Mulookiat Ki Ankhon Mein Hai Vo Jadoo
K Khud Nakhcheer Ke Dil Mein Ho Paida Zuaq-E-Nakhcheeri

Che Be Parwa Gazashtand Az Nawa’ay Subahgah-E-Mann
Ke Burd Aan Shor-O-Masti Az Seeh Chasmaan-E-Kashmiri !

Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka

Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka
Ke Subha-O-Sham Badalti Hain In Ki Taqdeerain

Kamal-E-Sidq-O-Marawwat Hai Zindagi In Ki
Maaf Karti Hai Fitrat Bhi In Ki Taqseerain

Qalanderana Ada’en, Sikandarana Jalal
Ye Ummatain Hain Jahan Mein Barhana Shamsheerain

Khudi Se Mard-E-Khud Agah Ka Jamal-O-Jalal
K Ye Kitab Hai, Baqi Tamam Tafseerain

Shikwa-E-Eid Ka Munkir Nahin Hun Mein, Lekin
Qabool-E-Haq Hain Faqat Mard-E-Hur Ki Takbeerain

Hakeem Meri Nawa’on Ka Raaz Kya Jane
Wara’ay Aqal Hain Ahl-E-Junoon Ki Tadbeerain

Rindon Ko Bhi Maloom Hain Sufi Ke Kamalaat

Rindon Ko Bhi Maloom Hain Sufi Ke Kamalaat
Har Chand Ke Mashoor Nahin In Ke Karamaat

Khud Geeri-O-Khudari-O-Gulbang-E-‘Anl-Ul-Haq’
Azad Ho Salik  To Hain Ye Uss Ke Maqamaat

Mehkoom  Ho Salik To Yehi Iss Ka ‘Hama Ost’
Khud Murda Wa Khud Marqad-O-Khud Marg-E-Mafajaat!

Meri Shakh-E-Amal Ka Hai Samar Kya

Meri Shakh-E-Amal Ka Hai Samar Kya
Teri Taqdeer Ki Mujh Ko Khabar Kya

Kali Gul Ki Hai Mohtaj-E-Kushood Aaj
Naseem-E-Subah-E-Farada Par Nazar Kya !

Samjha Lahoo Ki Boond Agar Tu Issay To Khair

Samjha Lahoo Ki Boond Agar Tu Issay To Khair
Dil Adami Ka Hai Faqt Ek Jazba’ay Buland

Gardish Mah-O-Sitara Ki Hai Nagwaar Isse
Dil Ap Apne Sham-O-Sahar Ka Hai Naqsh Band

Jis Khak Ke Zameer Mein Hai Aatish-E-Chinaar
Mumkin Nahin K Sard Ho Vo Khaak-E-Arjuman

Tha Ye Allah Ka Farman K Shikwa-E-Parwaiz

Tha Ye Allah Ka Farman K Shikwa-E-Parwaiz
Do Qalander Ko K Hain Iss Mein Mulukana Sifaat

Mujh Se Farmaya K Le, Aur Shehanshahi Kar
Husn-E-Tadbeer Se De Ani-O-Fani Ko Sibat

Mein To Iss Bar-E-Amanat Ko Uthata Sar-E-Dosh
Kaam-E-Darvesh Mein Har Talakh Hai Manind-E-Nabat

Ghairat-E-Faqr Magar Kar Na Saki Iss Ko Qabool
Jab Kaha Uss Ne Ye Hai Meri Khudai Ki Zakaat !

Tamam Arif-O-Ami Khudi Se Begana

Tamam Arif-O-Ami Khudi Se Begana
Koi Bataye Ye Masjid Hai Ya K Maikhana

Ye Raaz Hum Se Chupaya Hai Meer Waaiz Ne
Ke Khud Haram Hai Charagh-E-Haram Ka Parwana

Tilism-E-Bekhabri, Kafari-O-Deendari
Hadees-E-Sheikh-O-Barhaman Fusoon-O-Afsana

Naseeb-E-Khitta Ho Ya Rab Woh Band’ay Darvesh
Ke Jis Ke Faqr Mein Andaz Hon Kaleemana

Chupay Rahain Ge Zamane Ki Ankh Se Kab Tak
Guhar Hain Aab-E-Woolar Ke Tamam Yakdana

