Wednesday, 29 January 2014

Koi Tu Poche Lamakani Ka Sabab

Koi Tu Poche Lamakani Ka Sabab

Jheel Si Aankhon Main Pani K Sabab


Sitare Tot Kar Girte Hain Khan

Yehi Baat This Herani K Sabab


Beete Lamhon Ko Yaad Karte Hain Kabi

Kunkar Tha Us Ki Mehrbani Ka Sabab


Aks Aine Mai Kho Gya Kese

Uske Chehray Pe Tha Pershani Ka Sabab


Aur Wo Tasveer Thi Bichari Yadon Ki

Ghar K Aangan Ki Verani Ka Sabab

Rehmat Hai Jis Se Do Alm Mai Wo Unki Zaat Hai

Rehmat Hai Jis Se Do Alm Mai Wo Unki Zaat Hai

Mehboob Hai Jo Mere Rab Ka Wo Un Ki Zaat Hai


Drood-o Salam Ki Sadain Gonjti Hai Subah Sham

Aaghaz Ho Jin Se Duao Ka Wo Un Ki Zaat Hai


Tjalian Hai Zmeen Par Ja Bja Sab Un K Noor Se

Rehmaton Ka Jin Se Silsila Hai Wo Unki Zaat Hai


Mehromion Mai Wo Palte Hoye Phir Hira Tak Gye

Hoz-e Kosar Pe Jin Ka Ab Husn Hai Wo Un Ki Zaat Hai


Anjam Jab Mera Ho Tu Labo Pe Inhi Ka Nam Ho

Shifait Mile Gi Jin Se Wo Un Ki Zaat Hai

Nazar Ke Samne Jo Chehra Tha Wo Khwab Jesa Tha

Nazar Ke Samne Jo Chehra Tha Wo Khwab Jesa Tha

Wo Kese Muj Me Smata Jo Sirab Jesa Tha


Wo Meri Raton Ki Tanhyon Mai Yun Bikhar Jata

Mere Badan Ko Jo Jlata Tha Wo Aftab Jesa Tha


Lafz Honton Pe Yun Machalte Ragni Ki Tarah

Aur Wo Khanknata Lehja Us Ka Rubab Jesa Tha


Wafa K Naam Pe Roshan Chiragh Tu Buj Hi Gya

Chamkati Jbain Pe Wo Sitara Gulab Jesa Tha


Thi Roshni Jis Se Mere Shehr Ki Galyon Mai

Aur Wo Chehra Masal Sukhn Mahtab Jesa Tha

Jab Bi Tum Samne Aaty Ho

Jab Bi Tum Samne Aaty Ho 
Ab Ki Sari Khzan Zada Gharyan 

Guzri Bharon Mai Dhal Se Jati Hain 
Waqt Ki Aagosh Mai Sui Hui Wafaiin 

Phir Se Machal Si Jati Hain 
Ik Behka Sa Khayal Drechon Pe Dastak Diye Bghair 

Dil K Aangan Mai A Jata Hai 
Phir Se Dabi Hui Siskyon Ko Behlya Jata Hai 

Us Wehshat Zda Aangan K Ik Kone Main 
Jazbon K Taq Par Pra 

Gul Kya Hoa Teri Yadon Ka Chiragh 
Phir Atas-e Ishq Se Jalne Lagta Hai 

Phir Mera Tswur Tere Tswur Mai Dhalne Lagta Hai 
Jab B Tum Samne Aate Ho 

Tere Pur Lutf Lehje K Msehai Se 
Shehr Khamoshan Mai Dafan Mere Jawan Jazbat Ko 

Phir Se Hayat Nu Ata Hoti Hai 
Phir Ik Nai Mohabat K Ibtida Hoti Hai 

Dastras Mai Rha Wo Meri Bahar Nahi Hoa



Dastras Mai Rha Wo Meri Bahar Nahi Hoa
Mere Lams Ko Pa K Bi Wo Pathar Nahi Hoa



Qurbat K Sari Gharyan To Guzri Hain Is Tarah
K Ik Lamha Be Khudi Ka Mayasar Nahi Hoa



