Showing posts with label Naat's. Show all posts
Showing posts with label Naat's. Show all posts

Thursday, 12 March 2015

Tha muntazir ma b ka ho kabi ujala ghar mara

"Tha muntazir ma b ka ho kabi ujala ghar mara
ata tu bohot tha karna ko ujala ghar mara"

"jab hova na ujala kar ka lakho khoshisa ghar mara
tab aya Noora 2 jaha(s.a.w.w) karna ko ujala ghar mara"

"tu phir hova ujala un ka ana sa asa ghar mara 
ka phir kabi hoi na kami ujala ki ghar mara"

"kar gae ha Sarkar (s.a.w.w) asa ujla ghar mara
ka hoga na hatum kabi ya ujala ghar sa mara"

"ka jab hota ha andhara duniya ma
phir b rahta ha sadha ujala ghar mara"

Friday, 31 October 2014

mein to panjetan ka ghulaam hun

mein to panjetan ka ghulaam hun
mein faqire khairul anaam hun

mujhe ishq hai to khuda se hai
mujhe ishq hai to rasool se
ye karam hai sara batool ka
mere mun se aaye mahek sada
jo mein naam lun tera jhoom ke

mein to panjetan ka gulaam hun

mujhe ishq sarw o samal se hai
mujhe ishq saare chaman se hai
mujhe ishq un ke watan se hai
mujhe ishq un ki gali se hai
mujhe ishq hai to ali se hai
mujhe ishq hai to hassan se hai
mujhe ishq hai to hussain se
mujhe ishq shaahe zaman se hai


mein to panjetan ka ghulaam hun

huwa kaise tan se wo sar juda
jahaan ishq ho wahin karbala
meri baat un hi ki baat hai
mere saamne wohi zaat hai
wohi jin ko shere khuda kahein
jinhein baabe salle alaa kahein
wohi jin ko aale nabi kahein
wohi jin ko zaate ali kahein
wohi pukhtha hain mein to khaam hun

mein to panjetan ka ghulaam hun

mera sher kya mera zikr kya
meri baat kya meri fikr kya
meri baat un ke sabab se hai
mera sher un ke adab se hai
mera zikr un ke tufail se
meri fikr un ke tufail se
kahaan mujh me itni sakhat bala
ke ho manqabat ka bhi haq ada

mein to panjetan ka gulaam hun

jashne aamade rasool

jashne aamade rasool allahi allah
bibi aamena ke phool allahi allah

jab ke sarkaar tashrif laane lage
hoor o gilmaan bhi khushiyaan manaane lage
har taraf noor ki roshni chaa gayi
mustafa kya mile zindagi mil gayi
ay halima teri god me aa gaye
donon aalam ke rasool allahi allah

chehra e mustafa jab dikhaaya gaya
jhuk gaye taare aur chaand sharma gaya
aamena dekh kar muskuraane lagi
hawwa maryam bhi khushiyaan manaane lagin
aamena bibi sab se ye kehne lagi
dua ho gayi qabool

shaadiyaane khushi ke bajaaye gaye
shaadi ke naghme sab ko sunaaye gaye
har taraf shore salle ala ho gaya
aaj payda habibe khuda ho gaya
phir to jibreel ne bhi ye eilaan kiya
ye khuda ke hain rasool

ho mubarak tumhe ya nabi

ho mubaarak tumhe ya nabi
bibi zehra ki hai rukhsati
dulha haidar bana zehra dulhan bani
ho mubaarak tumhe ya nabi
aaj zehra ki hai rukhsati
mubaarak mubaarak mubaarak mubaarak

is ke chehre ka ghaaza bani hai hayaa
is ke maathe ka jhumar hai alhamd ka
innama iske haathon ka kangan banaa
dekhiye to guluband hai kulkafaa
khalq me na mili aisi dulhan koyi

aayaton se libaase aroosi banaa
noor chehre pe aaya hai wal fajr ka
aur kalaayi ka zevar bani hal ataa
goshwaare muzammil ke hain ba khuda
saj gayi fatema parh ke naade ali

aaj dharti falak se siwa ho gayi
ye zameen ka muqaddar bhi dekhe koyi
sab yahaan aa gaye khuld khaali huwi
aaj khayrun nisa aisi dulhan bani
aisa dulha banaa aaj haq ka wali

aisa dulha kahaan aisi dulhan kahaan
jin ki khushiyon me shaamil hai kaun o makaan
jagmagaane lagin arsh par kehkashaan
chaand dene lagaa aaj khud hi azaan
muskura kar sada ye sitaaron ne di

mominon ke liye hai khushi ki khabar
gehma gehmi machi hai payambar ke ghar
khush hain salmaan o miqdaad o buzar udhar
shaadmaani hai chehron pe sab ke magar
jalne waalon ke dil par tchuri chal gayi

tehniyat ko chale arsh se ambiya
aur mohammad ke dar par kiya jamghataa
aake jibreel ne arsh se ye kahaa
keh raha hai khuda ay habibe khuda
leke baaraat ko aa rahe hain ali

