Uthi Phir Aaj Woh
Poorab Se Kali Kali Ghata
Siyah Posh Huwa Phir
Pahar Sar Ban Ka
Nihan Huwa Jo
Rukh-e-Mehr Zair-e-Daman-e-Abar
Hawaye Sard Bhi Ayi
Sawar-e-Tousan-e-Abar
Garaj Ka Shor Nahin
Hai, Khamosh Hai Ye Ghata
Ajeeb Mai Kuda-e-Be
Kharosh Hai Ye Ghata
Chaman Mein
Hukm-e-Nishat-e-Madam Layi Hai
Qabaye Gul Mein Guhr
Tankne Ko Ayi Hai
Jo Phool Mehr Ki
Garmi Se Sou Chale The, Uthe
Zameen Ki Gode Mein
Jo Par Ke So Rahe The, Uthe
Hawa Ke Zor Se Ubhra,
Barha, Urha Badal
Uthi Woh Aur Ghata,
Lo! Baras Para Badal
Ajeeb Khema Hai
Kuhsar Ke Nihalon Ka
Yaheen Qayam Ho Wadi
Mein Phirne Walon Ka
No comments:
Post a Comment