Friday 31 October 2014

dono aalam ki shaahzaadi se

dono aalam ki shaahzaadi se
aaj shere khuda ki shaadi hai

aaj ismat se mil gayi ismat
ya tahaarat mili tahaarat se
chehra qur'aan ka ho gaya roshan
mili aayat jo apni surat se
malkae innama bani hai dulhan
waarise hal ataa ki shaadi hai

is taraf ismaton ka hai kangan
us taraf joshni me joshan hai
kyun mashi'at na fakhr se jhume
jaisa dulha hai waisi dulhan hai
binte uqda kusha ka aqd hai aaj
aaj mushkil kusha ki shaadi hai

saari hurein mili kanizi me
saare ghilmaan mile ghulaami ko
jannatein khalq kardi qudrat ne
binte ehmad teri salaami ko
arsh ta farsh sab jahez me hain
khud razaaye khuda ki shaadi hai

aayaton ne sajaayi hai toli
sadqe jibreel ne utaare hain
har guluband aaj naade ali
aur hadison ke goshware hain
har tasbih kyun na hojaaye
hazrate sayyada ki shaadi hai

hai shabe qadr si baraat ki shab
eid ke din sa din hai shaadi ka
har milan shaahzaada e kul se
aaj jannat ki shaahzaadi ka
jo tchuraayegi naar se ham ko
aaj us fatema ki shaadi hai

No comments:

Post a Comment