Shayad Ye Us Ke Ishq Ka Dastoor Hi Rha Ho
Ke Mere Hi Dil Mai Reh Kar Wo Moatbar Nahi Hoa



Tanhai Ne Gham Mai Mujko Dboa Tha Is Tarah
Yun Subah K Wo Ik Sitara Bi Zahar Nahi Hoa

Ban Gayi Hai Dil K Majbori Mulakatain

Ban Gayi Hai Dil K Majbori Mulakatain 
Ho Gayi Hai Ab Tu Zrori Mulakatain 

Aankhon Se Kuch Keh K Bichar Jana 
Jan Le Lain Gi Ye Adhoori Mulakatain

Tere Andaz-e Mohabat K Tqaza bi Ajab Hai

Tere Andaz-e Mohabat K Tqaza bi Ajab Hai

Tu Muj Me Smae Ga Ye Wa’ada B Ajab Hai


Totay Hoye Rishton Mai Draron K Hai Jungle

Jore Ga Sabhi Bandhan Ye Irada B Ajab Hai


Kirchi Hoi Aankhon Main Kyi Khwab Hai Bikhre

Yun Neend Mai Jo Totay Ga Wo Nata B Ajab Hai


Aina Be Tere Aks K Btate Hain Hqeqat

Jo Aorha Hai Tu Ne Wo Libada B Ajab Hai


Tere Naam K Wird Pe Rhain Unglyan B Mutharak

Aur Jo Tasbeeh Ko Sambhale Ga Wo Dhaga Bi Ajab Hai

Dar Chor K Sooay Dar Nikli Roh Meri Qafs Se

Dar Chor K Sooay Dar Nikli Roh Meri Qafs Se 
Bezar Nikli Ik Ik Sans Bech Rahi Hai 

Zindagi Mot K Khridar Nikli Lagne La Tmashion K 
Hjom Phir Koi Jan Sar-e Bazar Nikli Behr-e Qaza Mai 

Zindagi Ki Nao Is Par Dobi Us Par Nikli Bit-e Anjum Ko Baksh K 
Sansain Dil Pur Soz Jan Be Qarar Nikli - 

