Tuesday 1 April 2014

Tere shaher teri soch se nikal jaaon gi

Tere shaher teri soch se nikal jaaon gi
Kisi udaas sham main dhal jaaon gi

Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon gi

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon gi

Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon gi

Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon gi

abhi kuchh dair meiN jab phir meray tanha dil ko

abhi kuchh dair meiN jab phir meray tanha dil ko
fikr aa lay gi ke tanhaai ka kya chaara karay?

dard aaeye ga dabay paaoN liyay surkh chiraagh
wo jo ek dard dhaRakta hei kaheeN dil say paray

sho'la-e-dard jo pehlu meiN lapak uThay ga
dil ki deevaar pe her naqsh damak uThay ga

halqa-e-zulf kaheeN, gosha-e-rukhsaar kaheeN
hijr ka dasht kaheeN, gulshan-e-deedaar kaheeN

lutf ki baat kaheeN, pyaar ka iqraar kaheeN
dil say phir ho gi meri baat ke ay dil! ay dil!

yeh jo mehboob bana hei teri tanhaai ka
yeh tou mehmaaN hei ghaRi bhar ka chala jaaye ga

is say kab teri museebat ka mudaava ho ga
mushta'il ho kay abhi uTheiN gay vehshi saaye

yeh chala jaaey ga, reh jaayeiN gay baaqi saaye
raat bhar jin say tera khoon-kharaaba ho ga

jung Thehri hei koi khel nahiN hei ay dil
dushman-e-jaaN haiN sab hi, saaray kay saaray qaatil

yeh kaRi raat bhi, yeh saaye bhi, tanhaai bhi
dard aur jung meiN kuch mail nahiN hei ay dil

laao! sulgaao koi josh-e-ghazab ka angaar!
taish ki aatish-e-jarraar kahaaN hei? laao!

wo sulagta hova gulzaar kahaaN hai? laao!
jis meiN garmi bhi hai, harkat bhi, tavaanaai bhi

ho na ho, apnay qabeelay ka bhi koi lashkar
muntazir ho ga, andheray ki faseeloN kay udhar

un ko sho'loN kay rajaz apna pata tou deiN gay
Khair hum tak vo na pohnchay bhi, sada tou deiN gay

door kitni hei abhi subh, bata tou deiN gay

Tumhari yaad k manzr kabhi khone nahi dete

Tumhari yaad k manzr kabhi khone nahi dete, 
Tumhari yaad k saye hame sone nahi dete, 

Ye badal,phool or khusboo boht betaab krte hain, 
Agar rona bhi chaahen hum kabhi rone nahi dete, 

Hum apni saans de ke rok lete jaane walon ko, 
Hmara bas agar hota juda hone nahi dete, 

Nazar mai deed ki hasrat liye chup chap bethe hain, 
Wo hum se door reh kar bhi hame sone nahi dete..

MERE KHUDA MERE LAFZON BIA MA ZAHIR HO

MERE KHUDA MERE LAFZON BIA MA ZAHIR HO
ISI SHIKASTA O BA'STA ZABAN MA ZAHIR HO

MA SURH ROOH NAZAR AOO KALAM HO KA SAKOOT
TERI ATA MERA NAAM O NISHAN MA ZAHIR HO

Aaj bhi wesa hi mosam hai.

Aaj bhi wesa hi mosam hai.
Aaj bhi wese hi baadal hain.

Aaj bhi wesi hi barish hai.
Jab hum pehli bar mile thay.

Yad he hum ne ye socha tha.
Hum ko milte dekh kar mosam.

Itna khush he, itna khush hai k.
Is ki aankhen bheeg gayi hain.

Magar aaj ye jan gaye hain.
Us din mosam kiyon roya tha.

Aaj kahan milo gay tum

Batao!

Aaj kahan milo gay tum
tumhe ek phoOl dena hay

tum se ek ehad lena hay
tumhen eman kehna hay

tumhen dil dharkan jaan kehna hay
jo juda karne ki hain sazishain

unhen bejaan kehna hay
han tum se bohat kuch kehna hay

Batao!

kya mohabat main ek phool bohat ho ga?
ya phir tum chand mango gay?

ya meri jaan mango gey?
ya hameesha ka tum saath mango gey?

batao!

kahan milo gey tum
tumhen ek phool dena hey...

Ajab Pagal Si Larki Hai

Ajab Pagal Si Larki Hai 

Mujhay her khat main likhti hai 

“Mujhay tum yaad kertay ho? 
Tumhain main yaad aati hooN?” 

meri baatain satati hain 
meri neendain jagati hain 

meri aankhain rulaati hain 
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho? 

kisi khamosh rustay se 
koi awaaz aati hai? 