Wednesday, 29 October 2014

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar
Kaif Taari Hai Qalam Par Sabz Gumbad Dekh Kar

Hai Muqaddar Yaawri Par Sabz Gumbad Dekh Kar
Phir Na Kyun Jhoomay Sana Gar Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Masjid-e-Nabwi Pe Pohonchay Marhaba Sallay Ala
Ho Gaya Jaari Zuban Par Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Aap Se Buss Aap Hee Ko Mangta Hai Ya Nabi
Aapka Adna Gadagar Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Aah! Ae Attar Tujhse Itna Bhi Na Ho Saka
Jaan Kar Deta Nichawar Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar
Kaif Taari Hai Qalam Par Sabz Gumbad Dekh Kar

Aap ki galliyon ke mangte, mujh se to ache rahe
Hai sakoon unko mayassar, sabz gumbad dekh kar

Dhoop rozaana madina choomtee hai, jhoom kar
Aur lipat jati hai ja kar, sabz gumbad dekh kar

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Chaltee hoon mein be Qafelay walo ruko zara
Milnay do bas mujhay be Ijazat Rasool ki

Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki

Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki

Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
Ho ghi mujhay naseeb Safa”at Rasool ki

Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki

Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki

To hai Ghulam Un ka Ubad-e-Raza teray
Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Koi to hai jo nizaam-e-hasti

Koi to hai jo, nizaam-e-hasti
chala raha hai, wohi khuda hai

Dikhayi bhi jo na de nazar bhi
Jo aa raha hai, wohi khuda hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khuda hai..

Nazar bhi rakhe, samaatein bhi
Woh jaan leta hai, neeatein bhi
Jo khana-e-lashaoor mein jagmaga raha hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khudaa hai, wohi khudaa hai

Talash uss ko, na kar buttoun mein
woh hai badalti hui ruttoun mein
Jo din ko raat aur raat ko din
bana raha hai, wohi khuda hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khudaa hai…

Koi to hai jo, nizaam-e-hasti
chala raha hai, wohi khuda hai
Dikhayi bhi jo na de nazar bhi
Jo aa raha hai, wohi khuda hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khuda hai..

Nazar bhi rakhe, samaatein bhi
Woh jaan leta hai, neeatein bhi
Jo khana-e-lashaoor mein jagmaga raha hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khudaa hai, wohi khudaa hai

Koi to hai jo, nizaam-e-hasti
chala raha hai, wohi khuda hai

Dikhayi bhi jo na de nazar bhi
Jo aa raha hai, wohi khuda hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khuda hai..

Kaabe pei pari jab pehli nazar kya cheez hai Duniya bhul gayi

Kaa’be pei pari jab pehli nazar kya cheez hai Duniya bhul gayi
Youn hosh-o-khard maflooj hote Dil zook-e-tamasha bhul gayi

Ahsaas ke parde lehraye imaan ki haraarat teezi hoyi
Sajdoun ki tarap Allah Allah sar apna sooda bhul geya

Poncha jo Haram ki Chookhat tak aik ibre karam ne gheer liya
baqi na raha phir hosh mujhe kya mangha aur kya kya bhul geya

Jis waqt dua’a ko haat uthe yaad na saka jo socha tha
Izhaar-e-aaqeedat ki dahan mei izhaar-e-tamana bhul geya

Har waqt barasti hai hai rehmat kaa’be mein Jameel Alllah Allah
Khaki houn main kitna bhul geya aati houn main kitna bhul geya

Kaabay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat

Ka’abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat
Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat

Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa
Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A’la Sadaa Faqat

Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein
Duffan Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat

Duniya Kee Saari Ne’ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon
Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na’lein-e-Mustafa Faqat

Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein
Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat

Naza’a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho
Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat

Na’at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat
Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat

Kadi meynu vi bulaley us dar pey

Kadi meynu vi bulaley us dar pey, kadi meri vi tamana poori kardey
Madinay vich rehn vale’a, meray Sohney’a Madinay vich rehn vale’a

Dam dam yaad teri diil vich rehndi’ey, rohndi’ya ney akhiya tey neendar na pendi’ey
Sanu sabz Gumbad dikh’ladey, kadi meri vi tamana poori kardey
Madinay vich rehn vale’a, meray Sohney’a Madinay vich rehn vale’a

Sadqa shahida da dur hovan duriya, sadlo jii kowl mukh javan majbooriya
Sarey suthey naseeb jaga dey, kadi meri vi tamana poori kardey
Madinay vich rehn vale’a, meray Sohney’a Madinay vich rehn vale’a