Ujara Hai Hwaon Ne Koi Asasa Nahi Baqi

Ujara Hai Hwaon Ne Koi Asasa Nahi Baqi

Is Karb K Shidat Mai Koi Dilasa Nahi Baqi


Tere Dar Pe Jo Thehra Hai Wo Wapis Nahi Aya

Ab Kherat Kise Dain Gay Koi Kasa Nahi Baqi


Dewane Tere Husn K Hain Teri Pnah Main

Ab Shehr Ghreban Mai Koi Acha Nahi Baqi


Munsaf Ne Bi Bare Karb Se Hai Kalam Ko Tora

Ab Kis Ko Gwah Manain K Koi Sacha Nhi Baqi


Banta Hai Daryon Ne Pani Bi Kuch Aese

Ab Shehr Mai Bi Pyasa Nahi Baqi

Tere Chehre Ko Sanwarne K Sleqa Likha

Tere Chehre Ko Sanwarne K Sleqa Likha

Aankhon Ko Ishq Ka Ik Sacha Shefa Likha


Mere Ihsas K Dar Par Teri Dastak Thehri

Goya Us Aas Ne Umeedon Ka Treqa Likha


Mere Sharon Se Mohabat Ki Sada Aane Lgi

Khankte Lehje Ko Teri Chahat Ka Drecha Likha


Wo Tere Azhar Ka Tarz Sukhn Tha Khamoshi

Nigaho Se Batain Sunane Ka Treqa Likha


Aur Wo Tere Pyar Ki Batain Thi Bari Pakeza

Naik Tmnaon Se Tere Naam K Wzefa Likha

Ajnabi Hwaon Mai Teri Khushbu Ayi Hai

Ajnabi Hwaon Mai Teri Khushbu Ayi Hai

Ya Mere Khayal Mai Hi Tu Ayi Hai


Kon Jane K Kone Tote Ga Aaj

Hqeqat Mere Khwabon Ke Rubro Ayi Hai


Halat K Phir Wohi Faisle Hain Aaj

Phir Mere Hise Mai Justj Ayi Hai


Sab Ne Teri Talab Mai Kuch Kha

Kun Tanqeed Mai Meri Guftgu Ayi Hai


Muje Yaqeen K Teri Hi Baat Ho Gi

Zuban Jo Ho Ke Ba Wuzu Ayi Hai

Gham Rizq K Safar Mai Azeat Se Mar Gye

Gham Rizq K Safar Mai Azeat Se Mar Gye

Kabi Hath Na Phelya Tu Gherat Se Mar Gye


Dukhon K Sari Manzlain Sisakte Guzar Gyi

Tanhai Ke Is Ngar Mai Herat Se Mar Gye


Kuch Wasta Rha Tha Judai Ki Sham Se

Aur Jab Raat Thi Miln Ki Tu Wehshat Se Mar Gye


Kashkol Mai Wafa K Chand Sike Na Mil Sake

Yun Muflsi Ka Aurh Kar Kafn Gherat Se Mar Gye


Gumnamion K Dor Mai Ik Dewan Tha Likha

Bardasht Na Hoa Tu Yun Shuhrat Se Mar Gye

Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh Rhe

Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh Rhe

Mehki Fazaon Mai Yun Hwaon Ke Ham Dosh Rhe


Lamhe Thay Qaid Tere Lehje Ki Khanak Ko Sun Kar

Ham Bi Thay Mast Aur Srapa Hma Tan Gosh Rhe


Kuch Halat Bi Mwafaq Thay K Jazbe Thay Jwan

Ham Bi Azhar Ke In Lamhon Mai Thay Pur Josh Rhe


Alfaz Ruk Jayen Jo Agar Aankhon Ko Sukhn War Dekhein

Soch Par Pehre Lge Aur Ham Bi Thay Khamosh Rhe


Mere Jazbon Ki Sadaqat Pe Na Koi Harf Aye

Dil Ke Jor Raz The Wo Sene Mai Hi Roposh RHe

Har Lamha Meri Wafaon Ka Aaitraf Yun Kia

Har Lamha Meri Wafaon Ka Aaitraf Yun Kia
Khud Bi Heran Tha Hoa Jo Inkshaf Yun Kia

Nafraton Ke Beej Bo Diye Mere Hi Sehn Main
Mere Hi Ghar Ki Faseel Mai Shigaf Yun Kia

