Friday 8 August 2014

Gul-e-Pazmurda

Kis Zuban Se Ae Gul-e-Pazmurda Tujh Ko Gul Kahun
Kis Tarah Yujh Ko Tamanye Dil-e-Bulbul Kahun

Thi Kabhi Mouj-e-Saba Gehwara-e-Junbaan Tera
Naam Tha Sehan-e-Gulistan Mein Gul-e-Khandan Tera

Tere Ehsan Ka Naseem-e-Sbahko Iqrar Tha
Bagh Tere Dam Se Goya Table-e-Attar Tha

Tujh Pe Barsata Hai Shabnam Didah-e-Giryan Mera
Hai Nihan Teri Udasi Mein Dil-e-Weeran Mera

Meri Barbadi Ki Hai Choti Si Ek Tasveer Tu
Khawab Meri Zindagi Thi Jis Ki Hai Tabeer Tu

Humcho Ne Az Neestan-e-Khud Hikayat Mee Kunam
Bashno Ae Gul! Az Judai Ha Shikayat Mee Kunam

No comments:

Post a Comment