Thursday 25 September 2014

Aaj Us Shehar Sey Phir Door Chala Aaya Hon

Aaj Us Shehar Sey Phir Door Chala Aaya Hon
Main Ney Jis Shehar Mein Jeeney Ka Tareeqa Seekha
Jis Ki Manoos Fizaaon Mein Buney They Naghmien
Ibn E Aadam Sey Mohabbat Ka Saleeqa Seekha
Jis Ki Galiyon Mein Meray Dil Ki Kall Mehkii Thii
Meri Aankhon Meri Nas Nas Mein Saroor Aaya Tha
Jis Mein Eik Hawa Ki Betii Ney Kiye They Waadey
Apni Masoom Adaaonsey Yeh Samjhaya Tha
Kitney Anmol Haseen Khwaab Tumhien Daiti Hon
Aur Tum Ho Key Na Haq Hii Guraizaan Tum Ho
Main Jo Haazir Hon Tera Dard Battaney Key Liye
Phir Bhi Kya Baat Hai Kyon Itney Preshaan Tum Ho
Jis Ki Khusboo Rang Haseen Waadon Mein Aa Kar Mein Ney
Dil E Veraan Ka Darwaza Khula Chor Diya
Jis Ki Ulfat Ney Badal Daali Thi Dunya Merii
Jis Ki Chahat Ney Meri Zeest Ka Rukh Moar Diya
Yak Ba Yak Us Shehar Ney Phir Mujh Sey Nigaahien Phairien
Merii Chaht Meray Jeewan Mein Zehar Ghol Diya
Meray Armaanon Ko Rangeen Kafan Pehna Kar
Zar Key Bazaar Mein Jazbon Ka Nirakh Bol Diya
Aaj Us Shehar Sey Phir Door Chala Aaya Hon
Jis Ki Galiyon Mein Meri Zeest Ka Samaan Lutta
Jis Key Eik Koochey Mein Wohi Maah-Jabeen Rehtii Hai
Jis Key Bazaaron Mein Eik Sada Sa Insaan Lutta

No comments:

Post a Comment