Sar-e-Shaam Aik
Murhg-e-Naghma Paira
Kisi Tehni Pe Baitha
Ga Raha Tha
Chamakti Cheez Ek
Dekhi Zameen Par
Urha Taeer Usse Jugnu
Samajh Kar
Kaha Jugnu Ne O
Murgh-e-Nawa Raiz!
Na Kar Bekas Pe
Manqar-e-Hawas Taiz
Tujhe Jis Ne Chehak,
Gul Ko Mehak Di
Ussi Allah Ne Mujh Ko
Chamak Di
Libas-e-Noor Mein
Mastoor Hun Main
Patangon Ke Jahan Ka
Toor Hun Main
Chehak Teri
Behisht-e-Gosh Agar Hai
Chamak Meri Bhi
Firdous-e-Nazar Hai
Paron Ko Meri Qudat
Ne Zia Di
Tujhe Uss Ne Sadaye
Dil Ruba Di
Teri Manqar Kogana
Sikhaya
Mujhe Gulzar Ki
Mashal Banaya
Chamak Bakhsi Mujhe,
Awaz Tujh Ko
Diya Hai Souz Mujh
Ko, Saaz Tujh Ko
Mukhalif Saaz Ka Hota
Nahin Souz
Jahan Mein Saaz Ka
Hai Hum Nasheen Souz
Qayam-e-Bazm-e-Hasti
Hai Inhi Se
Zahoor-e-Auj-o-Pasti
Hai Inhi Se
Hum Aahangi Se Hai
Mehfil Jahan Ki
Iss Se Hai Bahar Iss
Bostan Ki
No comments:
Post a Comment