Khula Jab Chaman Mein
Kutab Khana’ay Gul
Na Kaam Aya Mullah Ko
Ilm-E-Kitabi
Matanat Shikan Thi
Hawa’ay Baharan
Ghazal Khawan Huwa
Peerak-E-Indrabi
Kaha Lala’ay Atisheen
Pairhan Ne
K Asrar-E-Jaan Ki
Hoon Mein Behijabi
Samjhta Hai Jo Mout
Khawab-E-Lehad Ko
Nahan Uss Ki Tameer
Mein Hai Kharabi
Nahin Zindagi Silsala
Roz-O-Shab Ka
Nahin Zindagi
Masti-O-Neem Khawabi
Hayat Ast Dar
Atish-E-Khud Tapaydan
Khush Aan Dam Kh Ayen
Nukta Ra Bazyabi
Agar Za Atish-E-Dil
Shararay Bagiriri
Tawan Kard
Zaer-E-Falak Afabi
No comments:
Post a Comment