Tameez-E-Khaar-O-Gul Se Ashakara

Tameez-E-Khaar-O-Gul Se Ashakara
Naseem-E-Suba Ki Roshan Zameeri

Hifazat Phool Ki Mumkin Nahin Hai
Agar Kante Mein Ho Khoo’ay Hurairi

Ye Mehar-O-Mah, Ye Sitare Ye Asman-E-Kubood

Ye Mehar-O-Mah, Ye Sitare Ye Asman-E-Kubood
Kise Khabar Ke Ye Alam Addam Hai Ya Ke Wujood

Khiyal-E-Jadah-O-Manzil Fasana-O-Afsoun
Ke Zindagi Hai Sarapa Raheel-E-Be-Maqsood

Rahi Na Aah, Zamane Ke Hath Se Baqi
Vo Yaadgar-E-Kamalaat -E-Ahmad-O-Mehmood

Zawal-E-Ilm-O-Hunar Marg-E-Naaghan Uss Ki
Woh Karwan Ka Mataa-E-Garan Bha Masood !

Mujhe Rulati Hai Ahl-E-Jahan Ki Baydardi
Faghan-E-Mugh-E-Sehar Khawan Ko Jante Hain Surood

Na Keh Ke Sabr Mein Pinhan Hai Chara’ay Gham-e-Dost
Na Keh Ke Sabr Mu’amaye Mout Ki Hai Kushood

"Dile Ke Ashiq Wa Sabir Bood Magar Sang Ast
Za Ishq Ta Ba Saboori Hazar Farsang Ast" (Sadi)

Na Mujh Se Pooch Ke Umer-E-Garaiz Pa Kiya Hai
Kise Khabar Ke Ye Neerang-O-Seemiya Kya Hai

Huwa Jo Khak Se Paida, Vo Khak Mein Mastoor
Magar Ye Ghaibat-E-Sughra Hai Ya Fana, Kya Hai !

Ghubar-E-Rah Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Jamal
Khirad Bata Nahin Sakti Ke Muddaa Kya Hai

Dil-O-Nazar Bhi Issi Aab-O-Gil Ke Hain Ijaz
Nahin To Hazrat-E-Insan Ki Intiha Kya Hai?

Jahan Ki Rooh-E-Rawan ‘LA ILAHA ILLA HOO’
Masih-O-Meekh-O-Chalipa, Ye Majra Kya Hai !

Qasas Khoon-E-Tammana Ka Mangiye Kis Se
Gunahgar Hai Kon, Aur Khoon Baha Kya Hai

Ghameen Masho Ke Ba Band-E-Jahan Gariftarem
Talism Ha Shikand Aan Dile Ke Ma Darem

Khudi Hai Zinda To Hai Mout Ek Maqam-E-Hayat
Ke Ishq Mout Se Karta Hai Imtihan-E-Sabaat

Khudi Hai Zinda To Darya Hai Be-Karana Tera
Tere Firaq Mein Muztir Hai Mouj-E-Neel-O-Firat

Khudi Hai Murda To Manind-E-Kah Paish-E-Naseem
Khudi Hai Zinda To Sultan-E-Jumla Moujoodat

Nigah Aik Tajalli Se Hai Agar Mehroom
Dou Sad Hazar Tajalli Talafi-E-Mafaat

Maqam Banda’ay Momin Ka Hai Wara’ay Sipihr
Zameen Se Ta Ba Surreya Tamam Laat-O-Manaat

Hareem-E-Zaat Hai Iss Ka Nasheman-e-Abdi
Na Tera Khak-E-Lehad Hai, Na Jalwagah-E-Sifaat

Khud Aa-Gahan Ke Azeen Khakdan Baron Jastand
Tilism Mehar-O-Sipihr-O-Sitara Bashkastand

Tasveer-o-Musawir

Tasveer:-

Kaha Tasveer Ne Tasweer Gar Se
Numaish Hai Meri Tere Hunar Se

Wa Lekin Kis Qaddar Na-Munsafi Hai
Ke Tu Poshida Ho Meri Nazar Se!

Musawwar:-

Garan Hai Chasm-E-Bina Didah Wer Par
Jahan Beeni Se Kya Guzri Sharar Par!

