Showing posts with label Kaifi Azmi. Show all posts
Showing posts with label Kaifi Azmi. Show all posts

Friday, 5 September 2014

Ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya naa karo

Ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya naa karo
mujh say bikheray huway gaisu nahin daikhay jaatay
surkh aankhon ki qasam, kaanpti palkon ki qasam
thar-tharaaty huway aansu nahin daikhay jaatay
ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya na karo
chhuut jaanay do jo daaman-e-wafa chhuut gaya
kiyoon yeh laghazida-kharaami yeh pashemaan-nazri
tum nay torra nahin rishta-e-dil toot gaya
ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya na karo
mairi aahon say yeh rukhsaar naa kamla jaaeyn
dhoondti ho gee tumhain ras main nahaaee huwi raat
jaao kaliyaan naa kahin sej ki murjha jaaeyn
ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya na karo
main iss ujrray huway pehlu mai bittha loon na kahin
lab-e-sheereen ka namak aariz-e-namakeen ki mitthaas
apnay tarsay huway honton main chura loon na kahin

maiN ye soch kar us ke dar se uThaa thaa

maiN ye soch kar us ke dar se uThaa thaa
ke vo rok legii manaa legii mujhko

havaaoN meN lahraataa aataa thaa daaman
ke daaman pakaR kar biThaa legii mujhko

qadam aise andaaz se uTh rahe the
ke aavaaz de kar bulaa legii mujh ko

magar us ne rokaa, na uss ne manayaa
na daaman hii pakRaa, na mujh ko biThaayaa
na aavaaz hii dii, na vaapis bulaayaa
maiN aahistaa aahistaa baRhtaa hii aayaa

yahaaN tak ke us se judaa ho gayaa maiN

Thursday, 21 August 2014

Chandni raat bari der ke baad ayi,

Chandni raat bari der ke baad ayi,
Yeh mulaqat bari der ke baad ayi,
Aaj aye hain woh milne ko bari der ke bad,
Aaj ki raat bari der ke baad ayi..