Friday 5 September 2014

Ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya naa karo

Ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya naa karo
mujh say bikheray huway gaisu nahin daikhay jaatay
surkh aankhon ki qasam, kaanpti palkon ki qasam
thar-tharaaty huway aansu nahin daikhay jaatay
ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya na karo
chhuut jaanay do jo daaman-e-wafa chhuut gaya
kiyoon yeh laghazida-kharaami yeh pashemaan-nazri
tum nay torra nahin rishta-e-dil toot gaya
ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya na karo
mairi aahon say yeh rukhsaar naa kamla jaaeyn
dhoondti ho gee tumhain ras main nahaaee huwi raat
jaao kaliyaan naa kahin sej ki murjha jaaeyn
ab tum aaghosh-e-tassavvur mai bhi aaya na karo
main iss ujrray huway pehlu mai bittha loon na kahin
lab-e-sheereen ka namak aariz-e-namakeen ki mitthaas
apnay tarsay huway honton main chura loon na kahin

No comments:

Post a Comment