Thatharti sard raatoN main 
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho? 

falak ke sab sitarooN ko 
meri baatain sunatay ho? 

kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai? 
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai? 

Ajab pagal Si larki hai 
mujhay her khat main likhti hai.. 

Jawaban ous ko likhta hooN.. 
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main 

chiragh-i-umer jalta hai 
phir ous k baad duniya kee 
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain 

mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay 
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti 

sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad 
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai 

farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN 
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN 

ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN 
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN 

mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai 
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai 

mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai 
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN 

poorani baat hai jo log akser gungunatay hain 
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain 

ajab pagal si lerki ho 
meri masroofiyat daikhoo 

tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na 
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti 

aur iss masroof jeewan main 
tumahray khat ka ikk jumla 

“tumhain main yaad aati hooN ?” 
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita 

bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita 
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna 

ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai 
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?

Chehre parhta Aankhen likhta rehta hoon

Chehre parhta Aankhen likhta rehta hoon
Main bhi kaisi batain likhta rehta hoon

Tere hijr main aur mujhe kya kerna hai
Tere naam kitabein likhta rehta hoon

Teri zulff ke saye dhayan main rehte hain
Main subho ko shamein likhta rehta hoon

Tujh se mill ker sarey dukh dohrauon ga
Hijr ki sari batein likhta rehta hoon

Sokhe phool, kitabein, zakham judai ke
Teri sab sogatein likhta rehta hoon

Chupp k nikla tha apny ghar se chand

Chupp k nikla tha apny ghar se chand
gir gya raat k shajar se cha~nd

aek khiRki khuli nahi shab bhar
aur guzra nahi idhar se cha~nd

raat paooN paTkHakhti phirti hai
jab se utth kar gya idhar se cha~nd

dasht meiN kh~awb ghull gya saara
raat bhar aasmaaN se barsy cha~nd

dekhti heiN falak se wo aankheN
jhaankta hai kabhi kha~n~Dar se chand

aur phir umr bhar bhaTakty rahy
hum yahaN se chaly, udhar se chand~!!

Dard itna tha k us raat

Dard itna tha k us raat
Dil-e-wehshi nay

Her rag-e-jaa.n say ulajhna chaha
Her bun'e mu say tapakna chaha

Aur kahi.n duur teray sehn'e chaman mein goya
Patta patta meray afsurda lahu mein dhul ker

Husn-e-mahtaab sai aazarda nazar aanay laga
Meray virana-e-tan mein goya

Saray dhuktay huay raisho.n ki tanabain khul ker
Silsala waar pata dainay lagi.n

Ruksat-e-kaafla-e-shauk ke tyaari ka
Aur jab yaad ke bujhti hui shammo.n mein nazar aaya kahi.n

Aik pal aakhri lamha teri dildari ka
Dard itna tha kay us say bhi guzarna chahaa
Hum nay chahaa bhi magar dil na thehrna chahaa

dekh lo Khvaab magar Khvaab kaa charchaa na karo

dekh lo Khvaab magar Khvaab kaa charchaa na karo
log jal jaayenge suuraj kii tamannaa na karo

vaqt kaa kyaa hai kisii pal bhii badal sakataa hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosaa na karo

kirchiyaaN TuuTe hue aks kii chubh jaayengii
aur kuchh roz abhii aaiinaa dekhaa na karo

ajanabii lagane lage Khud tumhen apanaa hii vajuud
apane din raat ko itanaa bhii akelaa na karo

Khvaab bachchon ke khilaunon kii tarah hote hain
Khvaab dekhaa na karo Khvaab dikhaayaa na karo

beKhayaalii men kabhii uNgaliyaaN jal jaayengii
raakh guzare hue lamhon kii kuredaa na karo

mom ke rishte hain garmii se pighal jaayenge
dhuup ke shahar men "Aazer ye tamaashaa na karo

Ek lafz Mohabbat hai

Ek lafz Mohabbat hai,
jissay kar k daikho tum..
Barbaad na ho jao to 
mera naam badal daina..

Ek lafz Muqaddar hai,
jiss say larr k daikho tum..
Haar na jao to 
mera naam badal daina..

Ek lafz Wafaa ka hai,
zamanay mein nahi milti..
Kaheen say dhoond kar lao
to mera naam badal daina..

Ek lafz Aansoo hai, 
issay dil mein chhupa kar daikho tum..
Aankhon say na beh jaye
to mera naam badal daina..

