Friday 31 October 2014

ali aur zehra ki shaadi

ali aur zehra ki shaadi ratchi hai
zameen se falaq tak khushi hi khushi hai

chiraagha hai jannat ke divaar o dar par
bohot khush hain hurrein khushi ki khabar par
farishton ke lab par bhi naade ali hai

banaaya hai maryam ne dulhan ka jora
sajaaya hai taaron se saaraah ne kangan
har ek moje kausar mehekne lagi hai

hai dulha ki pagri nabi ka amaama
hai poshaak dulha ki aadam jaama
jo hai phul sehre ka wo haidari hai

hai jannat ke phulon se mehki fizaaein
chali virde salle alaa ki hawaaein
khudaara ke dulha abu taalibi hai

ye kausar ke maalik wo khaatune jannat
ye mushkil kushaa hai wo binte risaalat
khuda ne ye donon ki jori chuni hai

huwa aqd zehra se maula ali ka
huwa khwab pura khuda ke nabi ka
ke daamaad unka khuda ka wali hai

ye kausar ke maalik wo khaatune jannat
ye mushkil khusha hai wo binte risaalat
khuda ne ye dono ki jhori chuni hai

No comments:

Post a Comment