Thursday, 25 September 2014

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain

Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa 
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta’alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun 
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi 
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey 
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain 
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa 
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein 
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa

No comments:

Post a Comment