Monday 31 March 2014

Suno tum dair mat karna

Suno~!!
Suno tum dair mat karna
kisi ki aankh ka aansu koi chehra koi lehja
koi awaz tumko jis qadar rokey
magar tum dair mat karna

Suno


kisi ki yaad ki aankhen tumhen hur lamha takti hain

kisi ki aankh main Jaana'n tumhari yaad ki baarish
hur ik lamha barasti ha

tumhen bus sochte rehna kisi ka kaam rehta ha

tumhari yaad ka mosam to subah-o-shaam rehta ha
kisi k lub par hur dum tumhara naam rehta ha

Suno


suno tum dair mat karna

kisi ki neend se jaagi hui aankhen
kisi ka gard main dooba hua chehra
kisi ka dard main dooba hua lehja
Tumhen awaz dete hain

Suno

Suno tum dair mat karna~!!

No comments:

Post a Comment