Nazar Dard-o-Gham-o-Souz-o-Tab-o-Taab
Tu Ae Nadan, Qana’at Kar Khabar Par

Tasveer:-

Khabar, Aqal-o-Kirad Ki Natawani
Nazar, Dil Ki Hayat Javedani

Nahin Hai Iss Zamane Ki Tag-o-Taaz
Sazawar-e-Hadees-e-'Lan Tarani'

Musawwar:-

Tu Hai Mere Kamalat-e-Hunar Se
Na Ho Naumeed Apne Naqsh Gar Se

Mere Didar Ki Hai Ek Yehi Sharat
Ke Tu Pinhan Na Ho Apni Nazar Se


Tere Darya Mein Toofan Kyun Nahin Hai

Tere Darya Mein Toofan Kyun Nahin Hai
Khudi Teri Musalman Kyun Nahin Hai

Abas Hai Shikwa’ay Taqdeer-E-Yazdan
Tu Khud Taqdeer-E-Yazdan Kyun Nahin Hai?

Zameer-e-Magrib Hai Tajirana

Zameer-e-Magrib Hai Tajirana, Zameer-e-Mashriq Hai Rahabana
Wahan Digargoon Hai Lehza Lehza, Yahan Badalta Nahin Zamana

Kinar-E-Darya Khizar Ne Mujh Se Kaha Ba-Andaz-E-Mehramana
Sikandari Ho, Qalanderi Ho, Ye Sub Tareeke Hain Sahirana

Hareef Apna Samajh Rahe Hain Mujhe Khudayan-E-Khanqahi
Unhain Ye Dar Hai Ke Mere Nalon Se Shiq Na Ho Sang-E-Ashiyana

Ghulam Qoumon Ke Ilm-O-Irfan Ki Hai Yehi Ramz Ashakara
Zameen Agar Tang Hai To Kya Hai, Fizaye Gardoon Hai Be-Karana

Khabar Nahin Kya Hai Naam Iss Ka, Khuda Farebi Ya Khud Farebi
Amal Se Farigh Huwa Musalman Bana Ke Taqdeer Ka Bahana

Meri Aseeri Pe Shakh-E-Gul Ne Ye Keh Ke Sayyad Ko Rulaya
Ke Aese Pursouz Naghma Khawan Ka Giran Na Tha Mujh Pe Ashiyana

Ho Mubarik Uss Shahenshah-e-Nikofar Jaam Ko

Ho Mubarik Uss Shahenshah-e-Nikofar Jaam Ko
Jis Ki Qurbani Se Asrar-e-Mulookiyat Hain Faash

Shah' Hai Bartanvi Mandar Mein Ek Mitti Ka But
Jis Ko Kar Sakte Hain, Jab Chahain Poojari Paash Paash

Hai Ye Mushk Amaiz Afyoon Hum Ghulamon Ke Liye
Sahir-e-Ungleen ! Mara Khawaja'ay Digar Taraash

Kuhan Hangama Ha’ay Arzoo Sard

Kuhan Hangama Ha’ay Arzoo Sard
Kh Hai Mard-e-Musalman Ka Lahoo Sard

Bouton Ko Meri La-Deeni Mubarik
Ke Hai Aaj Aatish-e-‘Allah Hoo’ Sard

Khula Jab Chaman Mein Kutab Khana’ay Gul

Khula Jab Chaman Mein Kutab Khana’ay Gul
Na Kaam Aya Mullah Ko Ilm-E-Kitabi

Matanat Shikan Thi Hawa’ay Baharan
Ghazal Khawan Huwa Peerak-E-Indrabi

Kaha Lala’ay Atisheen Pairhan Ne
K Asrar-E-Jaan Ki Hoon Mein Behijabi

Samjhta Hai Jo Mout Khawab-E-Lehad Ko
Nahan Uss Ki Tameer Mein Hai Kharabi

Nahin Zindagi Silsala Roz-O-Shab Ka
Nahin Zindagi Masti-O-Neem Khawabi

Hayat Ast Dar Atish-E-Khud Tapaydan
Khush Aan Dam Kh Ayen Nukta Ra Bazyabi

Agar Za Atish-E-Dil Shararay Bagiriri
Tawan Kard Zaer-E-Falak Afabi

Khud Agahi Ne Sikhla Di Hai Jis Ko Tan-Faramoshi

Khud Agahi Ne Sikhla Di Hai Jis Ko Tan-Faramoshi
Haram Ayi Hai Uss Mard-E-Mujahid Par Zarah Poshi

Khirad Ki Tang Daamani Se Faryad

Khirad Ki Tang Damaani Se Faryad
Tajali Ki Farawani Se Faryad

Gawara Hai Isse Nazara’ay Ghair
Nigah Ki Na-Musalmani Se Faryad !

