Wednesday 30 July 2014

Ye Mehar-O-Mah, Ye Sitare Ye Asman-E-Kubood

Ye Mehar-O-Mah, Ye Sitare Ye Asman-E-Kubood
Kise Khabar Ke Ye Alam Addam Hai Ya Ke Wujood

Khiyal-E-Jadah-O-Manzil Fasana-O-Afsoun
Ke Zindagi Hai Sarapa Raheel-E-Be-Maqsood

Rahi Na Aah, Zamane Ke Hath Se Baqi
Vo Yaadgar-E-Kamalaat -E-Ahmad-O-Mehmood

Zawal-E-Ilm-O-Hunar Marg-E-Naaghan Uss Ki
Woh Karwan Ka Mataa-E-Garan Bha Masood !

Mujhe Rulati Hai Ahl-E-Jahan Ki Baydardi
Faghan-E-Mugh-E-Sehar Khawan Ko Jante Hain Surood

Na Keh Ke Sabr Mein Pinhan Hai Chara’ay Gham-e-Dost
Na Keh Ke Sabr Mu’amaye Mout Ki Hai Kushood

"Dile Ke Ashiq Wa Sabir Bood Magar Sang Ast
Za Ishq Ta Ba Saboori Hazar Farsang Ast" (Sadi)

Na Mujh Se Pooch Ke Umer-E-Garaiz Pa Kiya Hai
Kise Khabar Ke Ye Neerang-O-Seemiya Kya Hai

Huwa Jo Khak Se Paida, Vo Khak Mein Mastoor
Magar Ye Ghaibat-E-Sughra Hai Ya Fana, Kya Hai !

Ghubar-E-Rah Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Jamal
Khirad Bata Nahin Sakti Ke Muddaa Kya Hai

Dil-O-Nazar Bhi Issi Aab-O-Gil Ke Hain Ijaz
Nahin To Hazrat-E-Insan Ki Intiha Kya Hai?

Jahan Ki Rooh-E-Rawan ‘LA ILAHA ILLA HOO’
Masih-O-Meekh-O-Chalipa, Ye Majra Kya Hai !

Qasas Khoon-E-Tammana Ka Mangiye Kis Se
Gunahgar Hai Kon, Aur Khoon Baha Kya Hai

Ghameen Masho Ke Ba Band-E-Jahan Gariftarem
Talism Ha Shikand Aan Dile Ke Ma Darem

Khudi Hai Zinda To Hai Mout Ek Maqam-E-Hayat
Ke Ishq Mout Se Karta Hai Imtihan-E-Sabaat

Khudi Hai Zinda To Darya Hai Be-Karana Tera
Tere Firaq Mein Muztir Hai Mouj-E-Neel-O-Firat

Khudi Hai Murda To Manind-E-Kah Paish-E-Naseem
Khudi Hai Zinda To Sultan-E-Jumla Moujoodat

Nigah Aik Tajalli Se Hai Agar Mehroom
Dou Sad Hazar Tajalli Talafi-E-Mafaat

Maqam Banda’ay Momin Ka Hai Wara’ay Sipihr
Zameen Se Ta Ba Surreya Tamam Laat-O-Manaat

Hareem-E-Zaat Hai Iss Ka Nasheman-e-Abdi
Na Tera Khak-E-Lehad Hai, Na Jalwagah-E-Sifaat

Khud Aa-Gahan Ke Azeen Khakdan Baron Jastand
Tilism Mehar-O-Sipihr-O-Sitara Bashkastand

No comments:

Post a Comment