Sunday 31 August 2014

Muhabbat ko na janey do

Muhabbat ko na janey do..
Agr tum char’on janib ghor sey dekho


To tum ko ye khabar ho gi
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!


Agar ankh’on mein dalo gey
To benai gawao gey


Agar dil mein sambhalo gey,to tum jenay sey jao gey
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!


Chu’o to hath melay hon
Chalo is per to dono’n peyr chaley hon


Hawas ney jal char’on simt daley hein
Aur is key rog kaley hein


Sambhal key jo chaley’ mano mukadar ke hai sikandar
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!


Magar is khak ko agar koi dil ki ankh sey dekhay
To ik anmol heera’ samney apney wo paye ga


Hazar’on chand sey barh ker ujaley ley ey aye ga
Usey heran ker dey ga


Bari sey ho bari mushkil’ usey asan ker dey ga
Isi anmol heray ka nam muhabbat hai jana’n!


Muhabbat dil pey dastak dey to aney do
Muhabbta ko na janey do


Muqadar sey agr tum ko mil jaye to ganwana mat
Usay muthi mein band rakhna’ girana mat


Ye wo dolat hai jo ik bar
Gum ho key nahi milti


Ye wo khushbo hi jo her phool key dar per nahi jati
Muhabbat jab chali jaye kabhi wapis nahi ati


Muhabbat ko na janey do

No comments:

Post a Comment