tu shanasa e kharash
e auqda mushkil nahin
ae gul e rangeen tere
pehlu mein shaid dil nahin
zaib e mehfil hai,
shareek e shorish e mehfil nahin
ye faraghat bazm e
hasti mein mujhe hasil nahin
iss chaman mein mein
sarapa souz o saaz e aarzu
aur teri zindagani be
gudaz e aarzu
torh lena shakh se
tujh ko mera aaeen nahin
ye nazar ghair az
nagah e chasm e surat been nahin
ah! ye dast e jafa ju
ae gul e rangeen nahin
kis tarah tujh ko ye
samjhaun ke main gulcheen nahin
kam mujh ko didah e
hikmat ke uljhairon se kya
didah e bulbul se
main karta hun nazara tera
so zubanon par bhi
khamoshi tuhje manzoor hai
raaz woh kya hai tere
sine mein jo mastoor hai
meri soorat tu bhi ek
berg e riyaz e toor hai
main chaman se door
hun, tu bhi chaman se door hai
matmaen hai tu,
preshan misl e bu rehta hun main
zakhmi e shamsheer e
zauq justuju rehta hun main
ye preshani meri
saman e jamiat na ho
ye jigar sauzi
charagh e khana e hikmat na ho
natawani hi meri
sarmaya e quwwat na ho
rashk e jam e jim
mera aaeena e hairat na ho
ye talash e muttasil
shama e jahan afroz hai
tosin e idraak e
insan ko kharam aamuz hai
No comments:
Post a Comment