Friday 8 August 2014

Ghulami Kya Hai Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi

Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi
Jise Zaiba Kahin Azad Bande, Hai Wohi Zaiba

Bharosa Kar Nahin Sakte Ghulamon Ki Baseerat Par
Ke Dunya Mein Faqat Mardan-e-Hur Ki Ankh Hai Beena

Wohi Hai Sahib-e-Amroz Jis Ne Apni Himat Se
Zamane Ke Sumander Se Nikala Gohar-e-Farda

Farangi Shisha Gar Kar Ke Fun Se Pathar Ho Gye Pani
Meri Ikseer Ne Shishe Ko Bakhshi Sakhti-e-Khara

Rahe Hain, Aur Hain Firon Meri Ghaat Mein Ab Tak
Magar Kya Gham Ke Meri Asteen Mein Hai Yad-e-Baiza

Who Chingari Khas-o-Khashaak Se Kis Tarah Dab Jaye
Jise Haq Ne Kiya Ho Neestan Ke Wastay Paida

Mohabbat Khaweshtan Beeni, Mohabbat Khwaestan Dari
Mohabbat Astan-e-Qaisar-o-Kasra Se Beparwa

Ajab kya Gar Meh-o-Parveen Mere Nakhcheer Ho Jaen
‘Ke Bar Fatraak-e-Sahib Doulatay Bistam Sar-e-Khud Ra’

Woh Dana’ay Subul, Khatam-Ur-Rusul, Moula’ay Kul (S.A.W.) Jis Ne
Ghubar-e-Rah Ko Bakhsha Farogh-e-Wadi-e-Sina

Nigah-e-Ishq-o-Masti Mein Wohi Awal, Wohi Akhir
Wohi Quran, Wohi Furqan, Wohi Yasin, Wohi Taha

Sanayi Ke Adab Se Mein Ne Gawwasi Na Ki Warna
Abhi Iss Behar Mein Baqi Hain Lakhon Lulu’ay Lala

No comments:

Post a Comment