Wednesday 6 August 2014

Aik Pahar Aur Gulehri

Koi Pahar Ye Kehta Tha Ek Gulehri Se
Tujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Maray

Zara Si Cheez Hai, Iss Pe Garoor, Kya Kehna
Ye Aqal Aur Ye Samajh, Ye Shaur, Kya Kehna!

Khuda Ki Shan Hai Na-Cheez, Cheez Ban Baithen
Jo Be-Shaur Hon, Yun Ba-Tameez Ban Baithen

Teri Bisat Hai Kya Meri Shan Ke Aagay
Zameen Hai Passt Meri Aan Baan Ke Aagay

Jo Baat Mujh Mein Hai, Tujh Ko Vo Naseeb Kahan
Bhala Pahar Kahan, Janwar Gareeb Kahan!

Kaha Ye Sun Ke Gulehri Ne, Munh Sambhal Zara
Ye Kachi Baatain Hain Dil Se Inhain Nikal Zara

Jo Mein Bari Nahin Teri Tarah To Kya Parwa
Nahin Hai Tu Bhi To Aakhir Meri Tarah Chotta

Her Aik Cheez Se Paida Khuda Ki Qudrat Hai
Koi Bara, Koi Chotta, Ye Uss Ki Hikmat Hai

Bara Jahan Mein Tujh Ko Bana Diya Uss Ne
Mujhe Darakht Pe Charhna Sikha Diya Uss Ne

Qadam Uthane Ki Takat Nahin Zara Tujh Mein
Niri Barai Hai, Khubi Hai Aur Kya Tujh Mein

Jo Tu Bara Hai To Mujh Sa Hunar Dikha Mujh Ko
Ye Chaliya Hi Zara Tor Ker Dikha Mujh Ko

Nahin Hai Cheez Nakami Koi Zamane Mein
Koi Bura Nahin Qudrat Ke Karkhane Mein

No comments:

Post a Comment