Monday 31 March 2014

Main aysi muhabbat karta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

Nakam nahi, nashad nahi
main Qeais nahi, Farhad nahi
Bunno bhi nahi, Ranja bhi nahi
Wamique bhi nahi, Mirza bhi nahi

wo log to bas afsana thay
is shiddat se begana thay
main zinda aik haqiqat hon
sar-tapa jazba-e-ulfat hon
har lamha tum pe marta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum jahan bhi beth k jati ho
jis chez ho hath lagati ho
main wahin pe betha rehta hon
us chez ko chuta rehta hon

tum jis se hans k milti ho
main us ko Dost banata hon
tum jis raste pe chalti ho
main us se aata jata hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum jin ko dekhti rehti ho
wo khwab sarhane rakhta hon
main tum se milne julne k
kitne he bahane rakhta hon

kuch khwab saja kr aankhon me
palkhon se moti chunta hon
koi lams agar chu jai to
main pehron us ko sochta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

jin logon me tum rehti ho
tum jin se batain karti ho
tum jin se hans k milti ho
jo tum ko achay lagtay hay
wahi'n mujh ko achay lagtay hay

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

jis bagh me subho ko jati ho
jis sabzay pe tum chalti ho
jo shakh tumhain chu jata hay
jo kushbo'n tum ko bhati hay

wo ous tumharay chehre pr
jo qatra qatra girti hay
wo titli chor k phoolon ko
jo tum se milne aati hay
jo tum ko chune aati hay

un sub k nazuk jazbon me
mere DIL ki dharkan basti hay
meri ruh bhi shamil rehti hay
tum paas raho ya door raho
nazro'n me samaie rehti ho

main tum ko takta rehta hon
main tum ko sochta rehta hon
Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

jis colleg me tum padti ho
main us me lekchar deta hon
wo class jaha'n tum hoti ho
main us ko takta rehta hon

jis kursi pr tum bethti ho
main us ko chuta rehta hon
jo copy tum ne gum ki thi
main apne beg me rakhta hon

gadla sa aik tisshu-paper
jo tum ne class me chora tha
wo mere pars me rehta hay
wo mere lams me rehta hay

wo makhmal hay wo teeba hay
wo chandi hay wo soona hay
wo ambar hay wo sandal hay
wo kushbon ka aik jungal hay

har mokay pr, har manzar me
main sath tumharay hota hon
main chasham-e-tassawor se aksar
bas tum ko dekhta rehta hon
bas tum ko sochta rehta hon

Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum kaise muhabbat karti ho..?

No comments:

Post a Comment