Khird Dekhe Agar Dil Ki Nigah Se

Khird Dekhe Agar Dil Ki Nigah Se
Jahan Roshan Hai Noor-E-’LA ILLAH’ Se

Faqat Ek Gardish-E-Sham-O-Sahar Hai
Agar Dekhain Farogh-E-Mehar-O-Mah Se

Kaha Iqbal Ne Sheikh-E-Haram Se

Kaha Iqbal Ne Sheikh-E-Haram Se
Teh-E-Mehrab-E-Masjid So Gya Kon

Nida Masjid Ki Dewaron Se Ayi
Farangi But-kade Mein Kho Gya Kon?

Kabhi Darya Se Misl-E-Mouj Ubhar Kar

Kabhi Darya Se Misl-E-Mouj Ubhar Kar
Kabhi Darya Ke Sinay Mein Utar Kar

Kabhi Darya Ke Sahil Se Guzar Kar
Maqam Apni Khudi Ka Faash Tar Kar!

Ajam Hanooz Nadand Rumooz-E-Deen, Warna

Ajam Hanooz Nadand Rumooz-E-Deen, Warna
Za Deoband Husain Ahmad! Aen Che Bu-ul-Ajabi Ast

Saroad Bar Sar-E-Minbar Ke Millat Az Watan Ast
Che Bekhabar Za-Maqam-E-Muhammad (S.A.W.) Arabi Ast

BaMustafa (S.A.W.) Barsaan Khowesh Ra Ke Deen Hama Ost
Agar Bah O Ner Sayyadi, Tamam Bu-Lahabi Ast

Hazrat-e-Insan

Jahan Mein Danish-O-Beenish Ki Hai Kis Darja Arzani
Koi Shay Chup Nahin Sakti K Ye Alam Hai Noorani

Koi Dekhe To Hai Bareek Fitrat Ka Hijab Itna
Numayan Hain Farishton Ke Tabassum Haye Pinhani

Ye Duniya Dawat-E-Didar Hai Farzand-E-Adam Ko
Ke Har Mastoor Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Uryani

Ye Farzand-E-Adam Hai K Jis Ke Askh-E-Khooni Se
Kiya Hai Hazrat-E-Yazdan Ne Daryaon Ko Toofani

Falak Ko Kya Khabar Ye Khaakdaan Kis Ka Nasheeman Hai
Gharz Anjum Se Hai Kis Ke Shabistan Ki Nighebani

Agar Maqsood-E-Kul Main Hun To Mujh Se Mawara Kya Hai
Mere Hungama Ha’ay Nau Ban Nau Ki Intiha Kya Hai?

Hajat Nahin Ae Khitta’ay Gul Sharah-O-Bayan Ki

Hajat Nahin Ae Khitta’ay Gul Sharah-O-Bayan Ki
Tasveer Humare Dil-E-Purkhoon Ki Hai Lalah

Taqdeer Hai Ek Naam Makafat-E-Amal Ka
Dete Hain Ye Pegham Khudayan-E-Hamala

Sarma Ki Hawaon Mein Hai Uryan Badan Uss Ka
Deta Hai Hunar Jis Ameeron Ko Doshala

Umeed Na Rakh Doulat-E-Dunya Se Wafa Ki
Ram Uss Ki Tabiyat Mein Hai Manind-E-Ghazala

