Sunday 31 August 2014

Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man

Chaley aao
Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man
Jholas jaye ga to hum ko
Ghari mein raakh ker dey ga


Chaley aao
Abhi umeed ki palk’on pey roshan deep hein jana’n!
Agar ye bhujh gaye to tergi shab khoon marey gi
Tumhara nam dharkan mein abhi tak raks kerta hai
Hawa’on ney tumhara lims jo
Tum sey churaya tha… hamarey pas laya tha
Abhi wo lims baki hai
Bohat be-chain kerta hai
Laho mein beyn kerta hai


Chaley aao
Abhi tak chand mein chehra tumhara muskurata hai
Abhi kushbo ka qasid dil pey dastak denay ata hai
Hasee’n pegham lata hai
Abhi tak sab wohi kuch hai
Wohi chaht bahri baat’ein


Wohi larna jagharna piyar mein aur roth jana bhi
Ghari bhar mein, bohal jana aur akhir maan jan bhi
Tumh’ein wo phone ker key kehna jald aa jao
Ye dil tum bin nahi lagta
Tumhara jald ana aur wo sub kuch
Muhabbat aur sharart sey bharey lamhey
Abhi tak sub wohi kuch hai


Chaley aao..
Kahin hum gum na ho jain

No comments:

Post a Comment