Wednesday 29 October 2014

Rukh pe rahmat ka jhumar sajaaey

Rukh pe rahmat ka jhumar sajaa’ey
Kamli waale ki mahfil saji hai
Mujh ko mahsus youn ho raha hai
Un ki mahfil main jalwha garii hai

Naat husn-e-shah-e-do saraa hai
Naat hi zikre rabb-e-jalli hai
Naat likhna meri zindagi hai
Naat kehna meri bandagi hai

Mufliso tum agar chah’te ho
Ho ziyaarat dar-e-Mustafa kii
Dil ki janib nigaahein jhukaa lo
Samne Mustafa ki galii hai

Mujh jo fikr-e-shifaa’at ho kyoun kar
Do kariimoon ka sayah hai sar par
Ik taraf rahmat-e-Mustafa hai
Ik taraf lutf-e-rab-e- ’Ula hai

Wuh smaa kissa zishan ho ga
Jab khuda Mustafâ se kahein ge
Ab to sajde se sar ko uthaa lein
Aap ki sarii ummat barii hai

Dil ke gulshan ki mehkein fizaa’ein
Wajd main hain Niyaazi hawaa’ein
Un ke husn-e-tasuwwur se merey
Dil ke abaad baraah darii hai

No comments:

Post a Comment