Friday 31 October 2014

dam mast qalandar ali ali

ali ali ali ali
aabaad damaadam aadam ki shehrag me ali tan man me ali
lafzon me ali nafson me ali saanson me ali dharkan me ali
darya me ali me maujon me ali baadal me ali saawan me ali

dam mast qalandar ali ali
kaabe ka gauhar ali ali

kaabe ko aake jis ne qibla banaaya
rab ne usi kaabe ko sajda karaaya
jhute khudaaon waale ye keh bhaage
gunj uthe dharti pe har su yehi naare
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

geeta utha kar dekho qur'aan parh lo
taureit kholo chaahe injeel dekho
saare mazaahib waale kehte hain sahife
lafz alag hain sab ke matlab to yehi hai
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

tapte huwe sehra me qaafela roko
waada mohammad apna pura to kar lo
tera wasi ab hoga do jag ka maula
rab ka ghadeere khum me peighaam yehi tha
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

aadam se khaatam tak hai ek aqeeda
jis ne ali ko jaana rab ko bhi jaana
ek wazifa sab ka jitne the payambar
theek hi to kehta tha "shahbaaz qalandar"
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

kaam sabhi ke aaya jis ne pukaara
is ke liye dharti par utra sitaara
wird yehi karte hain ye chaand sitaare
baat yehi kehte hain darya se kinaare
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

kaisi azaane midhat meesam ne di hai
qurbaan tujh par meri jaan ali hai
teri mohabbat dil me aur daar ka mimbar
maine zabaan de di hai ye daar pe jaa kar
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

naame ali me aisa raaz chupa hai
jis ne pukaara parwaan charhaa hai
sab ka ali waris hai tera bhi mera bhi
nusrate rab se bola ye "fathe ali" bhi
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

tausif kya mein likhun apne ali ki
sab se bari hai aayat rabbe jali ki
dekha mohammad ne bhi meraaj pe jaa kar
wird farishton ka tha ye arshe bari par
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

hon jis ke dar ke naukar salmaan jaise
sab us ke madha khwaan hain farhan jaise
rab ka wohi hai mazhar jo rab ka wali hai
maane na maane dunya par sach to yehi hai
aaj nay te kal saare ali ali kehnge wekhega zamaana

No comments:

Post a Comment