Wehshat Ki Gard Chehre Ki Pehchan Na Bne
Ayne Se Apne Aks Ko Phir Saf Yun Kia

Khat Bi Jala Diye Sabi Aur Naam Mita Diye
Mere Wjod Se Us Ne Inhiraf Yun Kia

Sab Logo Ne Hathon Mai Pathar Utha Liye
Mere Shehr Ke Logo Ko Khilaf Yun Kia

Badal Hon Barash Jaon Tu Alzam Na Dena

Badal Hon Barash Jaon Tu Alzam Na Dena

Tere Daman Mai Simat Aaon Tu Alzam Na Dena


Rahat Hon Hmesha Tere Aangan Mai Rho Ga

Khushbu Ho Bikhar Jaon Tu Alzam Na Dena


Mai Phol Hon Balon Mai Sjaye Hoye Rakhna

Sanson Mai Mehak Jaon Tu Alzam Na Dena


Banhon Se Lipat Jaon Ga Gajron Ki Tarah Main

Qurbat Se Behak Jaon Tu Alzam Na Dena


Khuwabon Ki Tarah Aankhon Mai Bsaye Hoye Rakhna

Teri Nendon Mai Bhatak Jaon Tu Alzam Na Dena

Bhar Mai Ajab Lutf Mai Uthaya Krta

Bhar Mai Ajab Lutf Mai Uthaya Krta

Tere Chehre Par Pholon Ka Saya Karta


Sitare Khamosh Aur Chand Ki Zuban Na Khule

Mai Apne Khwab Un Sab Ko Sunaya Krta


Wo Jheel Jis K Kinare Beth Kar Aksar

Mai Teri Tasver Se Dil Behlaya Krta


Qsede Likhta Tere Husn Ka Apne Sharon Mai

Aur Apni Ghazlon Mai Tera Rop Sjaya Krta


Wo Raat Phir Se Mohabat Ka Pegham Le Aye

Mai Teri Khushbu Se Aangan Ko Mehkya Krta

Teri Khatir Ham Ik Shaam Churane Nikle

Teri Khatir Ham Ik Shaam Churane Nikle

Dard Mai Dhal Ke Khud Ko Aazmane Nikle


Phir Inhi Tarsi Nazron Se Tmasha Dekha

Baat Itni Se Thi K Sab Zakhm Purane Nikle


Gham Ki Aaghosh Mai Khud Ko Smeta Aise

Raat Itni Hai Tu Phir Ham Sog Mnane Nikle


Wo Jo Nazron Mai Tlatam Tha Dekha Sab Ne

Raaz Jo Aankhon Se Ayan Thay Wo Chupane Nikle

Tere Lehje mai Mohabat Ka Assar main Dekhoon

Tere Lehje mai Mohabat Ka Assar main Dekhoon

Aankhein Teri Hon Un Se Mgar Mai Dekhon


Khof Ata Hai K Ab Anjam-e Safar Kia Ho Ga

Har Ik Darya mai Be Reham Bhanwar Mai Dekhon


Phir Isi Shor Mai Jungle Ki Traf Chal Nikle

Ujre Mosam Mai Har Ik Zakhmi Shjar Mai Dekhon


Thak Kar Pohncha Hon Tere Dar Par Mgar Tu Na Mila

Rah Dushwar Pe Ik Aur Sfar Mai Dekhon


Mere Shairon Mai Jo Bebaki Se Nazar Aati Hai

Larzish Hai Qalam Mai Ik Khof Ka Ngar Mai Dekhon


Nam Likhte Hai Mitate Hai Bnate Hain Chehre

Waqt K Kenwas Pe Apni Unglion Ke Hunr Mai Dekhon

Safr K Waste Kuch Asbab Aj Day Dalo

Safr K Waste Kuch Asbab Aj Day Dalo

Bohat Se Duain Aur Naye Khawab Day Dalo


Mere Ghamon Ne Mere Chiraghon Ko Buja Rakha Hai

Rah Mai Roshni Ke Liye Kuch Mahtab Aaj De Dalo


Waqt Ki Aag Ne Jism Ko Jila Ke Khak Kia

Kafn Ke Waste Thora Sa Kamkhwab Aaj De Dalo


Muje Sanam Ke Huzor Jane Ke Waste Yaaro

