Friday 31 October 2014

dam badam ali ali pukaar

dam badam ali ali pukaar
har qadam ali ali pukaar
tere sune aangan me thelegi bahaar

dar badar bhathakne ka kyun ye rog paala hai
sab ke sab bhikaari hain kon dene waala hai
un se maang unton ki dede jo qataar

paak hai lahu kis ka kis me kya kharaabi hai
kon hai saqifaayi kon buturaabi hai
pal me sab ke chehron se hoga aashkaar

aal ki taraf gar tu ek qadam barhaayega
das qadam zamaane se khud ko aage paayega
kyun ke ye nahi rakhte kisi ka udhaar

ranj o gham ki raahon me bad hawaas betha hai
chal ali ki chokhat par kyun udaas betha hai
bas palak jhapakte hi hoga beraa paar

naame faatahe khaibar gar tera vazifa hai
dur hogi har mushkil ye hamaara daava hai
khaali jaa nahi sakta tera koyi baar

chaahta hai gar tujhse sayyada bhi raazi ho
khush ho khaaliqe akbar mustafa bhi raazi ho
munkiraane haidar pe karde beshumaar

tujhko fatema zehra ki duaayein mil jaaye 
khud teri ziyaarat ko ambiya chale aayein
karbala pahonch jaaye tu jo ek baar

adl aur adaalat ka intezaam lene ko
karbala ka ay nayaab inteqaam lene ko
aane waala hai koyi leke zulfiqaar

No comments:

Post a Comment