Sunday 28 September 2014

Kaha Tha Na Meri Khamoshiyon Ko Tum

kaha tha na!!!
meri khamoshiyon ko tum koi mainay nahi dena
judai ki sabhi baatien meri ankhon mein parh lena
meri iss muskurahat mein,

agar mahsoos kar pao
to mere ansooN ki tum nami mahsoos kar lena
kaheen jo rah gayi hai wo kami mahsoos kar lena

meri sochien!!

mere alfaaz ka jab roop leti hain
tumhara aks banta hai
meri neendoon mein jab jab ratjagoon ke deeep jaltay hain

tumhara zikr chalta hai
tumhari yaad maazi ke dareechay khool deti hai
tumhari shabnami aahat ye mujh se bol deti hai

kaha tha na!!

humaray darmiyan ye faslay qismat mein likhay hain
aur iss qismat ke likhay ko
badal tum bhi nahi saktein, badal mein bhi nahi sakta

magar mushkil yehe hai hijr ke parpeech raston per
sambhal tum bhi nahi saktien, sambhal mein bhi nahi sakta
to behter hai ke hum ek dosray ki yaad ke humrah hojayien

ke abh ke iss mohabat se
nikal tum bhi nahi saktien, nikal mein bhi nahi sakta
suno jaanaaN

tumhari shabnamni aahat mere andar dharkti hai
magar jab khaamshi se tum koi maaini nahi letien
to ye dil rooth jata hai
mere ander kaheen per kuch achanak tooot jata hai…

No comments:

Post a Comment