Pe Ke Na Behkon Aesi Shrab De Dalo


Tumhare Ishq Mai Yun Khoya Ke Khuda Na Yaad Rha

Mere Sab Sajdo Ko Mimbar-o Mehrab De Dalo

Jab Sath Uska Chaha Tu Sham-o Sehar Mila

Jab Sath Uska Chaha Tu Sham-o Sehar Mila

Muj Ko Mere Naseeb Ka Aesa Samar Mila


Thi Zindagi Mai Dhop Ki Chadar Tani Hui

Saya Dia Hai Ishq Ka Aesa Shjar Mila


Yun Dard Ke Sehra Mai Ulji Thi Har Khushi

Aangan Mai Khushian Bars Gyen Aesa Abar Mila


Wera Sahlon Pe Thi Tanhaian Ik Saza

Ab Raste Amar Hai K Aesa Sfar Mila


Tha Raat Ki Khamoshion Mai Dard Ka Zehar

Ab Roshan Hui Fazain K Aesa Qamar Mila

Wo Zard Patoon Ki Pahli Barish

Wo Zard Patoon Ki Pahli Barish

Aur Mosmon Ka Machalte Rehna


Wo Gungati Lehron Ki Sargam

Aur Yun Teri Yaadon Ka Sulgate Rehna


Wo Nange Paon Dhop Mai Chlna

Aur Dukhon Ko Ginte Rehna


Yun Rut Jugo Ki Bna K Mala

Khud Fareebi Main Hanste Rehna


Tha Ghamon Ka Ik Gehra Jungle

Aur Khof K Dushwar Rahain


Gira Ke Bijli Yun Ashian Pe

Phir Apne Dil Ko Masalte Rehna


Khazan Mai Girte Wo Pele Moti

Aur Unka Darkhton Se Phisalte Rehna


Wo Yaad Aye K Jaan Se Guzre

Aur Yun Dukh Sumander Mai Dhalte Rehna

Ye Ashk Jo Tu Ne Muj Ko Diye Soghat Ki Manind

Ye Ashk Jo Tu Ne Muj Ko Diye Soghat Ki Manind

Barste Hain Zakhm Aankhon Se Meri Barsat Ki Manind


Mai Kese Bhula Dun Tuje Ae Meri Jan Ke Qatil

Rehta Hai Khaylon Mai Mere Tu Lamhat Ki Manind


Khamosh Fzaon Mai Bi Siskion Ki Sada Hai

Ab Mai Tot Ke Rota Hon Kisi Raat Ki Manind


Har Lamha Tuje Chahon Duaon Mai Tuje Mangon

Tera Lot K Aana Muje Lge Kramat Ki Manind


Bikhri Hui Yaadon Ko Tum Smeto Tu Main Janon

Mere Daman Mai Chale Aao Kisi Kherat Ki Manind

Tum Ho Zidi Main Hon Dewana Jeet Kis Ki Hoti Hai…?

Tum Ho Zidi Main Hon Dewana Jeet Kis Ki Hoti Hai…? 
Tum Ho Shma Mai Hon Parwana Jeet Kis Ki Hoti Hai 

Tumhain Naaz Hai Husn Par Muje Fakhr Hai Ishq Par 
Mai Tumhain Aazmata Hun Tum Muje Aazmana Jeet Kis Ki Hoti Hai… 

Tumhein Dar Hai Ruswai Ka Muje Khof Hai Judai Ka T
um Ishq Se Aari Main Aql Se Begana Jeet Kis Ki Hoti 

Hai Mai Bi Mar Gya Tu Zinda Rhon Ga 
Tere Khaylon Main Phir Poche Ga…

Mera Ishq Jana Jeet Kis Ki Hoti Hai Nikal Jao 
Jo Tum Kabi Apni Zid Ke Hisar Se 

Phir Tum Khud Hi…
Sab Ko Btana Jeet Kis Ki Hoti Hai - 

Raat Guzre Gay Gi Tu Rakh Le Gay Barham Aaj K Bad

Raat Guzre Gay Gi Tu Rakh Le Gay Barham Aaj K Bad
Ham Na Ayen Gay Kabi Shehr Mai Tere Aj K Bad

Wo Tere Shairon Aur Ghazlon Mai Kho Sa Jana
Ab Na Parh Payen Gay Dewan Tere Aaj K Bad


