Tuesday 1 April 2014

abhi kuchh dair meiN jab phir meray tanha dil ko

abhi kuchh dair meiN jab phir meray tanha dil ko
fikr aa lay gi ke tanhaai ka kya chaara karay?

dard aaeye ga dabay paaoN liyay surkh chiraagh
wo jo ek dard dhaRakta hei kaheeN dil say paray

sho'la-e-dard jo pehlu meiN lapak uThay ga
dil ki deevaar pe her naqsh damak uThay ga

halqa-e-zulf kaheeN, gosha-e-rukhsaar kaheeN
hijr ka dasht kaheeN, gulshan-e-deedaar kaheeN

lutf ki baat kaheeN, pyaar ka iqraar kaheeN
dil say phir ho gi meri baat ke ay dil! ay dil!

yeh jo mehboob bana hei teri tanhaai ka
yeh tou mehmaaN hei ghaRi bhar ka chala jaaye ga

is say kab teri museebat ka mudaava ho ga
mushta'il ho kay abhi uTheiN gay vehshi saaye

yeh chala jaaey ga, reh jaayeiN gay baaqi saaye
raat bhar jin say tera khoon-kharaaba ho ga

jung Thehri hei koi khel nahiN hei ay dil
dushman-e-jaaN haiN sab hi, saaray kay saaray qaatil

yeh kaRi raat bhi, yeh saaye bhi, tanhaai bhi
dard aur jung meiN kuch mail nahiN hei ay dil

laao! sulgaao koi josh-e-ghazab ka angaar!
taish ki aatish-e-jarraar kahaaN hei? laao!

wo sulagta hova gulzaar kahaaN hai? laao!
jis meiN garmi bhi hai, harkat bhi, tavaanaai bhi

ho na ho, apnay qabeelay ka bhi koi lashkar
muntazir ho ga, andheray ki faseeloN kay udhar

un ko sho'loN kay rajaz apna pata tou deiN gay
Khair hum tak vo na pohnchay bhi, sada tou deiN gay

door kitni hei abhi subh, bata tou deiN gay

No comments:

Post a Comment