Friday 31 October 2014

bane hain dulha ali zehra ki hai rukhsati

bane hain dulha ali
zehra ki hai rukhsati

ghar me aayaate haq ka ujaala huwa
noor arz o samaa ka dobaala huwa
dekho qur'aan khud shaahwaala hua
mil gayi deen ko ek nayi zindagi

jibraeele ameen ki munaadi hai ye
dekho ek shaahzaadi ki shaadi hai ye
aur shaadi magar kitni saadi hai ye
na hai israaf aur na dikhaawa koyi

kaisa saada jahez is dulhan ko mila
ek takya o charkha aur ek aasia
ek khajooro ke patton ka bistar bhi tha
kooza o mashk aur ek suraahi mili

aqde zahra o haidar ki ye sunnatein
momino tumpe bhi farz hai itaa'atein
jaise andaaz zahra ki shaadi ke hain
us taraah byaah do apni beti ko bhi

aqde ke aasmaan par fasaane bhi hain
huro gilmaan ke lab par taraane bhi hain
sher kuch apne hamko sunaane bhi hain
momino tum bhi dohraawo misraa yehi

beithi binte payambar amaari me hain
saath huraane jannat sawaari me hain
phul jannat ke phulon ki kyaari me hai
khushbu hai aaj phayli gali dar gali

ya ali ya ali

ilm aur noor ke do samandar mile
qurbatein barh gayi faasle mit gaye
leke binte nabi ko nabi khud chale
aa ali bol uthe har chaman har kali

jo hi bayte wilaayat me pohnchi dulhan
aayaton se sajaa dekha sehne chaman
sura kausar ka karne laga ye sukhan
mit nahi sakti taa hashr nasle nabi

dekhiye to ay maajid samaa dekhiye
khud payambar bhi hai shadmaan dekhiye
aaj bayte ali me jinaa dekhiye
jalne waale jalein ham kahenge yehi

No comments:

Post a Comment