Wednesday 6 August 2014

Abdur Rehman Awal Ka Boya Huwa Khajoor Ka Pehla Darakht Sarzameen-e-Andlus Mein

Meri Ankhon Ka Noor Hai Tu
Mere Dil Ka Suroor Hai Tu

Apni Wadi Se Door Hun Main
Mere Liye Nakhl-e-Toor Hai Tu

Maghrib Ki Hawa Ne Tujh Ko Pala
Sehra-e-Arab Ki Hoor Hai Tu

Pardais Mein Na-Saboor Hun Main
Pardais Mein Na-Saboor Hai Tu

Ghurbat Ki Hawa Mein Bar-War Ho
Saqi Tera Nam-e-Sehar Ho

Alam Ka Ajeeb Hai Nazara
Damaan-e-Nigah Hai Para Para

Himmat Ko Shanawari Mubarik!
Paida Nahin Behar Ka Kinara

Hai Souz-e-Daroon Se Zindagaani
Uthta Nahin Khaak Se Sharara

Subah-e-Ghurbat Mein Aur Chamka
Toota Huwa Shaam Ka Sitara

Momin Ke Jahan Ki Had Nahin Hai
Momin Ka Maqam Har Kahin Hai

No comments:

Post a Comment