Jahan Mein
Danish-O-Beenish Ki Hai Kis Darja Arzani
Koi Shay Chup Nahin
Sakti K Ye Alam Hai Noorani
Koi Dekhe To Hai
Bareek Fitrat Ka Hijab Itna
Numayan Hain
Farishton Ke Tabassum Haye Pinhani
Ye Duniya
Dawat-E-Didar Hai Farzand-E-Adam Ko
Ke Har Mastoor Ko
Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Uryani
Ye Farzand-E-Adam Hai
K Jis Ke Askh-E-Khooni Se
Kiya Hai
Hazrat-E-Yazdan Ne Daryaon Ko Toofani
Falak Ko Kya Khabar
Ye Khaakdaan Kis Ka Nasheeman Hai
Gharz Anjum Se Hai
Kis Ke Shabistan Ki Nighebani
Agar Maqsood-E-Kul
Main Hun To Mujh Se Mawara Kya Hai
Mere Hungama Ha’ay
Nau Ban Nau Ki Intiha Kya Hai?
No comments:
Post a Comment