Friday 31 October 2014

mein to panjetan ka ghulaam hun

mein to panjetan ka ghulaam hun
mein faqire khairul anaam hun

mujhe ishq hai to khuda se hai
mujhe ishq hai to rasool se
ye karam hai sara batool ka
mere mun se aaye mahek sada
jo mein naam lun tera jhoom ke

mein to panjetan ka gulaam hun

mujhe ishq sarw o samal se hai
mujhe ishq saare chaman se hai
mujhe ishq un ke watan se hai
mujhe ishq un ki gali se hai
mujhe ishq hai to ali se hai
mujhe ishq hai to hassan se hai
mujhe ishq hai to hussain se
mujhe ishq shaahe zaman se hai


mein to panjetan ka ghulaam hun

huwa kaise tan se wo sar juda
jahaan ishq ho wahin karbala
meri baat un hi ki baat hai
mere saamne wohi zaat hai
wohi jin ko shere khuda kahein
jinhein baabe salle alaa kahein
wohi jin ko aale nabi kahein
wohi jin ko zaate ali kahein
wohi pukhtha hain mein to khaam hun

mein to panjetan ka ghulaam hun

mera sher kya mera zikr kya
meri baat kya meri fikr kya
meri baat un ke sabab se hai
mera sher un ke adab se hai
mera zikr un ke tufail se
meri fikr un ke tufail se
kahaan mujh me itni sakhat bala
ke ho manqabat ka bhi haq ada

mein to panjetan ka gulaam hun

No comments:

Post a Comment