Thursday, 25 September 2014

Hai Ajeeb Sheher Ki Zindagi, Na Safar Raha Na Qayaam Hai

Hai Ajeeb Sheher Ki Zindagi, Na Safar Raha Na Qayaam Hai
Kaheen Karobaar Si Do’peher, Kaheen Bad’mizaaj Si Sham Hai

Kahan Ab Dua’on Ki Barkatain, Wo Nasihatain Wo Hidayatain
Ye Zarurato’n Ka Khuloos Hai, Ye Mutalibo’n Ka Salaam Hai

Yunhi Roz Milnay Ki Aarzu, Bari Rakh’Rakhao Ki Guftugu
Yeh Sharafatain Nahi Be’Gharaz Usay Aap Se Koi Kaam Hai

Wo Dilo’n Main Aag Lagaye Ga, Main Dilo’n Ki Aag Bujha’on Ga
Usay Apne Kaam Se Kaam Hai Mujhe Apne Kaam Se Kaam Hai

Na Udaas Ho Na Malaal Ker, Kisi Baat Ka Na Khayaal Ker
Ka’ee Saal Baad Milay Hain Hum Teray Naam Aaj Ki Shaam Hai

Koi Naghma Dhoop Ke Ga’on Sa, Koi Naghma Shaam Ki Chha’on Sa
Zara Unn Parindo’n Se Poochna, Ye Kalaam Kis Ka Kalaam Hai

No comments:

Post a Comment