Hai Bulandi Se Falak
Bos Nasheman Mera
Abar E Kuhsar Hun Gul
Pash Hai Daman Mera
Kabhi Sehra, Kabhi
Gulzar Hai Maskan Mera
Sheher O Wirana Mera,
Beher Mera, Ban Mera
Kisi Wadi Mein Jo
Manzoor Ho Sona Mujh Ko
Sabza E Koh Hai
Makhmal Ka Bichona Mujh Ko
Mujh Ko Qudrat Ne
Sikhaya Hai Dur Afsan Hona
Naqa E Shahid E
Rehmat Ka Hudi Khawan Hona
Ghamzada E Dil E
Afsurda E Dehqan Hona
Ronaq E Bazm E
Jawanan E Gulistan Hona
Ban Ke Gaisu Rukh E
Hasti Pe Bikhar Jata Hun
Shana E Moja E Ser
Ser Se Sanwar Jata Hun Mein
Door Se Didah E Umeed
Ko Tersata Hun Mein
Kisi Basti Se Jo
Khamosh Guzar Jata Hun
Saer Kerta Huwa Jis
Dam Lab E Ju Aata Hun
Baliyan Neher Ko
Gerdab Ki Pehnata Hun
Sabza E Mazere
Nokhaiz Ki Umeed Hun Mein
Zadah E Beher Hun,
Perwerdah E Khurshid Hun
Chasma E Koh Ko Di
Shorish E Qulzum Mein Ne
Aur Perindon Ko Kiya
Mehev E Tarannum Mein Ne
Ser Pe Sabze Ke Khare
Ho Ke Kaha Qum Mein Ne
Gunchae Gul Ko Diya
Zauq E Tabassum Mein Ne
Faiz Se Mere Namoone
Hain Shabistanon Ke
Jhonpare Daman E
Kuhsar Mein Dehqanon Ke
No comments:
Post a Comment