Ek lafz Judai hai, 
issay seh kar daikho tum..
Toot kar na bikhar jao to 
mera naam badal daina.

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi 
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi 

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi 

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi 

Palat Kar Na Aa Jaey Phir Saans nabzoon
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi 

Ghum k eHsAs ko palkon pe saja rehny do

Ghum k eHsAs ko palkon pe saja rehny do,
Koi gul to mery gulshan me khila rehny do,

Thokren hi to muqadr me hain ek pathr k,
Raasty me jo para hon to para rehny do,

Saya-e-zulf ki thandak to nahi mera naseeb,
Tum mujhy dard k sholoon me ghira rehny do,

Kis ghari koi chor k duniya chal diya,
Jeeny walon k liye lab pe dua rehny do,

Main mazar k darichy me saja ek pathar hon .
Mujh ko iss dour k insan se juda rhney do.

Gul-E-Zuban Pe Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey

Gul-E-Zuban Pey Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey 
Tumhari Han Pey Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey 

Darakht Per Jo Kabhi Chooriyon Sey Dala Tha 
Us Ik Nishan Pey Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey 

Sulag Rahi Hain Zehan Main Qabayen Lafzon Ki 
Magar Zuban Pey Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey 

Teri Judai Key Pal Sey Huwa Hey Ishq-E-Hanoot 
Keh Is Jahan Pey Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey 

Woh Mujh Ko Sonp Gaya Fursatain December Main 
Darakht-E-Jan Pey Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey 

Hamarey Lab To Duwaen Jalaye Rakhtey Hain 
Per Asmaan Pey Wohi Sardiyon Ka Mousam Hey

Har aik zakhm silnay may..

Har aik zakhm silnay may..
Phir say phool khilnay may..

Waqt thorra lagta hay..

Khizaa'n k laut jaanay may..
Bahaar ko manaanay may..

Waqt thorra lagta hay..

Tootay huey khuwabo'n ki..
Kirchiyaa'n uthaanay may..
Aur phir zakhmi haatho'n say..
Gulsitaa'n sajaanay may..

Waqt thorra lagta hay..

Taveel-tar safar k ba'd..
Manzilo'n ko paanay may..
Raiza raiza ho kar phir..
Khud mai'n laut aanay may..

Waqt thorra lagta hay..

Kisi azeez hasti ko..
Dil say bhool janay may..
Aur bhooli baato'n ko..
Phir say yaad aanay may..

Waqt thorra lagta hay..

Bhoolay bhatkay rasto'n say..
Ghar ko laut jaanay may..
Phir diya jalaanay may..
Teergi mitaanay may..

Waqt thorra lagta hay..

Faaslay mitaanay may..
Qurbatai'n barrhaanay may..
Aik ajnabi ko phir..
Zindagi banaanay may..

Waqt thorra lagta hay...!

Ho na duniya main koi hum sa bhi piyasa logoo

ho na duniya main koi hum sa bhi piyasa logoo
jee main aati hay k pee jayen ye darya logoo

kitni is shaher k sakhiyoun k suni thi baatien
hum jo aaye to kisi ne bhi na pocha logoo

itefaqan he sahi, par koi dar to khulta
jhilmilata pas_e_chilman koi saaya logoo

sab k sab mast rahay apne nihaa khanoun main 
koi kuch baat musafir ki bhi sunta logoo

hoonge is shaher main kuch us k bhi parhney walay
youn to ye shaks bhi mashhour tha khasa logoo

kisi daaman, kisi aanchal ki hawa to milti
jab sar_e_rah ye daamandha gira tha logoo

ik tasveer thi, kya janiye kis ki tasveer
naqsh muhoom se, or rang ura sa logoo

ik awaaz thi, kya janiye kis ki aawaaz
us ne aawaaz ka rishta bhi na rakha logoo

kuch pata us ka humain ho to tumhain batlaaien
koun ghar? koun nagar? koun muhallah logoo

chand hurfoun ka muamma tha wo uljha suljha
us ne to naam bhi poura na bataya logoo

haaye ye dard k mushkil se thama tha dil me 
chand ponam ka abhi se nikal aaya logoo?

phir wohe dasht, wohe dasht ki tanhaiye hay
wahshat e dil ne kaheen ka bhi na rakha logoo

us main himmat hay to dar aaye,outha de ye hisaar
apne gunbad main to dar hay na dareecha logoo

jee ki jee he main rahainhasrataien toofaan ki
ye safina to kinaray he pe douba logoo

aaj ki daak se kya koi lifafa aaya?
kaisi sargoshiyaan kartay ho. aray kya logoo

koi paighaam zubani bhi nahi kuch bhi nahi
hum ne apne ko bohot dair samhala logoo

band aankhain howe jaati hain, pasaaraien paaon
neend si neend? humain ab na outhana logoo

ik he shab hay taveel,itni taveel, itni taveel
apne aiiyaam main imroz na farda, logoo

ab koi aaye to kehna musafir to gaya 
ye bhi kehna k bhala ab bhi na jata logoo

rah taktay howe pathra si gayen theen aankhain
aah bhartay howe chalni howa seena logoo

hoont jaltay thay jo layta tha kabhi aap ka naam
is tarha or kisi ko na sataya logoo......!!!

