Friday 31 October 2014

dama dam ya ali haidar

mach gayi dhoom ye ghar ghar
dama dam ya ali haidar

huwa ek noor jo peida huwa taqsim do hissa
huwa ye raaz huwaida sare farshe nabi dekha
tujhe ehmad ke baraabardama dam ya ali haidar

aayi nazraan kinaari huwi maidaan me tayaari
aayi panjtan ki sawaari huwa farmaan ye jaari
ali hai nafse payambar dama dam ya ali haidar

soe bistar pe jo bhaayi raza allah ki paayi
wahi jibreel ne laayi kar diya deke khudaayi
dono aalam ka gawarnar dama dam ya ali haidar

wird tu subh o masaa kar naam maula ka liya kar
pare mushkil to sadaa kar chhor dushman ko dabaa kar
lagaa de naara e haidar dama dam ya ali haidar

teri sarkaar hai aali aaye hain ban ke sawaali
nahi lot aaenge khaali tere maulayi mawaali
aae hain ban ke gadaagar dama dam ya ali haidar

bas tu haidar hi kiye ja naam maula ka liye ja
mae irfaan piye ja joshe imaan liye ja
tu hai sarkaare sukhanwar dama dam ya ali haidar

behre shabbir o shabbar nazare lutf o karam kar
nazr ban jaae ye gauhar hun sanaakhaane sukhanwar
haidari hun tera qambar dama dam ya ali haidar

No comments:

Post a Comment