Muj Ko Lafzon Mai Sja K Jo Kabi Likhe Thay

Hont Wo Geet Na Gayen Gay Aaj K Bad


Sham Aye Gi Tu Phir Chand Bi Btlae Ga Hmain

Wo Na Jhanke Ga Kabi Ghar Mai Tere Aaj K Bad


Tere Chehre Pe Meri Nazron Ne Jo Bandha Tha Hisar

Rukh Roshan Pe Na Ho Gi Wo Sehar Tere Aaj K Bad

Ay Khuda Kash To Banata Mere Liye Wo Shakhs Jo

Ay Khuda Kash To Banata Mere Liye Wo Shakhs Jo 
Mjh Se Ziyada Fakat Mjh Se Pyar Karta… 

Main Khud Se Ziyada Us py Aytbaar Karta… 
Wo Ishq Ki Inthaa Karta… 

Main Pyar Beintha karta… 
Aata Jo Mera Waqat Akhri __zahid__ 

To Dil Teri Bahon Main Dharakta, 
Phir Sochta Hun wo Tanha Kiya karta? 

Sans Rukti Jo Meri, Zinda Wo Bhi Na Hota… 
Ayse Mehbob Ko BeDard Duniya Main Tanha Kesy Chor Deta

Ishq ki rahaa par chalna ha

Ishq ki rahaa par chalna ha
is rahaa ka har mor sa guzarna ha

ati ha atisha garmi b yaha 
tapti dhop main b dhalna ha

milta hain gham b yahan ur khushia b
kantoon paa b utarna ha

dakho jo bahar ka phollo ko
us ki mehak ko hud main bahrana ha

chora ya qisa-e-tanhai asad
jo ha pass usi pa bus marna ha

khush rakha khush reh zendgi mina
khir tujha he sab kuj karna ha

Monday, 27 January 2014

Kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye fone par

Kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye fone par
mein buhut masroof hoon mujh ko buhut se kaam hain.

iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi
har riwayat toRh kar iss baar mein ney keh diya.

tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon,

tum agar ghamgeen hoo mein bhi buhut ranjoor hoo
tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon.

jan-e-man hai waqt mera bhi buhut hi qeemti
kuch puraney dostoon ney milney ana hai abhi.

mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain.

meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey
rat'jagoN key baad ab neendoN mein khona hai mujhey.

mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi
tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi.

uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya
aur phir apni ana key paaon pey sar rakh diya.

Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna
Aisa Lagta Hay Jo Yeh Hath Dua Ko Uthain


Khud Farishtay Chalay Aatay Hon Zamin Ki Janib
Sonp Kar Marmareeen Hathon Ki Hatheli Ko Hina


Jo Bhi Manga Woh Chup Chap Diye Jatay Hon
Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

In Ki Khushboo Say Moattar Hay Mera Sara Wajood
Inhi Hathon Main Mere Khwab Chupay Hain Mola


Unglian Mujh Ko Mohabbat Main Bhigo Deti Hain
Inhi Poron Nay Mere Dard Chunay Hain Mola


In Ki Rag Rag Main Mohabbat Hi Mohabbat Rakhna
Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

Inhi Hathon Ki Lakeeron Main Muqadar Hay Mera
Yeh Jo Konay Main Sitara Hay Sikandar Hay Mera


Khwab Say Naram Khiyalon Ki Tarah Nazuk Hain
In Kay Her Lams Main Mere Liye Chahat Rakhna


Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

Saarey waadon ko bhula sakta hun,



Saarey waadon ko bhula sakta hun,lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho 
khuda hafiz,faisla mein bhi suna sakti hun,lekin rehne do..!

ana hai to khud hi chale ao kisi din apni to adat hai bulaya nai krte

ana hai to khud hi chale ao kisi din 
apni to adat hai bulaya nai krte

kabi hm se khafa hone ka tasawur b na krna 
hm aise sitamgar hain manaya nai krte

jis dr pe gye hain faqt ik bar gye hai 
phir laut kr us dr pe hm jaya nai krte

ankhon se pilao ge to e jayen ge peene 
paimaano se peene to hm aya nai krte

apna to shewa hai zra gaur se sun lo 
khud hi tarap lete hain oro ko tarpaya nai krte