Kali kali zulf tey ankh mastani’ey, Sohney’a hai saab teri duniya deewani’ey
Eyk noori jaalakh dikh’ladey, kadi meri vi tamana poori kardey
Madinay vich rehn vale’a, meray Sohney’a Madinay vich rehn vale’a

Hijr di raat lambi keray pasey java main, dill diya gaala keynu adaab suna va main
Tuhi sunley kowl bulaley, kadi meri vi tamana poori kardey
Madinay vich rehn vale’a, meray Sohney’a Madinay vich rehn vale’a

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dilla daa sahaara

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dilla daa sahaara
Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara

Dassa ki main Mustafadi kaydi sohnii shaan hain
Aap di tareef which saara hee Qur’an hai
Parh kay tu weykh jeyra marzi sipaara

Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara

Kar kay du’aa sohna suraj nu – mowrdaa
Aapay chan tordaa toh aapay chan jooradaa
Bigari bana – yai meray nabi da ishaara

Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara

Eyda sohna nabi koyi duniya thay aaya naheen
Yaar ey ho jiyaa koyi raab nay banaa – yaa naheen
Deed meray nabi di hai ran daa nazaara

Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara

Kalyaan zulfaa wala dukhi dilla daa sahaara
Qassam khuda dii maynoon sab naloon pyaara

Rukh pe rahmat ka jhumar sajaaey

Rukh pe rahmat ka jhumar sajaa’ey
Kamli waale ki mahfil saji hai
Mujh ko mahsus youn ho raha hai
Un ki mahfil main jalwha garii hai

Naat husn-e-shah-e-do saraa hai
Naat hi zikre rabb-e-jalli hai
Naat likhna meri zindagi hai
Naat kehna meri bandagi hai

Mufliso tum agar chah’te ho
Ho ziyaarat dar-e-Mustafa kii
Dil ki janib nigaahein jhukaa lo
Samne Mustafa ki galii hai

Mujh jo fikr-e-shifaa’at ho kyoun kar
Do kariimoon ka sayah hai sar par
Ik taraf rahmat-e-Mustafa hai
Ik taraf lutf-e-rab-e- ’Ula hai

Wuh smaa kissa zishan ho ga
Jab khuda Mustafâ se kahein ge
Ab to sajde se sar ko uthaa lein
Aap ki sarii ummat barii hai

Dil ke gulshan ki mehkein fizaa’ein
Wajd main hain Niyaazi hawaa’ein
Un ke husn-e-tasuwwur se merey
Dil ke abaad baraah darii hai

Katle Hussain asal mein marge Yazeed hai

Katle Hussain asal mein marge Yazeed hai
Islam zinda hota hai har karbala ke baad

Ohh Shimar leyin zalim kya zulm kiya tu ne
Pyasa hi gala kata Pani na diya tu ne

Laash ayi jab Asghar ki Maan kehne lagi roo ke
Pyasa ki gala kata pani na diya tu ne

Wo kis ke nawase hai bhoke hai ya pyase hai
Itna bhi na socha mardood zara tu ne

Sar apna kataya itni bhi parwa na ki tu ne batil ki
Saabhaas tujhe Ae hud kya kaam kiya tu ne

Mar kar bhi kabhie zalim aaram na paye ga
Baagh-e-ghul Ahmad ko paamaan kiya tu ne

Kya husn-e-ifteqar hai yaad-e-Hussain mein

Kya husn-e-ifteqar hai yaad-e-Hussain mein,
Har ashq ek bahaar hai yaad-e-Hussain mein

Darbar-e-Mustafa ki fazeelat na poochhiye,
Insaan ka waqaar hai yaad-e-Hussain mein

Har ashq kalma parhte hain bar deen-e-Mustafa,
Kya husn-e-yaadgaar hai yaad-e-Hussain mein

Wallah sar ba sar hai wo iman ka sukoon,
Jo qalb-e-beqaraar hai yaad-e-Hussain mein

Dil zindagi mein kaise na ho khuld aashiyaan,
Islam ki bahaar hai yaad-e-Hussain mein

kaun hai jiska muqaddar

kaun hai jiska muqaddar, Musatafa ne saanwara nahi
Tere Dar ke siwa SHAH ab do jahan me guzara nahi

Koee manay nah manay yeh sun le bus yehi faesla hai Khuda ka
Jo Tumhara nahi Ya Habeebi wo to hargiz hamara nahi

Aao nukhtaun ka mai bhaid kholoon, kyun hai be nukhta Naam e Muhammad
Naam par jo bojh nukhte ka aae, RABB ko yeh bhi gawara nahi