Hadees-E-Banda’ay Momin Dil Awaiz

Hadees-E-Banda’ay Momin Dil Awaiz
Jigar Pur Khoon, Nafs Roshan, Nigah Taiz

Muyassar Ho Kise Didar Uss Ka
Ke Hai Woh Ronaq-E-Mehfil Kam Amaiz

Ghareebi Mein Hon Mehsood-E-Ameeri

Ghareebi Mein Hon Mehsood-E-Ameeri
Ke Ghairatmand Hai Meri Faqeeri

Hazzar Uss Faqar-O-Darveshi Se, Jis Ne
Musalman Ko Sikha Di Sar-Ba-Zayri

Ghareeb-E-Shehar Hon Mein

Ghareeb-E-Shehar Hon Mein, Sun To Le Meri Faryad
Ke Tere Sine Mein Bhi Hon Qayamatain Abad

Meri Nawa’ay Gham Aalood Hai Mataa-E-Aziz
Jahan Mein Aam Nahin Doulat-E-Dil Na-Shaad

Gila Hai Mujh Ko Zamane Ki Kaur Zauqi Se
Samjhta Hai Meri Mehnat Ko Mehnat-E-Farhad..

Sada’ay Tesha K Bar Sang Mei-Khud Degar Ast
Khabar Bageer K Awaz-E-Tesha Wa Jigar Ast

Garam Ho Jata Hai Jab Mehkoom Qoumon Ka Lahoo

Garam Ho Jata Hai Jab Mehkoom Qoumon Ka Lahoo
Thartharata Hai Jahan-E-Chaar Suay-O-Rang-O-Boo

Pak Hota Hai Zan-O-Takhmeen Se Insan Ka Zameer
Karta Hai Har Rah Ko Roshan Charagh-E-Arzoo

Vo Purane Chaak Jin Ko Aqal Si Sakti Nahin
Ishq Sita Hai Unhain Be-Sozan-O-Taar-E-Rafoo

Zarbat-E-Peham Se Ho Jata Hai Akhir Pash Pash
Hakmiat Ka But-E-Sangeen Dil-O-Aaeena Roo

Faraghat De Usse Kar-E-Jahan Se

Faraghat De Usse Kar-E-Jahan Se
Ke Chootay Har Nafs Ke Imtihan Se

Huwa Peeri Se Shaitan Kuhna Andaish
Gunah-E-Taza Tar Laye Kahan Se !

Durraj Ki Parwaz Mein Hai Shaukat-E-Shaheen

Durraj Ki Parwaz Mein Hai Shaukat-E-Shaheen
Hairat Mein Hai Sayyadm Ye Shaheen Hai Kh Durraj !

Har Qoum Ke Afkar Mein Paida Hai Talatum
Mashriq Mein Hai Farda’ay Qayamat Ki Namood Aaj

Fitrat Ke Taqazon Se Huwa Hashar Pe Majboor
Woh Murda Kh Tha Bang-E-Sarafeel Ka Mohtaj

Iss Dair-e-Kuhan Mein Hain Gharzmand Poojari

Iss Dair-e-Kuhan Mein Hain Gharzmand Poojari
Ranjeeda Button Se Hon To Karte Hain Khuda Yaad

Pooja Bhi hai Be-sood, Namazain bhi hain Be-sood
Qismat Hai Gharibon Ki Wohi Nala-o-Faryad

Hain Garcha Bulandi Mein Amaraat Falak Bous
Har Sheher Haqiqat Mein Hai Weerana’ay Abad

Teeshe Ki Koi Gardish-e-Taqdeer Tou Dekhe
Sirab Hai Pervaiz, Jigar-e-Tashna Hai Farhad

Ye Ilm, Ye Hikmat, Ye Siasat, Ye Tijarat
Jo Kuch Hai, Woh Hai Fikar-e-Mulookana Ki Ijaad

Allah ! Tera Shukar Ke Ye Khitta-e-Pursouz
Soudagar-e-Yourap Ki Ghulami Se Hai Azad !

Digargoon Jahan Un Ke Zor-E-Amal Se

Digargoon Jahan Un Ke Zor-E-Amal Se
Bare Maarke Zinda Qoumon Ne Mare

Munjam Ki Taqweem-E-Farda Hai Batil
Giray Aasman Se Purane Sitare

Zameer-E-Jahan Iss Qadar Atisheen Hai
Ke Darya Ki Moujon Se Tootay Sitare

Zameen Ko Faraghat Nahin Zalzalon Se
Numayan Hain Fitrat Ke Bareek Ishare

Hamala Ke Chashme Ubalte Hain Kab Tak
Khizar Sochta Hai Woolar Ke Kinare