Friday 31 October 2014

eid aayi hai rajab shaabaan ki

salle ala ka shor utha
zehra ke gharaane ki ye khushiyaan hain
mubaarak eid mubaarak
eid aayi hai rajab shaabaan ki

tin pisar hain haidar ke
tinon rajab me aaye hain
aamade baaqir huwi pehli rajab ko marhaba
paanchwi aayi rajab aaye naqi salle ala
daswi rajab ko aaye taqi kehte hain jinhe farzande raza
ye tajalli hai dile imraan ki

no rajab ko aaye hain
asghar ibne shaahe hoda
aa gaya zehra ke gulshan me gule umme rabab
tisre baabul hawaaej ka mila jis ko khitaab
arsh pe qudsi jhoom rahe hain aur zameen pe buturaab
jaan hain ye sayyade zishaan ki

tera rajab ko aaye ali
tera rajab ko aaye ali
wo jahaan me aa gaya jo ho gaya ghaalib laqab
aamade binte asad par shak huwi diwaar jab
khush huwa kaaba aur payambar bole abu talib ke lab
ye pisar tasweer hai subhaan ki

bibi zainab ki wilaadat
hai pehli shaabaan ko
shabbar o shabbir jaise bhayi ki hamshir hai
malka e sharm o haya hai waarise tatheer hai
shaan me zehra baat me haidar azm me ye shabbir hai
pehli aayat sabr ke quraan ki

shaabaan ki hai tisri
aur aamad shabbir ki
raahib o fitrus pukaare aa gaya mera sakhi
arsh se jhula jhulaane aa gaye jibreel bhi
raaqibe doshe ehmade mursal fakhre khuda aur fakhre ali
ye khabar hai tisri shaabaan ki

chothi sahar shaabaan ki
aur aamad abbas ki
god me le kar ali bole mera akkaas hai
ye dile zainab dile shabbir ka ehsaas hai
maine dua me maanga tha jisko han ye wohi abbas hai
hai sanad allah ke ehsaan ki

aayi thi shaabaan ki saat
ibne hasan qaasim ke saath
jab liya aaghosh me farwa pukaari ay khuda
hubahu hai baap ki surat ye mera laadla
meri ibaadat meri riyaazat ka ye diya hai tu ne sila
laaj rakhli tu ne mere maan ki

gyaara thi shaabaan ki
thi wilaadat akbar ki
dekh kar is chaand ko wo chaand bhi sharmaa gaya
umme layla ne kaha lo aa gaye phir mustafa
is ke husn ka khums nikaala tab yusuf ko husn mila
maang le kheir zuleikha jism o jaan ki

mehdiye doraan ki aamad
hai pandra shaabaan ko
ay khusha qismat zameen par aa gaya wo maahtaab
wo ujaala din ka hai jaanashine buturaab
mazhare yazdaan ka wo mazhar noore mujassam laajawaab
laaj rakhne aa gaya yazdaan ki

ehlebeyt ki khushiyon me
saare hussaini shaamil hain
ek duje se gale mil kar mubaarak baad do
pehn ke kapre naye ghar ghar charaagha bhi karo
saare hussaini mazhar aur farhaan ki tarha mil ke kaho
eid aayi hai rajab shaabaan ki

No comments:

Post a Comment