Alam-e-Aab-o-Khaak-o-Baad
! Sirr-e-Ayaan Hai Tu Ke Main
Woh Jo Nazar Se Hai
Nahan, Uss Ka Jahan Hai Tu Ke Main
Woh
Shab-e-Dard-o-Souz-o-Gham, Kehte Hain Zindagi Jise
Uss Ki Sahar Hai Tu
Ke Main, Uss Ki Azaan Hai Tu Ke Main
Kis Ki Namood Ke Liye
Shaam-o-Sahar Hain Garam-e-Sair
Shana’ay Rozgar Par
Bar-e-Garan Hai Tu Ke Main
Tu
Kaf-e-Khaak-o-Bebasar, Main Kaf-e-Khaak-o-Khud Nigar
Kisht-e-Wujood Ke
Liye Aab-e-Rawan Hai Tu Ke Main
No comments:
Post a Comment