Hai dawa har alam ki yeh sahil, bus mere Mustafa ko pukaro
Jabse naat e Nabi hai zabaan par, mera gardish me tara nahi

Khairul Bashar par Lakho Salam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Jinno Malaek Tere Ghulam
Sab se siwa hai Tera Muqaam
Yaseen O Taha Tere hi naam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Ala se Ala Tera Muqaam
Sab Ambiya ka Tu hai IMAM
Kul Aulia hai Tere Ghulam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Arshe baree tak charcha Tera
Shams o Qamar hai Sadqa Tera
Yeh mahe kamil husne tamam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Sab ko mayas’sar ho yeh muqaam
Pahoonche Madine bankar Ghulam
Padhte Darood aur Padhte Salam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Itna Karam to Farmaiye
Rauze pe sab ko bulwaiye
Hazir yahaan hai jitne ghulam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Teri Sana hai mera naseeb
Qurbaan Tujh par jaane Adeeb
Tujh par tassaduq Alam tamam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Khuda ka ziker karay

Khuda ka ziker karay, zikr-e-mustafa na karay,
Hamaray moonh main woh aisi zubaan khuda na karay!


Darr-e-Rasool pe aisa kabhi nahi dekha,
Koi sawaal karay aur WOH ata’a na karay!


Madina ja ke nikalna na shehar seh bahir,
Khuda na khwasta yeh zindagi wafa na karay!


Nabi ke qadmoun pe jis dum ghulam ka sir ho,
Kaza’a seh kehdo ke ik lamha bhi kaza’a na karay!


Aseer jis ko bana kar rakhein madinay main,
Tamaam umar rihayi ki woh dua’a na karay!


Kaha KHUDA ne shifa’at ki baat mehshar main,
Pehal habib karay koi doosra na karay!


Shaoor-e-Naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeeb,
Woh aadmi nahi jo innka haqq ada’a na karay!


KHUDA ka zikar karay, zikr-e-Mustafa na karay,
Hamare moonh main woh aisi zubaan khuda na karay

Khushiyon ka sawan layaa hai milaad ka mosam aaya hai

Khushiyon ka sawan layaa hai milaad ka mosam aaya hai
Ik kaif sa chaaya hai milad ka mosam aaya hai

Ab chaak jighar se silthey hain ghunchey khushiyon ke khithay hain
Ab fazal o karam ka saya hai milaad ka mosam aaya hai

Ghilmaan o malaik janat ko kuch aur mazeeyun kartey hain
Moulah ne khuld sajaaya hai milaad ka mosam aaya hai

Sarkaar ke amad par rab ne apni kudrat dhiklahee hai
Rehmat ka meena barsaaya hai milaad ka mosam aaya hai

Kalyion kalyion par jowban hai poolho poolho par jowban hai
Ghuncha ghuncha muskaaya hai milaad ka mosam aaya hai

Kurbaan Haleema me tujh par hain tere ghodee main sarwaar
Ye kesa mukadar payaa hai milaad ka mosam aaya hai

Jannat Mein lay kar jaey ghi Chahat Rasool ki

Jannat Mein lay kar jaey ghi Chahat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki

Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki

Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki

Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
Ho ghi mujhay naseeb Safa”at Rasool ki

Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki

Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki

To hai Ghulam Un ka Ubaid-e-Raza teray
Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon
Hoor-o-gilmaan ki poori hoii arzoo

Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam
Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh

Phir khuda ne khaha mere mahboob tum
Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya
Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya

Amena dekh kar muskuraney lageen
Hawwa Mariyam bhi khoshiyaan banaaney lageen

Amena bibi sub se kehney lageen
Duaa hogaii kabool Allahi Allah

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
Laaey tashreef doniyan main khair-ul-waraa

Aasi ummat ki kismal sawarney lagii
Barishain rehmatoon ki barasney lageen

Ay Haleema teri looriyoon keyliye
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah

Allahi Allah Bolo Allahi Allah
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey

Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey

Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
Zikr Ahmed main mashgool Allahi Allah

Bibi Amena ke Phool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Shaadiyaaney khoshi ke bajaaey gaaey
Shaadi ke naghmey sab ko sonaaney gaaey

Har taraf shoor Sall-e-Allah hogaya
Aaj paida Habib-e-Khuda hogaya

Phir tu Jibreel ne bhi ye Ayhlaan kiyaa
Ye Khudaa ke hain Rasool Allahi Allah

Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Allahi Allah bolo Allahi Allah

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Chehra Quraan ki tafseer hai

Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai
Mussaf-e-Mustafa ke oojaalon ke rung

Rehmatoon se sajii ek tasveer hai
Jaane kaunay ju hai Shafee-ul-waraa

Aysey piyaare hain rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Bibi Amena ke phool Allahi Allah