Friday 31 October 2014

khul ja kaabe ki divaar aaya haidare karraar

khul ja kaabe ki divaar aaya haidare karraar
ye hai donon jahaanon ka parvardigaar

ek darwaaza banaa tha saari dunya ke liye
ek nayaa dar chaahiye maulude kaaba ke liye
iski azmat par qurbaanye hai naatiqe qur'aan
aysa hoga jahaan me kahaan baar baar

waarise lauh o qalam aamad par wo dhoom ho
kaun aaya hai ye saari dunya ko maaloom ho
saare nabiyon ka sardaar yani ehmade mukhtaar
apne kaandhon pe is ko karega sawaar

noor mera paykare haidar me kuch ayse bhalaa
koyi us ko shere yazdaan maanega koyi khuda
wo mohammad mein mehmood mein hun gaayab wo maujood
mere lehje me baatein karega hazaar

jo ali se ishq karta hoga jannat paayega
aur jis ko bughz hoga wo dozakh me jaayega
is ki ulfat hai mizaan yani dushman ki pehchaan
milke naara lagaao zaraa zor daar

ye mera waada hai tumse fatema binte asad
do jahaan ka zarra zarra maangega is se madad
hoga har mushkil ka hal dekho aaj nahi to kal
saari dunya pukaaregi dul dul sawaar

No comments:

Post a Comment