Hum aapko in aankho me

Hum aapko in aankho me 
Yu basaa liyaa karte hai. 
Ja sake jahaa tak hamaari ye nazar, 
Aapko har jagah paa liyaa karte hai. 

Aapki yaado ki mehak se 
Din guzaar liyaa karte hai. 
Naa mil sake aapse kabhi to, 
Aapki tasveer ko seene se lagaa liyaa karte hai. 

Hum naa jaante the ke pyaar me 
Itni tadap hoti hai. 
Aapki yaad me kabhi tanhai me, 
Aansu bahaa liyaa karte hai. 

Deewangi ki had naa poocho humse 
Kalam haath e jab thamte hai kuch kaam se. 
Bas aapka naam likh likh ke, 
Dil behlaa liyaa karte hai. 

Ab laut bhi aao tum hamaari khaatir, 
Ke aapki aas me hi har shaam guzaar liyaa karte hai. 
Mayusi jab chaa jaati hai chehre pe 
Yaad karke aapko,Hum yu hi muskuraa liyaa karte hai.

Hum se mat poch rastay gher ke

Hum se mat poch rastay gher ke
hum musafer hain zindage bher ke

koon suraaj ke aankh se din bher

zakham ginta hai shab ki chader ke

sulah ker le yeh soch ker main ne

mere dushman na the baraber ke

kudh se khemay jala diye main ne

hoslay diekhna the lashker ke

yeh sitaray yeh tottay motti!

aats hain maray didahay ter ke

gerjanoo muslehat na aapnaye

saray rishtay bohat hain phater ke

hum bhi chuntay the sipiyan akser

hum bhi maqrooz hain samander ke

aankh ke gird matami halqay

saye jessay jalay huwe gher ke

dostoon ki zuban tu khulnay do

bhool jaoo ge zakham khanjer ke

chand bhi zerd per gaya aakher

ujray aangan main roshni ker ke

aankh nam bhi karo to bas itni

rang pheekay parain na manzer ke.

Humein kaash tumse mohabat na hoti

Humein kaash tumse mohabat na hoti…. 
Kahani humari haqeeqat na hoti… 

Na dil tumko dete na majboor hote.. 
Na dunya, na dunya kay dastoor hote… 

Qayamat se pehle..qayamat na hoti 
Humein kaash tumse mohabat na hoti… 

Humhi bher gaye ishq mein hadh se aagey.. 
Zamane ne thooker lagai tu jaagey.. 

Ager mer bhi jate tu hairat na hoti… 
Humein kaash tumse mohabat na hoti… 

Tumhi phoonk dete nasheman humara… 
Mohabat pe ehsaan hota tumhara…. 

Zamane se koi shikayaat na hoti.. 
Humein kash tumse mohabat na hoti…

Humein khabar hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai
Yeh zindaagi ko jo aasmaano ki wasaaton say
Hazaar sadiyon se mil raha hai
Piyaam dukh hai

Jo karzaar-e-zawaal-e-hasti ko
Dhoop chauon ki aahaton se chal raha hai
Nizaam-e-dukh hai..

Seher tu ikn mukhtasir sag hum hai
Tauveel din ki havailiyon kay
Jo raaston main thair gayi hain..
Who sham dukh hai..

Who shaam dukh hai
Kay iski shay per kayi dino se
Musaafiran-e-abad ka aisay firaaq asaar raaston per
Safar tu khair ik ulmiya hai
Qayaam dukh hai

Yeh as dukh hai‚niraas dukh hai
Udaasiyon ka libaas dukh hai

Yeh tashangi jo azaab ban kart hair gaayi hai
Badan kay boseedah saahilon per
Tu uska ahd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai
Humein khabar hai
Tyamaam dukh hai

Yeh tum mohabbat nibahtay ho
Tu us mohabbat ka naam dukh hai
Yeh wasal mausam jo ik musalsal mughalta hai
Tu us rifaaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numaan fiza main
Khamosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi se kalaam dukh hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai