Sunday 31 August 2014

Nahe key bad bhi kehney ko sun’ney ko

Nahi key bad bhi kehney ko sun’ney ko
Bohat sey lafz hotey hein


Magar in ko talashey ga wohi jo ba-hunar ho ga
Jo lafz’on mein chupi dharken sey jana’n ba-khabar ho ga


Nahi’en key bad bhi asbat ka imkan hota hai
Magar kuch log rastey mein hi himat har detay hein


Wo lafz’on mein chupay mani,chupey arman kesay jaan saktey hein
Key aksar hum nahi’en mein ‘han’ bhi rakhtey hein


Magar ik zid si hum ko tok deti hai
Ana dewaar ban key rok deti hai


Aur hum ye soch ker bhi har jatey hein
Key shayad samney wala


Hamarey dil mein jhanky ga
Nai’ein mein han ko bhanpey ga


Hamara hath thamey ga
Galey hum ko lagaye ga


Hamari maat ko jeet ker dey ga
Ye sar-garm geet ker dey ga


Magar aisa nahi hota
Nahi’en ko ley ker kuch lamhey


Laho ho jatey hein jana’n!
Wo jin ko sath chalna ho wohi kho jatey hein jana’n


Nahi’en key bad bhi kuch lafz hotey hein

No comments:

Post a Comment