Showing posts with label Iqbal Azeem. Show all posts
Showing posts with label Iqbal Azeem. Show all posts

Tuesday, 14 October 2014

wo nazar sey door tu hain magar ye ajeeb surat-e haal hai

wo nazar sey door tu hain magar ye ajeeb surat-e haal hai
huma waqt paish-e nazar bhi hain, na firaaq hay na visaal hai
na wo hum say kum, na hum un say kum, wo udher khafa, hum idher khafa
na unhain humara khayyal hay, na humain demaagh-e sawal hai
yehi qurbatain, yehi fasley tu kholoos-e ishq ki jaan hain
kabhi gard-e ranj-o malaal hay, kabhi fikr-e pursish-e haal hai
ye tumhaari talkh nawaiyaan koi aur seh k dikha tu day
ye jo tum main mujh main nibah hay, merey hoslay ka kamal hai
mujhay is ka koi bhi ghum nahi k kisi nay mujh sey wafa na ki
main kisi k kaam na aa saka mujhe sirf is ka malal hai
jo guzar rahi hay guzaar do, na bura kaho, na gila karo
jo tumhara haal hay dostoon, wohi saarey shehr ka haal hai
main kahan sey laoon wo roshni jo kisi k shehr main lut gayi
wo kisi ka shehr bhi lut gaya, mujhe is ka aur malaal hai
terey mashwarey k kholoos per mujhe tark-e ishq qobool hai
magar aik baat hay hum-nasheen, meri zindagi ka sawaal hai

Thursday, 25 September 2014

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain

Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa 
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta’alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun 
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi 
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey 
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain 
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa 
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein 
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa

Thursday, 21 August 2014