Wednesday 30 July 2014

Zameer-e-Magrib Hai Tajirana

Zameer-e-Magrib Hai Tajirana, Zameer-e-Mashriq Hai Rahabana
Wahan Digargoon Hai Lehza Lehza, Yahan Badalta Nahin Zamana

Kinar-E-Darya Khizar Ne Mujh Se Kaha Ba-Andaz-E-Mehramana
Sikandari Ho, Qalanderi Ho, Ye Sub Tareeke Hain Sahirana

Hareef Apna Samajh Rahe Hain Mujhe Khudayan-E-Khanqahi
Unhain Ye Dar Hai Ke Mere Nalon Se Shiq Na Ho Sang-E-Ashiyana

Ghulam Qoumon Ke Ilm-O-Irfan Ki Hai Yehi Ramz Ashakara
Zameen Agar Tang Hai To Kya Hai, Fizaye Gardoon Hai Be-Karana

Khabar Nahin Kya Hai Naam Iss Ka, Khuda Farebi Ya Khud Farebi
Amal Se Farigh Huwa Musalman Bana Ke Taqdeer Ka Bahana

Meri Aseeri Pe Shakh-E-Gul Ne Ye Keh Ke Sayyad Ko Rulaya
Ke Aese Pursouz Naghma Khawan Ka Giran Na Tha Mujh Pe Ashiyana

No comments:

Post a Comment