Friday, 31 October 2014

ali ke saath hai zehra ki shaadi

sabhi khush hain
sabhi khush hain khudaayi bhi khuda bhi
ali ke saath hai zehra ki shaadi

larka hai khuda ke ghar ka larki hai nabi ke ghar ki
wo arz o samaan ka maalik ye malika behr o bar ki
zameen raksa hai raksa aasmaan bhi

haidar hai kulle imaan aur kulle ismat zehra
us sar pe wafa ka sehra is sar pe haya ka sehra
wo shehzaada hai aur ye shaahzaadi

dulha ke roop me pyaare ali ibne taalib hain
tha baap bhi sab se ghaalib ye bhi kulle ghaalib hai
ye daamaade nabi hai aur wo sambdhi

baaraat chali haidar ki rehmat ke saaye saaye
baaraat ke aage aage qur'aan qaside gaaye
nabi saare chale ban kar baraati

tohfe me mile mehk aise inhein jannat aur kawsar ko
ye saara namak aur paani haq mehr mila zehra ko
salaami me mili marzi khuda ki

qudrat ki taraf se inko abhi tohfe aur milenge
kal inke haseen aangan me do asli phul khilenge
haseen shajarein jinhein denge salaami

ab chaahe koyi bharke ab chaahe koyi tarpe
ab meri bhalaa se chaahe mar jaaye koyi jal jal ke
khushi ki baat thi maine sunaadi

kaise ho bayaan wo manzar jab khatm huwi sab rasmein
kaunein ki har sheh gauhar kehti thi kha kar qasmein
mubaarak hai mubaarak hai ye shaadi

No comments:

Post a Comment