Wednesday, 24 June 2015

Us Ne Kaha Sun

us ne kaha sun
ahad nibhane ki khatir mat ana
ahad nibhane vale aksar majaburi ya


mahajuri ki thakan se lauta karte hain
tum jao aur dariya dariya pyas bujhao
jin ankhon main dubo


jis dil main bhi utaro
meri talab avaz na degi
lekin jab meri chahat aur meri Khvahish ki lau


itni tez aur itni unchi ho jaye
jab dil rode
tab laut ana

Beniyaaz E Gam E Paimaan E Wafaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaatum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondaintum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaatum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahartum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

Sunday, 5 April 2015

Maa Teri Yaad Satati Hai

Maa Teri Yaad Satati Hai,
Mere Paas Aa Jaao

Thak Gayi Hoon, Mujhe 
Apne Aanchal Main Sulao

Ungliyaan Apni Pher Kar 
Baalon Main Mere

Ek Baar Phir Se 
Bachpan Ki Loriyaan Sunaao !!!

Labon Pe Us Ke Kabhi Bad'dua Nai Hoti

Labon Pe Us Ke Kabhi Bad'dua Nai Hoti
Bas Ik Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nai Hoti

Daastan Mere Laad Pyaar Ki Bas

Daastan Mere Laad Pyaar Ki Bas
Aik Hasti K Gird Ghoomti Hai

Pyaar Jannat Se Is liye Hai Mujhe
Ye Meri 'Maa' K Qadam Choomti Hai

Waqt YAAD se Wabsta Hai

Waqt YAAD se Wabsta Hai,
Yad KHWAB se Wabsta Hai,

Khwab NAAM se Wabsta Hai,
Naam JAAN se Wabsta Hai,

Jaan PIYAR se Wabsta Hai,
Mera WAQT Meri YAAD

Mera KHWAB Mera NAAM
Meri JAAN Mera PIYAR

Sab 1 Hasti se Wabsta Hain
OR WO HAI SIRF MERI MAA.

MAA Tab Bhi Roti Thi

MAA Tab Bhi Roti Thi,
Jab Beta Khana nahi Khata Tha,


Aur MAA Aaj Bhi Roti Hai,
Jab Beta Khana Nahi Deta.

Soya naheen hon mein sulaa do maan

Soya naheen hon mein sulaa do maan,
Aajao mujhe lori sunaa do maan,


Ashk meri ankhon mein jam se gaye hain,
Kar ke dil pe jabbar mujhe rula do maan,

Dekho kitni be-tareeb ho gayi hai zindagi,
Bikhray hain mere baal bana do maan..

Ye roshan aur piyari aankhain

Ye roshan aur piyari aankhain
Zalim khaak mein rul jaingi


God mein lainy wali baanh’ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi

Maa’n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi

Bujh jaingi roshan aankhain
Maa’n tum chain se so jaogi

Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar’on k qaatil jumley

Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo’n to dum ghut’ta hai

Ashk piyu’n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray

Kitni sham’ain bicharr chuki hain
Tum se pehly taiz hawa se

Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?

Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai

Janey kab tk ro’aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin

Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .

Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to,
Mujh ko yu’n mehsoos hua,


Apna sab kuch chorr ke jese,
Ik lamhe mein,

Mera sab kuch us ne apna maan liya hai,
Mujh ko sab kuch jaan liya hai..