Friday, 24 January 2014

Sharab-E-Kuhan Phir Pila Saqiya

Sharab-E-Kuhan Phir Pila Saqiya
Wohi Jaam Gardish Mein La Saqiya!


Muhe Ishq Ke Par Laga Kar Ura
Meri Khaak Jugnu Bana Kar Ura


Khirad Ko Ghulami Se Azad Kar
Jawanon Ko Peeron Ka Ustad Kar


Har Shakh-E-Millat Tere Nam Se Hai
Nafs Iss Badan Mein Tere Dam Se Hai


Tarapne Pharakne Ki Toufeeq De
Dil-E-Murtaza(R.A.), Souz-E-Siddique(R.A.) De


Jigar Se Wohi Teer Phir Paar Kar
Tammana Ko Seenon Mein Baidar Kar


Tere Asmanon Ke Taron Ki Khair
Zameenon Ke Shab Zinda Daron Ki Khair


Jawanon Ko Soz-E-Jigar Bakhs De
Mera Ishq, Meri Nazar Bakhs De


Meri Nao Girdaab Se Paar Kar
Ye Sabat Hai Tu Iss Ko Syyar Kar


Bata Mujh Ko Asrar-E-Marg-O-Hayat
K Teri Nigahon Mein Hai Kainat


Mere Didah-e-Tar Ki Be-Khawabiyan
Mere Dil Ki Poshida Be-Tabiyan


Mere Nala-e-Neem Shab Ka Niaz
Meri Khalwat-o-Anjuman Ka Gudaz


Umangain Meri, Arzoo’ain Meri
Umeedain Meri, Justujoo’ain Meri


Meri Fitrat Aayna-E-Rozgaar
Gazaalan-E-Afkaar Ka Marghzaar


Mera Dil, Meri Razm Gah-E-Hayat
Gamanon Ke Lashkar, Yaqeen Ka Sabaat


Yehi Kuch Hai Saqi Mataa-e-Faqeer
Issi Se Faqeeri Mein Hun Main Ameer


Mere Kafle Mein Luta De Isse
Luta De, Thikane Laga De Isse!

No comments:

Post a Comment